Home Remedies for Dark Inner Thighs: Jangho Ko Kare Gora

Page 1

Home Remedies for Dark Inner Thighs: Jangho ko Gora Banaye Aapne aksar dekha hoga ki kuch logo ke chehre ka rang to bahut accha hota hai, lekin unke sharir ke anya hisso ka rang unke chehre se bikul viprit kala hota hai. Darahsal log apne chehre ka to bahut khyal rakhte hai, lekin apne sharir ke anya bhago ko to bilkul hi bhul jate hai. Isi tarah log apne jangho ka bhi bilkul khyal nahi rakhte hai. Ayr jab unhe short dresses pehnne ki jarurat padti hai. To unn par musibat aa padti hai. Unke jangho ka rang unke sharir ke anya hisso se bahut kala dikhata hai, jis wajah se unhe sharminda hona padhta hai. Jangho ke kale hone ke piche kai karan hai. Aksar dekha gaya hai ki jin logo ki janghe moti hoti hai, chalte wakt unme gharshan hota hai. Iss wajah se uss jagah ki twacha ka rang kala ho jata hai. Kai bar to tight kapde pehnne ki wajah se bhi jangho ki twacha kali pad jati hai. Wahi chikitsako ki mane to mahilao mai hone wale hormones parivartan ki wajeh se bhi jangho ka rang badal jata hai. Iss kalapan ko dur karne ke liye aap market mai mojud creams ka sahara le sakte hai. Lekin aapki thigh ki skin sensitive hoti hai. Isliye ham aapko salah denge ki iske upchar ke liye gharelu upayo ko hi apnaya jaye. Yaha janiye Home Remedies for Dark Inner Thighs, jangho ko kalapan dur karne ke gharelu upchar. Home Remedies for Dark Inner Thighs: Jangho Ke Rang Gora Kare Badam Ka Tel, Dudh aur Shahad Ka Mishran Badam Vitamin E ka bahut accha strot hota hai jisse twacha ki rangat nikharti hai. Iske sath dudh aur shahad bhi kai bimariyo ke sankraman ko dur karne aur twacha mai nami ko banaye rakhne ka kam karte hai. I


Lagane ki Vidhi: Pehle ek chammach shahad aur 2 bade chammach dudh ko acchi tarah se mila le. Fir usme 1 chota chammach badam ka tel dalkar milaye. Iss mishran ko 15 minute tak apni jangho par lagakar rakhe. Uske bad pani se dho le. Aesa karne se jangho ka rang dhire dhire gora hone lagta hai.

Aloe-Vera aur Badam Ka Mishran Dark inner thighs ke liye Aloe-Vera bahut hi faydemand hota hai. Yeh twacha ko mulayam karne ke sath-sath uske rang ko bhi gora karne mai madad karta hai. Agar Isme badam ke tel ki kuch bunde mila di jaye to aur bhi fayda milta hai. Lagane ki Vidhi: Ise lagane ke liye Sabse pehale Aloe-Vera ko chilkar uske jel ko nikal lete hai. Fir 2 chammach jel mai kuch bunde badam ke tel ki milate hai. Iss parakar bane mishran se jangho mai tab tak malish karte hai jab tak ki twacha iss mishran ko na sokh le. Uske baad pani se dho le.


Besan aur Dahi Ke Mishran Apni twacha ko gori karne ke liye log dahi aur besan ka upyog bahut hi behtar vikalp hai. Inka upyog karne se mrit twacha hat jati hai, aur twacha saaf ho jati hai. Lagane ki Vidhi: Sabse pehle dahi mai haldi powder, besan aur nimbu ke ras ko acchi tarah se mialye. Fir iss mishran ko apni jangho par lagaye. Jab yeh sukh jaye to ise pani se dho le. Ek baat ka khyal rahe ki, iss paste ko sukhte se hi dho le. Ise jyada der naa rakhe. Khira aur Chandan Ka Prayog Chandan aur khire se bane paste ko jangho par lagane se bhi twacha ka rang nikharne lagta hai. Yeh dono twacha ko shitalta pradan karte hai sath hi twcha ke daag-dhabbe bhi kam karne mai sahayak hote hai. Lagane ki Vidhi: Ise lagane ke liye Khire ko mixer me acchi tarah se pis le fir isme chandan ko ghiskar mila le. Fir ise apni jangho par lagakar 10 se 12 minute ke liye chod de. Uske bad pani se dho le. Aalu Ka Prayog Bhi Behtar Aalu twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Ise 2 prakar se lagaya ja sakta hai. Lagane ki Vidhi: 1. Tukade kiye huye aalu ko mixer mai pis le. Fir iss mixer ko apni jangho par lagale. 30 minute ke bad fir pani se ise dho le. 2. Aalu mai yadi tamatar ke ras ko milaye to yeh bleaching ka kam karta hai. Sath hi shahad jangh ke andruni hisso ko mulayam banane ka kam karta hai. Ise lagane ke liye ek aalu ko katkar pees


le, usme aavyashakta anushar tamatar ka ras aur 1 bada chammach shahad ko milaye aur paste bana le. Fir ise apni jangho par lagaye aur sukhne ke baad pani se dho le. Labhkari Nimbu Nimbu twacha ke liye natural bleaching ka kam karta hai. Yeh twacha ke dag dhabbo ko dur kar rang ko bhi nikharne mai madad karta hai. Ise kai prakar se lagaya ja sakta hai. Lagane ki Vidhi: 1 chammach nimbu ke ras mai 3 bada chammach nariyal ka tel milaye. Fir ise apni jangho par laga kar 15 minute tak malish kar. Aesa karne se twacha ka rang saaf hone lagrta hai. Uske baad halke gungune pani se uss jagah ko dho le.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.