Hair Care Tips for Men in Hindi- Ganjepan Se Chutkara Paiye Wo jamana gaya, jab sirf mahilaye acche se taiyar hoti thi. Aajkal ke jamane mai purush bhi saj savarkar rehna pasand karte hai. Aur sir par agar baal na ho to ye sab bate ek abhishap jaisa lagne lagta hai. Purusho mai adhikatar choti umra mai hi baal jhadna aarambh ho jate hai. Jyadatar yeh samasya 25 se 35 saal ke umra ke purusho mai dekhne ko mil rahi hai. Darahsal aajkal ki bahgdod bhari jindagi, kaam ka jyada pressure aur baalo ki dekhbal naa karna hi purusho mai ganjepan ka ek karan ban gaya hai. Aksar purush yeh bhul jate hai ki baalo ko thik usi tarah care ki jarurat padti hai, jaise ki sharir ko. Agar aapke baal bhi tezi se gir rahe hai, aur aapke sir par bhi ganjapan zhalak reha hai, to niche diye gaye Hair Care Tips for Men in Hindi ko jarur apnaye.
Inn Tariko Se Kare Apne Baalo Ki Dekhbal Gile Baalo Ki Dekhbal Aapke baal aapke sharir ki tarah majbut nahi hote hai, isliye aapko apne baalo ki dekhbal acchi tarah karni hogi. Khakar jab bhi yeh gile ho. Gile baalo ko toliyo se jor jor se nahi ragadna chahiye isse baal tutenge, sath hi jo naye aane wale baal hai un par bhi bura asar padega. Haircut Karwaye Jab bhi aapko lage ki aapke baal bahut jyada jhadene lage. To sochne mai bilkul bhi time na le aur turant hi apne baalo ko chota karwa le. Chote baalo ko gile se sukhne mai bilkul bhi der nahi lagti. Baalo ko chota rakhne se yeh bina kisi nuksan ke stylish lagenge. Hatho Se Suljhaye Bahut se log apne gile baalo mai hi khanghi fair lete hai. Jabki gile baalo mai khanghi fairna sahi nahi hoti hai. Tab aapke baal najuk avastha mai hote hai, aise mai na keval aapke baalo ko balki sir ki twacha ko bhi nuksan pahuchta hai. Isliye gile baalo ko ungaliyo se hi thik kar le, aur jab yeh such jaye inpar kanghi chalani chahiye. Hair Treatment Ko Kahe Naa Agar aapke baal kamjor hai to unhe straight ya fir curly nahi karna chahiye. Iske alawa apne baalo par color karna bhi sahi nahi hoga. Iss tarah ke utpadno mai rasayan mile hote hai. Jo baalo ko dhire dhire kharab kar dete hai. Aise product baalo ko dubara ugne mai badha utpan karte hai.
Herbal Utpado Ka Kare Prayog Agar aap bina kisi nuksan ke apne baal zhadna rokana chahte hai to aapko aayurvedik chizo ka istemal karna suru kar dena chahiye. Bhringraj: Majbud aur ghane baalo ke liye aayurved mai Bhringraj ka kaafi mahatva mana gaya hai. Yeh na keval ganjapan dur karta hai balki samay se pehle baalo ko safed bhi nahi hone deta. Amla: Jab baalo ki dekhbal ki baat ho rahi aur amla ka naam na aaye aisa bilkul bhi nahi ho sakta. Amla mai bharpur matra mai antioxidant aur vitamin C paya jata hai, jo ki baal badhane mai madad karta hai. Amla ko hina aur dahi mai milkar pack banaye aur baalo par lagaye. Neem: Yeh baat to sab jante hai ki neem ke istemal se baalo mai se rusi aur juwo ki samsya dur hoti hai. Lekin yeh baat bahut kam log jante honge ki iske istemal se baal ghane bhi hote hai. Neem ka powder taiyar kar le, isse dahi ya nariyal tel mai milakar baalo ki jad mai massage kare. Rittha (Soapnut Shells): Rittha ke istemal se bhi baalo ko kala aur ghana banaye rakhne mai madad milti hai. Rittha powder tel mai milakar, sir ki massage karne se baal jhadna ruk sakte hai. Methi(Fenugreek): Methi (Fenugreek) ko puri rat bhigo de aur subah usse gadi dahi mai milakar apne baalo aur jado mai lagaye. Uske bad baalo ko dho le.
Isse rusi aur sir ki twacha mai hogi who dur ho jayegi. Methi mai nikotinik acid aur protein paya jata hai, jo baalo ki jado ko poshan pahuchata hai aur baalo ki growth bhi badhata hai. Iske prayog se sukhe aur damage baal bhi thik ho jate hai. Hara Dhaniya(Coriander): Hare dhaniye ka lep jis sthan par baal ud gaye hai, waha karne se baal ugne lagte hai. Pyaj(Onion): Har ghar mai aasani se milne wale pyaj bhi baalo ke ugne ke liye ek prabhavi nushko ki tarah kaam karta hai. Pyaj katkar do bhag kare. Aadhe pyaj ko ganj wale par 5 minute roj ragde. Fir shehad lagaye, baal aane lagenge.
Bal Girne Ke Karan-Yeh Bhi Jane Bal zhadne (Hair Fall) ke karan to aapko pata chal gaye, lekin aapko yeh bhi to pata hona chahiye ki iske piche ka karan kya hai. Baalo ka jhadna ya girna ek ghmbhir samsya hai par purusho mai baal jhadana ek aam samsya ki tarah dekha jata hai. Isse Androgenic Alopecia kehte hai. Yeh jyadar anuvanshik karno se hota hai. Yeh pidhi dar pidhi parivaro mai chalta hai. Purusho ke 40 varsh ki aayu ke aaspas baal jhadna suru ho jata hai. Lekin kai logo mai yeh samsya isse pehle bhi suru ho jati hai. Iske alawa bal jhadne ya fir ganjepan ke kai karan hai jaise – baalo ki jado ka kamjor ho jana, pituitary gland mai harmones ki kami, sir par rusi ki adhikta, baalo ki jado mai poshak tatvo ki kami, adhik mansik mehnat, sir mai badhti garmi, lagatar sir dard rehne se raktsanchar mai kami, bhojan ka sahi dhang se naa pachana, sir ke snayu mai pran pravah ki kami aadi.