Hair Care in Monsoon: Barish Mai Baalo ki Dekhbhaal Kare Barish ke mousam mai baalo ke baar-baar gile hone ka darr bana rehta hai. Barish ke douran baalo ke bhigne se pani mai moujud pradushit tatva baalo ko kamjor aur dull bana dete hai. Isliye baalo ko cover karke nikle. To aaiye jante hai Hair Care in Monsoon aur banate hai apne baalo ko sundar aur silky. Monsoon ke chipchipe mousam mai baalo ki halat kharab ho jati hai. Aise mai agar unhe uchit dekhbhaal aur poshan na mile to wo tut bhi sakte hai. Oily baalo se nikalne wala pasina vatavaran mai moujud gandagi ko aasani se apni aur akarshit karta hai inhi karano se baalo jaldi tutate hai. Aap apne baalo ko duppate se ya phir scarf ka istemaal kare aur apne baalo ko sahi tarike se cover kare. Chahe kooi bhi mousam kyu na ho aapko apne baalo ki sahi dhang se care karna jaruri hai. Baalo ko name pradan karne ke liye raat mai nariyal ka tel lagaiye. Yeh baalo ko bharpur name aur chamak pradan karta hai. Apne baalo ke anusar hi shampoo aur conditioner ka istemaal kare. Baalo ko thoda khayal rakhe aur har mousam mai paye swasth baal kyuki aapke baal aapke soundarya ka pratik hai. Aur agar inn sujhavo se bhi koi farq nahi pad raha hai to aap apne chikitsak se mile.
Monsoon Mai Sar aur Baalo ki Kya Halat Hoti Hai? 
Mousam mai nami ke karan pasina jyada bahta hai jiss wajah se scalp oily ho jati hai aur baal chipchipe ho jate hai.
Lagatar mousam mai name aur sharir se npasina aane ki wajah se sar bilkul chipchipa ho jata hai jiss wajah se sar ki twacha par jivanu aur fungus apna ghar bana lete hai. Paryavaran pradushan bhi hawa ke dwara khopadi aur baalo par chipak jate hai jo ki pehle se hi chiknapan liye hote hai.
Kesa Hai Aapka Conditioner? Apne hair ki quality ko dekhte huye aap prakritik conditioner ya acche bridal brands ka hi conditioner ka prayog kare. Nimbu ke ras ko 1 gm pani mai mila le aur shampoo karne ke baad iss pani se baalo ko dhoye. Nimbu se aapke baalo ki chamak barkarar rahegi aur yeh dandruff se aapke baalo ki suraksha karega. Shampoo karne ke 1 ghante pehle and ke safed bhaag ko hair mai acchi tarah se lagakar aadhe ghante ke liye chhod de aur phir shampoo kare.
Hair Care in Monsoon: Iss Mousam Mai Aise Kare Baalo ki Care Garmiya se rahat dilane ke liye monsoon ki shuruaat hoti hai to mano dil ko thandak mil jati hai. Lekin isi samay baalo ki samasya ka bhi mousam shuru ho jata hai. Iss mousam mai baalo ka jhadna aur sar ka chipchipa ho jana bada hi kharab lagta hai. Monsoon ke season mai apake baalo ka kya haal hota hai aur inki samasyao se nipatne ke liye kya kiya jaye, iske liye janye yeh aasan Hair Care in Monsoon tips:
Hair Styling Product ka Istemaal Kam Kare:
Barsat ke mousam mai styling product ka istemaal kam karna chahiye. Kyuki monsoon ke douran inka istemaal aapke baalo ko aur nuksaan pahucha sakta hai kyuki inn mai bahut saare chemical hote hai jisse aapke baal rukhe aur bejaan ho jayege.
Apne Baalo ko Sukha Rakhe: Barsat ke mousam mai jaha tak ho sake apne baalo ko sukha rakhe kyuki iss mousam jab tak barish hoti rehti hai aur hum bhi barish ka maja lene pahuch jate hai. Par isse humare baalo ko bahut nuksaan hota hai aur barish ka pradushan aur acid se bhara pani baalo ko nuskaan pahuchahta hai. To jaha tak ho sake barish ke pani mai bhigne ke baad turant saaf pani se baal ko dhoye aur acche se sukha le. Isse aapke baalo ko kam nuksaan hoga.
Chemical Free Shampoo Ka Prayog Kare: Monsoon mai baal bejaan aur kamjor ho jate hai. Dandruff ki wajah se baalo ki jade kamjor ho jati hai. Isi se baal anya dino ke mukable iss samay jyada jhadte hai. Monsoon season mai baalo mai kisi bhi kism ka hair gel aur conditioner lagane se bachna chahiye. Iss samay baalo mai chemical free shampoo ya mehandi lagana bahut accha rehta hai. Isse sar ki twacha se atirikt tel nikal jata hai, jiski wajah se twacha saaf ho jati hai.
Apne Aahar Par Dhyan De: Protein swasth baalo ke liye sabse mahatvapurna poshak tatva hai. To agar aap apne baal chamakdar aur khubsoorat banana chahate hai to semen, ande, gajar, sabut anaaj, sabjiya, kidney beans, badam aur low fat dairy product hi khaye. Homemade Hair Care Tips in Hindi ki madad se aap baalo ko ghar par bhi sundar bana sakti hai.
Niyamit Roop se Conditioning Kare: Aksar kuch logo ke baal barsat ke mousam mai dry ho jate hai. Jiss ki wajah se baal tutane lagte hai. Iss liye niyamit roop se apne baalo ko conditioning kare isse aapke baalo mai chamak aayegi.
Hair Care in Monsoon: Kuch Khaas Tips jo Aapke Baalo ko Rakhe Silky
Swimming se pehle aur bad mai baalo ko samanya pani se ek baar jarur dho le.
Baalo ko dhoop se bachaye.
Monsoon mai apne baalo ko roz shampoo kare kyuki iss samay pasina bahut jyada aata
hai. Mild shampoo ka pryoga sahe rahega. Apni khopdi ko bilkul sukha rakhne ki koshish kare. Barish ke pani se bachne ke liye
umbrella ka prayog jarur kare. Baalo ke hisab se conditioner choose kare. Oily baalo ke liye light conditioner aur sukhe
baalo ke liye jara sa strong conditioner accha hota hai.
Apne baalo ko hydrate rakhne ke liye bahut saara pani piye aur phalo ka juice piye.
Iss samay baalo ko jhadna aam baat hoti hai, to aise mai bilkul bhi na ghabraye. Upar aapne jane Hair Care in Monsoon ke liye betarin tips. To agar aap bhi apne baalo ki sahi dhang se care karna chahte hai to inn upay ko apnakar apne ki baalo ki care kare. Iss mousam mai baalo ka thoda khayal rakhe aur har mousam mai paye swasth baal kyuki aapke baal aapke soundarya ka pratik hai.