Fast Food Khane se Dimaag Par Padta Hai Yeh Prabhav Fast Food ka swaad bhale hi aapko lajij lagta hai aur ise baarbaar khane ka mann karta ho, lekin sacchai yeh hai ki yeh dimaag ko nuksaan pahuchahta hai aur iska adhik sevan karne se sochne-samajhne ki kshamta kam ho jati hai. Yeh baat to sabhi jante hai ki Fast Food motapa badhata hai. Lekin kya aap jante hai ki fast food dimaag ke liye bhi accha nahi hai. Ji haan naye shodh ki mane to fast food dimaag ko nuksaan pahuchahta hai. Iske anusar tale huye khane mai paye jane wale chemicals dimaag mai gadabdi paida karte hai. Jisse vyakti ka apni bhukh par niyantran nahi rehta hai.