Cervical Cancer Symptoms in Hindi: Mahilao Mai Iske Karan Cervical Cancer ek parakar ka samanya cancer hota hai jo ki garbhashay ke pravesh dwar par hota hai. Cervical Cancer ko Greeva cancer ke naam se bhi jana jata hai. Darahsal greeva garbhashay ke nichale bhag ko kehte hai. Yeh cancer mahilao ki koshikao mai aniyamit vraddhi ke karan hota hai. Iss cancer badhane ke kai karan hote hai. Jab yeh cancer ki shuruwat hoti hai to iss prarambhik sthiti ko Dysplasia kaha jata hai. Yadi yeh lakshan shuruwat tour par pata chal jata hai to iska ilaaj aasani se ho jata hai. Aur jab yeh cancer badh jata hai to ise Carcinoma kaha jata hai. Garbhashay mai Greeva cancer hone ka sabse aam karan human Human papillomavirus (HPV) ko mana jata hai. Yeh jyadatar tab hota hai jab koi bhi mahila HPV se pidhit purush ke sath yon sambandh banati hai. Mahilao mai yeh cancer 25 saal se adhik umra mai dekhne ko milta hai Iss cancer se grasit mahilao ko sharir par sujan rehana ya fir peshab mai khoon aana jaisi samasyae hoti hai. Isse bachane ke liye jane Cervical Cancer Symptoms in Hindi taki sahi samay par iska illaj ho sake.