Health Benefits of Yogurt: Rahiye Swsth aur Dikhiye Sundar

Page 1

Health Benefits of Yogurt: Dahi Se Paye Sehat aur Sondarya Dahi hamare swasthya ke liye bahut labhdayak hota hai. Roj ek katori dahi khane se pachan kriya sahi rehti hai. Dahi mai bharpur matra mai calcium, protein aur vitamin paya jata hai. Hamari bhartiya sanskrati mai to prachin kal se hi dahi ka bahut mahatva raha hai. Chahe koi vivah ho ya kisi karya ka subharambh, har subh avsar par dahi ka istemal hota hai. Darahsal mana jata hai ki yadi kisi ko subh karya ko karne se pehle dahi khilaya jaye to use safalta milti hai. Hum aapko batade ki dahi ke bahut hi labh hote hai. Isse na keval hamara sharir swasth banta hai apitu hamare sondarya ko badane mai bhi yeh behad labhkari hai. Aur khas baat to yeh hai ki yeh sasta hone ke sath sath aasani se bhi mil jata hai. Aapko yeh baat jankar shayad aashcharya ho lekin dahi, dudh ke mukable bhi kai jyada fayda pahuchata hai. Dahi mai dudh ke apexa jyada calcium paya jata hai. Iske alawa dahi aasani se pach bhi jata hai. Rojana dahi khane se digestion acchi tarah hota hai aur khulkar bhook bhi lagti hai. Isliye jin logo ko pet ki pareshaniya jaise ki apach, bhook na lagna aadi ho, wo dahi ka sevan jarur kiya kare. To aaiye iss lekh mai ham aapko batate hai Health Benefits of Yogurt, dahi se milne wale swasthprad labho ke bare mai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.