Green Tea Disadvantages – Hari Chai Ke Dushparinam Ham sab log hamesha se yahi sunte aaye hai ki green tea swasth ke liye bahut faydemand hoti hai. Hari chai ke anek prakar ke swasthvardhak gun hote hai. Jab bhi aap green tea pee rahe hote hai to aapko lagta hai ki iss se jarur aapka vajan kam ho jayega. Iska sevan aapka bal jhadana rok dega. Aapke sharir ki sari gandagi bahar nikal jayegi aur aapka chehra khil uthega. Par kya aap yeh baat jante hai ki yadi green tea ka sahi tarah se sevan na kiya jaye to yeh aapke swasth ko bigad bhi sakti hai. Iske alawa agar iska jarurat se jyada sevan bhi kiya jaye tab bhi sehat ko nuksan pahuchtan hai. Jaise ki hari chai kabj, dast, ulti, chakkar aur sir dard jaisi samasya bhi paida kar sakti hai. Darahsal green tea mai caffeine mojud hota hai. Jo ki anidra paida karta hai. To agar aap apna vajan kam karne ya fir apne swasth ka khayal rakhne ki dristi se uska sevan kar rahe hai. To pehle iske sevan ki sahi jankari pata kare, uske baad hi ise apne sevan mai shamil karna hai. To aaiye jante hai Disadvantages of Green Tea aur uss se bachne ke upay.