Heart Health Tips Se Rakhiye Apne Aap Ko Sehatmand

Page 1

Heart Health Tips – Dil Ko Swasth Rakhne Ke Upay Swasth jivan jine ke liye sabse jaruri hai dil ka sehatmand hona. Aur aap sehatmand dil tabhi paa sakte hai jab aap swasth jivan sheli ji rahe ho. Agar aapka dil sehatmand nahi hai to fir aapki jivan sheli bhi swasth nahi ho sakti. Aap shayad hi yeh baat jante honge ki 66 saal ki jindagi mai hamara dil karib 2.5 billion baar dhadakta hai. Isliye hame apne dil ka acche se khayal rakhna behad jaruri hai. Darahsal hriday ki bimariyo se hone wali mritu dar aaj bhartiyo mai prat din badh rahi hai. Aur iska sabse bada karan hai hamari laparwahi. Aapki jivan sheli mai kai aesi chize hoti hai. Jo aapki dil ki sehat par bura asar dalti hai. Junk food aur dusre fast food mai badi matra mai trans fat paye jate hai. Yeh hamari dhamni mai jama ho jate hai. Jisse dil ke liye thik tarah se apne kaam jo anjaam de pana muskil ho jata hai. Hriday swasth ke vishay mai sampurn jankari ikatthi kar aap na keval swayam ko hriday ki bimariyo se bacha sakte hai. Balki apne parivar ko bhi surukhsit rakh sakte ahi. Swasth hriday ke liye kuch aavyashak baato par dhyan jarur de. To aaiye jante hai Heart Health Tips in Hindi, dil ko swasth rakhne ke upay.


Dil Ko Healthy Rakhna Hai To Apnaye Yeh Upay Check Up Karwaye Kisi bhi routine ko follow karne se pehle sabse pehle to hamara yeh jaana jaruri hai ki hamara sharir kesa hai. Acche swasth ke liye sabse pehle to regular checkup bahut hi aavyashak hai. Iss bhagdod bhari jivan sheli mai ham bahut hi aswasth jindagi jite hai. Hamari is nishkriya jivan sheli ke karan purusho mai 45 varsh ki umra ke baad aur mahilao mai 55 umra ki varsh ki umra ke baad dil ka doura padhne ki sambhavna badh jati hai. Poshtik Aahar le Poshtik tatva se bharpur aahar lene se hamara sharir to behtar rehta hi hai. Sath hi tanav bhi kam hota hai. Isse hamara dil sehatmand bhi rehta hai. Aese bhojan se bache jinme jyada matra mai trans fat paye jate hai. Fal aur sabjiya vitamin ka accha strot hai. Sabjiyo aur phal mai calorie ki matra kam hoti hai. Aur sath hi inme fiber jyada matra mai hota hai. Hari sabjiyo mai paya jane wala padhart hriday rogo ko hone se rokta hai. Hari sabjiyo aur phalo ka sevan karne se aap jyada vasa wale aahar jaise Fish, paneer aadi kam khayenge, jo ki dil ke liye faydemand hai. Madak Padharto Se Kare Touba Bahut adhik matra mai madak padharto ke sevan se blood pressure badh jata hai. Jisse aage jakar dil ka doura, Heart Attack hone ki sambhavna badh jati hai.


Vyayam Kare Jyada se jyada physically active rahne ki kosis kare. Agar aap pure din office mai bethkar kaam karte hai. To khud ko physically active rakhne ke liye subah ya sham mai walk par jaye ya cycling kare. Iske alawa sports, aerobics aur dancing se hamara dil sehatmand rehta hai. Har roj kam se kam 30-40 minute tak workout karne ki aadat dale. Yadi aap bahar nahi jana chahte to ghar par hi yoga aur dhyan kar sakte hai. Kali Chai Faydemand Kali chai dil ki sehat ke liye bahut acchi hoti hai. Ek taza shodh mai yeh baat samne aai hai ki kali chai mai vishesh tatva moujud hote hai. Kali chai mai prachurta se paya jane wala ek prakar ka flavonoid hota hai jo dhamniyo ko oxikaran se hone wale nuksan se bachata hai. Sath hi yeh hriday se sambhandhit bimariyo ki sambhavna ko bhi kam karta hai. Kam Namak le Blood pressure ke badhne ka sabse bada karan hota hai. Adhik matra mai namak ka sevan, jisse hriday sambhandi samasya hone ka khatra badh jata hai. Gussa Karne Se Bache Hriday ke marijo ke liye gussa jaan leva bhi ho sakta hai. Tanav dur karne ka har sambhav prayas kare. Aap meditation aur yoga ka sahara bhi le sakte hai.


Drumpan Na kare Dhrumpan fefdo ke sath sath dil ke liye bhi nuksandeh hai. Pratayax aur apratayak dono prakar se dhoompran dil ko kamjor banata hai. Isliye acche dil ke liye behatar hai ki aap dhroompan se door rahe. Kam Vasa Wale Protein Aahar Chune Leen meat, anda, machali, kam vasa wale dairy utpad protein ke sabse acche stroto mai gine jate hai. Lekin ande ko khane se pehle uske andar ke pile hisse ko nikal dena chahiye. Machali mai vasa hota hai. kuch machaliyo mai omega-3 fatty acid hota hai. Jo blood se fat (Yane ke khoon mai vasa ko ) kam karta hai. Vajan Niyantrit Rakhe Motapa dil se sambhandhit kai bimariyo ki jad hai. Aap yeh pata karle ki aapki lambai ke hisab se kitna vajan aapke liye sahi hai. Iss par niyamit roup se najar banaye rakhe. Apne swasth aur rahan sahan par thoda dhyan dekar aap hriday sambhandi samasyao se bach sakte hai. To aaj se hi inn samanya baato par dhyan dena suru kar de.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.