Home Remedies for Blocked Nose: Band Naak Ke Upchar

Page 1

Home Remedies for Blocked Nose: Bnad Naak ke Liye Ghrelu Upchar Naak mai hone vali koi bhi paresahni aapke liye khatrnaak sabit ho sakti hai. Isliye aaiye iss problem se bachne ke liye hum aapko batate hai, Home Remedies for Blocked Nose. Band naak logo ko iss kadar pareshan kar deti hai ki, unka kisi bhi kaam mai man nahi lagat hai. Par hamare gharo mai barso se hamare nanai dadi ne apna pura yogdan diya hai. Agar hum bajaru dawaiya kaha chhod keval inhi ke nuskhe ajmaye to hamari kafi sari bimariya dur ho jayegi. Nose blockage hone par aapko kuch bhi samjh nahi aata hai. Aapko man kisi bhi kaam mai nahi lagat hai. Aapko har samay bas dhyan apni naak ki taraf jata hai .Isliye aise mai accha hoga ki aap ek accha sa treatment lekar iss bimari se bachiye aur hamesha swasth rahiye. Mousam badlte hi kai logo ki naak baad aur gala kharab ho jata hai. Mousam ke iss badlav ke samay se honi vali samasya se aap bhi pareshan hai to, hum aapke liye le kar aaye hai kuch dadi maa ke ghrelu nuskhe. Inn asardar nuskhe se aap jaldi hi band naak ko khol sakte hai.

Home Remedies for Blocked Nose ke Dwara Paiye Band Naak se Rahat Namak Pani ka Ghol Home Remedies for Blocked Nose ki baat kare to hum bol sakte hai ki, namak ek bahut accha ghrelu upchar hai. Naak ko namak aur pani ke ghol se done par bacteria aur virus khatam hote hai. Agar naak bhari huye hai to yeh nuskhe jarur apnaiye. Bhap Lijiye Kholte huye pani mai thodi di pudina ki pattiya ko piskar daal dijiye. Fir ise 2 minutes aise hi rahne dijiye. Uske baad iss pani se bhap lijiyeaur aisa din mai 2 baar jarur kijiye. Naak Par Garam Seka Agar aap kuch nahi kar pa rahe hai, to garam cotton ki boll le kar use kholte pani mai dale aur usko apni naak ke upar rakh de. 2 Miuntes mai hi aapko isse aaram milega.


Masaaledar Khana Khaye Masaaledar khana aapki band naak ko turant hi khol deta hai. Isliye jab bhi aapko aisa lage ki aapki naak band hai tab aap use samay aisa masaaledar bhojan kijiye . Jisse aapko bahut fayda milega. Nimbu ki Chai Garam black tea mai kuch bunde nimbu ki nichod kar pijiye. Aap chahe to isme ek 1 chhota chammach shahad bhi mila sakte hai. Isse aapki band naak turant khul jayegi. Nilgiri ka Tel Ek chammach nilgiri ka tel garam kare. Fir ise halke sa thanda kar ke naak mai 2 bund laga lijiye. Isse aapko turant aaram mil jayega. Aisa raat ko sone se pahle jarur kijiye. Jisse aapko bahut adhik fayda milega. Home Remedies for Blocked Nose ke Dwara Paiye Band Naak se Chutkara

Lahsun ka Soup Aap vegetable soup bana kar usme 3-4 pisi huye lahsun ki kaliya daal sakte hai. Yeh soup aapko kafi had tak fayda pahuchayega. Tulsi ke Patte Aap chahe to kuch tazi ghuli huye tulsi ki pattiya ka sevan bhi kar sakte hai. Isse aap ki sardi turant hi chali jayegi. Aur aapko bahut had tak aaram milega. Shahad Ek cup halke garam pani mai 2 chammach shahad ki milaiye. Isse pine se aapko band naak ke saath-saath aapka pkaa huya gala bhi theek ho jayega. Iss ghol ko din mai 2 baar pijiye. Sarson ka Tel Ek chammach sarson ka tel garam kare, jab vah thoda thanda ho jaye tab ise naak mai ke andar lagaiye. Isse aapki naak khul jayegi.


Gajar ka Ras Gjaar ke ras mai bahut acche chikitsak gun shamil hote hai. Jo ki aapke nose blockage ko hamesha ke liye khatam kar deta hai. Aap ek gilaas gajar ka ras, ya chukndar, kheere aur palak ke ras ko ek saath le sakte hai. Yeh aapki naak ke infection ko hamesha ke liye khatam kar deta hai. Vese Home Remedies for Blocked Nose me gajar ka naam sabse pahle aata hai. Kale Jeera Iss samasya se aaram pane ke liye thoda sa kale jeera ke beez le aur unhe ek palte kapde mai bandhe lijiye Fir isse thodi der ke liye apni naak par rakhiye. Turant rahat pane ke liye iska upyog kijiye iss aapko bahut jaldi fayda milega. Methi ke Beej Ek chammach methi ke beej ko ek pani ke saath ubaliye. Ise panch minutes acche se ubal kar chhan lijiye. Ab yeh chai ko ek baar jarur pijiye. Kamal ki Jad, Adark aur Aata Iss infection ko dur karne ke liye aap ek pack banaiye. Jisme kamal ki jad, adrak aur aata mila lijiye. Ise raat bhar apni naak aur maathe par laga rakhe aur subah hote hi use garam pani se dho lijiye. Iss gharelu upchar ko sardiyo mai bhi istemaal kiya ja sakta hai. Upar aapne jane Home Remedies for Blocked Nose. To bas der kis baat ki aaj se inn ghrelu upchar ke dwara apni band naak ko theek kijiye aur hamesah swasth rahiye.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.