Debridement: Daanto ko Chamkane Mai Hai Madadgar Debridement wah prakriya hai jiske tahat aapke daanto se atirikt plaque aur tartar ko nikala jata hai. Jinn logo ke daanto par atirikt plaque aur tartor jam jate hai, unke liye debridement ki prakriya jaruri hoti hai. To aaiye jante hai Debridement Treatment ke bare mai kuch jaruri jankari. Kai mamalo mai daanto par plaque aur taratar ka jamav itna gadha ho jata hai ki dentists ke liye thik se daant dekh pana bhi mushkil ho jata hai. Aisi stithi mai daant ki janch aur ilaj se purva debridement ki prakriya ke jariye plaque aur tartar ko hatana jaruri ho jata hai. Agar aap dard bardasth nahi kar sakte to iss prakriya se purva aapko local anesthesia di ja sakti hai. Kuch logo ko debridement ki prakriya se purva nitrus oxide ityadi jesi behoshi ki dawa ki bhi jarurat padti hai. Jo log daant ke ilaj ki prakriya se ghabrate hai, unke liye sunn karne ki dawa ya behoshi ki dawa jaruri jo jati hai. Debridement Treatment: Iske Ilaj ki Sahi Prakriya
Debridement ki prakriya mai haath ke upkaran ke saath-saath ultrasonic yantra ka istemaal bhi kiya jata hai. Inn yantro ke jariye pani aur high frequency operation ka istemal karke daanto mai se plaque aur tartar ko hataya jata hai. Periodontal ilaj mai debridement ki prakriya pehle apnai jati hai. Niyamit roop se aap dentist ke paas jate rahe. Aisa karne se wah aapke daanto ki phir se jaanch kar sakege aur usi anusar ilaj
karege. Tatpaschat scaling aur root planning ya periodontal surgery jese upchar kiye ja sakte hai. Iss Prakriya se Hone Wala Khatra Agar aapke masude plaque se prabhavit hai ya plaque ke karan suj gaye hai, to debridement ki prakriya karte samay unme se khoon bah sakta hai. Debridement se upchar ke douran aapke daant thande ya garm khane se prati sanvedanshil ho sakte hai. Chuki aapke daanto ki jado se plaque aur tartar hat jata hai isliye daanto ke jad jese hi khadya padarth ke sampark mai aate hai, aap daanto mai ajib tarah hi sansanahat mahsoos karne lagte hai. Debridement se sankraman ka bhi khatra bana rehta hai. Lekin aise mamale bahut kam paye jate hai. Iss Samay Mile Apne Dentist Se Agar aapko inme se koi bhi bimari hai to turant doctor se sampark kare:
Agar lambe samay se khoon riss raha hai. Agar aapko daanto ya masudo ka koi bhag sankramak ho gaya ho. Muh mai kisi bhi bhag mai sujan ya kisi tarah ka discharge ho raha ho. Nichle jabde ya gardsn ke lymph mai jab sujan aa gayi ho.
Niyamit roop se daanto ki safai aapke swasth ke liye bahut hi jaruri hai. To iss prakriya ko apnakar swasth rahe.