Hair Spa at Home in Hindi: Ghar Par Banaye Balo Ko Sundar

Page 1

Hair Spa at Home in Hindi - Ghar Par Hi Kare Baalo Ki Dekhbal Ham sabhi chahte hai ki hamare baal khoobsurat lage. Baalo ke wajah se sundarta aur jo badh jati hai. Lekin pollution aur dhul mitti ke wajah se hamare baal kharab(damage) ho jate hai. Baalo ko sirf acche shampoo se dho lene ya conditioner apply kar dene se baal acche nahi ho jate. Baalo ke sahi texture aur shine ke liye isko atrikt dekhbal ki jarurat hoti hai. Iska sabse accha koi tarika hai to wo hai hair spa. Hair spa mai oitel ki malish, shampoo, hair mask aur conditioner ka istemaal karke baalo ko accha banaya jata hai. Lekin spa treatment ka kharch uthana aapke liye thoda na munkin sa he. To ham aapko batana chahte hai ki aap bina koi kharch uthaye ghar par bhi hair spa treatment kar sakti hai. Spa treatment naa keval aapke baalo ko poshan dega balki aapke mental stress ko bhi kam kar dega. Iss treatment ki madad se aap apne baalo ko silky and shiney bana sakti hai. To aaiye jante hai Hair Spa at Home in Hindi, ghar baithe hi spa karne ka tarika.

Hair Spa at Home in Hindi: Ghar Par hi Inn Aasan Tariko ko Apnaye


Kis Tarah Kare Shuruwat? Jaisa ki ham sabhi jante hai ki Hair Spa Treatment karne ke piche ka hamara mukhya maksad baalo ko poshan dena hai. Baalo ka rukha, bejan, rusi jaisi samasya hamare baalo ko kharab kar deti hai. Aese mai inn sabse nijad pane ka sabse accha tarika kuch hai to wo hai tel ki malish. Tel Ki Malish Se De Baalo Ko Poshan Tel ki malish karne se hamare baalo ki rusi khatam hoti hai aur baal mulayam hote hai. Baalo ka rukhapan kam karne ke liye baalo mai nami ka hona bahut jaruri hai. Isliye hair spa treatment ki pehli step hai baalo mai tel se massage ki jaye. Baalo ki malish karne ke liye nariyal, baadam, jaitun ka tel tino hi faydemand hai. Aap chahe to tino tel ka mishran bhi bana sakti hai. Iss tel ko lagane se pehle thoda halka garm kar le. Fir ise cotton ball ki madad se sir ke scalp mai acchi tarah lagaye. Fir pure baalo mai acchi tarah se tel lagaye. Ab 20 minute tak baalo ki champi kare. Steaming Ab 1 garam balti mai toliya ko bhigo de. Fir iss toliye ko apne sar par rakhe. Iss garam toliye se hamare sar ke roam chhidra khul jate hai aur tel acche se sar ke andar tak jaa pata hai. Agar aapke pass hair steamer hai to aap direct uska bhi istemaal kar sakti hai. Baalo Ko Dhoye Hair Spa in Home ke tisri step mai baalo ko dhoya jata hai. Baalo ko dhone ke liye aap kisi bhi acchi company ke mild shampoo ka istemaal kare. Iss wakt aapko ek baat ka khayal rakhna hai ki baalo ko dhone ke liye jyada garam pani ka istemaal na kare. Kyoki ham already baalo ko steam de chuke hai. Ab yadi baalo ko garam pani se dhoya jaye to baal tut sakte hai. Baalo Ko Komal Banane Ke Liye Conditioning Shampoo karne ke baad baalo ko halke hatho se tawel ki sahayata se pouche. Ab bari aati hai baalo ko conditioner lagane ki. Ab market se milne wala koi bhi accha


conditioner ka istemaal kar sakti hai. Ise lagan eke baad 4-5 minute mai baal dho le. Agar aap baalo ki prakratik conditioning chahti hai to baalo mai hari mehndi laga sakti hai. Iske liye ek raat pehle hi mehndi ko lohe ki kadai mai bhigo kar de. Usme aap aavle ke tukde aur dahi bhi mila sakte hai. Lohe ki kadai mai bhigoyi hui mehndi lagane se baalo ko iron milta hai aur baal majbut bante hai. Lekin mehndi se conditioning karne ka vikalp aap tabhi chun sakti hai jab aap hair spa karne ke liye bahut samay free ho. Kyoki sar par mehndi ko ded ghante tak rakhna hota hai. To jab wakt ki kami ho market mai milne wale conditioner ka hi istemal kare. Hair Mask Ab baalo ko chode muh wali kanghi se suljhaye aur hair mask lagaye. Hair mask banana ke liye ek katori mai dahi aur 2 chammach nimbu ka ras le. Fir iss mishran ko baalo par 15-20 rakhkar mild shampoo se dho le. Aap chahe to aloevera jel ka istemaal bhi kar sakti hai. Isse aapko shampoo se baalo ko dhone wali prakriya ko doharana nahi padega. Aap sirf pani se bhi apne baalo ko dho payegi. Ab baalo ko sukhne de. Hair dryer ka istemaal na kare. Baalo ke sukhte hi hatho se suljhale. Jane Hair Spa Benefits in Hindi     

Hair Spa lene se baalo mai chamak aati hai. Isse baalo ki rusi khatam hoti hai. Baalo ka jharna aur tutna band ho jata hai. Baalo ko poshan milta hai. Domuhe baalo se chutkara milta hai.

Aaj aapne jana Hair Spa at Home in Hindi. Baalo ko mulayam aur chamakdar banana ke liye mahine mai 1-2 baar hair spa jarur karna chahiye. Isse aapke baal dekhne mai bahut acche lagenge.



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.