Green Tea Benefits in Hindi Se Rakhiye Achhi Sehat

Page 1

Green Tea Benefits in Hindi – Jane Isse Hone Wale Swasth Labh Jyadatar log apni din ki suruwat chai ki chuskiyo ke sath karna pasand karte hai. Wahi kuch log subah ke akhbar ke sath chai pina pasand karte hai ya fir sham ko office se ghar loutne ke wakt. Chai pina logo ki jingadi ka hissa ban gaya hai. Aajkal green tea ka chalan kuch jyada hai. Darahsal green tea ko pine se kai swasth labh milte hai. Green tea pine se naa keval sadharan bimariya dur rehti hai, balki cancer aur Alzheimer jaisi bimariya bhi dur hoti hai. Vajan ghatane mai bhi green tea bahut madad karti hai. Green tea pine se aap tarotaza mehsus karte hai. To aaiye jante hai Green Tea Benefits in Hindi.

Acchi Sehat ke Liye Roj Piye Green Tea


Type 1 Diabetes Mai Faydemand Type 1 diabetes se grasit rogiyo ke liye bhi green tea bahut faydemand hoti hai. Kyoki green tea mai antioxidant bharpur matra mai paye jata hai. Jo sharir ko swasth rakhne mai madadgar hote hai. Green tea sharir mai glucose ki matra ko niyantrit karti hai aur insulin dava ke hanikarak prabhavo ko kam karne mai madad bhi karti hai. Motapa Kam Kare Motapa kam karne mai bhi green tea behad faydemand hai. Khane ke baad ek cup green tea pine se pachan ki gati badh jati hai. Green Tea mai moujud caffin se calorie kharach karne ki gati bhi badh jati hai. Iske karan vajan kam hota hai. Cancer Se Bachav Yaha tak ki green tea ke sevan se cancer hone ke chances bhi kam ho jate hai. Kuch shodho ke anusar green tea hamare sharir ki twacha ko cancer, blood cancer jaisi bimariyo se bachata hai. Iske niyamit prayog se pachan nail aur mutrasay ke cancer ki aashanka nai ke barabar hoti hai. Isliye cancer ke marijo ke liye green tea kisi chamatkari aushdhi se kam nahi hai. Chehre Ki Jhuriya Badhti umra ke sath hamare chehre ki twacha mai dhire dhire dhilapan aane lagta hai. Jisse chehre mai gehre daag jaisi aakrati banne lagti hai. Inn jhuriya ke karan hamari umra jyada dikahi padhti hai. Yeh aapke chehre par umra batane wale jhuriyo ko banne se rokti hai. Jiske karan samay se pehle budhapa aane wali samasya nahi hoti hai.


Rogo Se Dilaye Mukti Green tea mai Vitamin C, polyphenols ke alawa anya antioxidant moujud hote hai. Jo ki sharir ke free radicals ko nusht kar immune system ko majbut banate hai. Din mai tin se char cup green tea sharir mai lagbhag 300-400 miligram polyphenol pahuchati hai. Isse sharir mai bimariya hone ka khatra kam hota hai aur sharir rog mukt hota hai. High BP Mai Faydemand Kuch sodho ke anusar ek din mai ek cup green tea pine se 50 pratishat tak high blood pressure mai kami aati hai. Green tea khoon ke dhamniyo mai aaram pahuchata hai. Jisse High blood pressure ki samasya mai aaram milta hai. Livar Green tea livar ko do tarike se suraksha paradan kari hai. Ek to yeh livar ki koshikao ki suraksha karti hai aur dusra pratirodhi pranali ko majbut banati hai. Livar fail hone ke karan jinka livar pratyaropn hua hai. Us pratyaropan ko safal banane ke liye bhi green tea ka vishesh shahyak hai. Gree tea ai paye ja e wale ate hi u a teria’s ko arte hai jo food positioning ko anjaam dete hai. yahi nahi inn jeevanuon se janit toxins ko bhi marte hai. Depression Depression ke rogiyo ke liye bhi green tea vishes roop se madadgar hai. Green tea mai paya jane wala theanine ek prakar ka amino acid hai. Jo jaro chai mai prakratik roop se upladdha hota hai. Iske sevan se tan man shant hota hai.


Cholesterol Ghataye Green tea ko pine wale vyakti mai cholesterol niyantrit rehta hai. Asthma Green tea mai moujud theophylline bronchial tubes ko support karne wali mashpesiyo ko relax karta hai. Jisse ashthama ka prabhav kam hota hai. Green Tea Se Hone Wale Anya Labh  Green tea ke sevan se twacha sundar banti hai. Aur isse aapke baal bhi jhadna band hote hai.  Green tea ka niyamit sevan karne walo mai hriday rog hone ke chances 30 % tak kam ho jate hai.  Yeh aapke masudo aur daanto ko majbut banaye rakhne mai sahayak hai.  Iska niyamit roop se sevan karne wali mahila mai breast cancer hone ki sambhavana 17% tak kam ho jati hai.  Jab aap lagatar kam kar rahe ho to bich mai ek cup green tea piye. Isse aapko sharir mai tazagi mehsus hoti hai. Khayal Rahe:Green Tea mai caffeine ki matra bahut adhik hoti hai. Isliye iska adhik sevan karna bhi hanikarak ho sakta hai. caffeine ki adhik matra metabolism badhati hai. Jisse kai tarah ke labh milte hai. lekin adhik matra mai caffeine bhi sharir ke liye galat ho sakta hai. Jo mahila pregnant ho unke green tea ka sevan nahi karna chahiye. Kyoki isme iron aur folic acid kam hota hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.