Janiye Cranberry Juice Benefits Aur Rahiye Swasth

Page 1

Cranberry Juice Benefits- Jane Iske Swasth Vardhak Gun Cranberry jamun ke aakar ka ek lal phal hai jiska swad halka sa teekha hota hai. Isme prachur matra mai antioxidant paya jata hai, jo anya phalo aur sabjiyo ke mukabale bahut adhik hota hai. Yeh Vitamin C ka bhi bahut acha strot hai. Iske alawa isme kai aur minerals bhi moujud hai jaise ki isme iron, calcium, potassium, zinc aadi hota hai. Ye behad hi swasthvardhak fal hai. Iska kai tarah se upyog kiya ja sakta hai. Hum aapko bata de ki iske juice ka niyamit sevan karne se cholesterol kam hota hai, aur yeh immunity system ko strong karta hai, tanav dur karta hai aur sath hi aapke khoon ke prahav ko bhi sucharu karta hai. To aaiye jante hai aur bhi kai Cranberry Juice Benefits.

Health Benefit of Cranberry Juice Se Paye Rog Mukt Sharir


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.