Home Remedies for Dandruff: Apne Balo Ko Rusi Se Bachaye

Page 1

Home Remedies for Dandruff: Balo Se Rusi Dur Karne ke Upaye Aaj ke samay mai rusi ki samasya behad aam ho gayi hai. Yeh samasya jyadatar balo ki dekhbak ke abhav mai hoti hai.Balo mai rusi hone ki wajah se hame kai bar sharminda bhi hona padta hai. Yeh ek prakar ka fungle infection hota hai. Iss infection mai yeast sar ki mrit twacha ko khate hai. Isse sar ki twacha ke uttak(tissue) marne lagte hai aur safed rang ke rave(Rusi)ke kan twacha par jama hone lagte hai. Rusi ki wajeh se sar mai khujali hone lagti hai aur baal bhi jharne lagte hai. Sath hi jab rusi ke safed kan twacha par padte hai to chehare par pimple bhi hone lagte hai. Rusi ki wajah se hone wali khujli se kai log chidchide bhi ho jate hai. Isliye iska sahi tarah se ilaj karna bahut jaruri hota hai. Vaise to Ise dur karne ke liye bajar mai kai prakar ke shampoo uplabdh hote hai, lekin inme upasthit chemicals se hamare balo ko nuksan pahuchta hai . Isliye rusi ko dur karne ke liye gharelu tariko ko apnana behtar vikalp hai. Iss lekh mai ham aapko Home Remedies for Dandruff bata rahe hai jiski madad se aap apne balo ki rusi dur kar sakte hai.

Home Remedies for Dandruff: Iss Tarah Kare Balo Ki Rusi Dur


Tel Ki Malish Balo se rusi ko dur karne ke liye sar ki acchi tarah se malish bahut jaruri hoti hai. Malish karne se sar ke rome chidra khul jate hai. Malish karne ke liye aap sarso ya fir nariyal ke tel dono istemal kar sakti hai. Bus tel mai thoda sa kapoor milaiye aur malish kijiye. Kuch der bad ek toliye ko gungune pani mai acchi tarah bhigokar nichoriye aur sar par 15 minute tak rakh de. Fir balo ko dho lijiye. Aloe-Vera Ka Prayog Aloe-Vera best Remedies of Dandruff mana jata hai. Isme kai antifungal gun paye jate hai. Jo ki rusi dur karne mai sahayak hote hai. Ise lagane ke liye fresh aloe-vera ke ras ko nikal le. Fir ise balo mai lagakar 1 se 2 hours tak rakhe uske bad thande pani se dho le. Rusi ke sath sath yeh balo ko lamba aur chamakdar banana mai bhi sahayak hai. Methi Bhi Faydemand Methi kai ghar mai mojud hoti hai. Isme Nicotinic Acid, Amino Acid aur Lecithin namak chemical paye jate hai jo ki balo ki rusi ko jado se dur karne mai sahayak hote hai. Sath hi yeh tatva balo ko majbuti bhi pradan karte hai. Nimbu Ka Ras Garm tel mai nimbu ke ras ko milakar malish karne se rusi ko aasani se dur kiya ja sakta hai. Nimbu mai prachur matra mai vitamin aur kai antioxide paye jate hai. Jo rusi ko jad se khatm karne mai sahayak hote hai aur sath hi balo ko lamba ghana aur majbut banana hai. Ise rojana tel ke sath milakar lagane se balo ka jharna bhi band ho jata hai. Iss


prayig ko karne ke liye nahane se pehle balo mai kuch der nimbu ke ras ko lagakar fir dhone se bhi rusi mai bahut fayda milta hai. Dahi Dahi ka prayog bhi balo se rusi ko dur karne mai kiya jata hai. Dahi me amliya (acidic) aur conditioning gun paye jate hai. Jo ki balo ko silky, lamba, ghana aur majbut bhi banate hai. Ise iss parakar se lagaya ja sakta hai.  Dahi mai nimbu ka ras milaye aur fir ise balo mai lagakar 20 se 30 minute tak rakhe fir thande pani se baal dho le. Isse balo se rusi jald hi kam hone lagti hai.  Dahi mai Kalimirch ke churna ko milakar lagane se bhi balo se rusi dur ho jati hai. Isko hafte mai 2 se 3 bar lagane se baal kale, ghane aur majbut bhi bante hai.  Dahi ko aese hi balo par lagakar kuch der rakhe aur fir kisi aayurvedic shampoo ko lagaka dho lene se bhi rusi dur ho jati hai. Neem Ki Pattiya Home Remedies For Dandruff ki list mai Neem ki pattiya bhi shamail hai. Yeh rusi ko dur karne mai bahut prabhavi hoti hai. Isme antifungal yane ki kitanu nashak gun paye jate hai jo ki rusi ko teji se dur karne mai sahayak hote hai. Ise baalo par lagane ke liye iski pattiyo ko acchi tarah se pani mai ubaal le. Uske bad iske pani se baalo ko dhule. Aesa hafte mai 3 se 4 bar karne se jald hi rusi dur ho jati hai.


Dandruff Home Remedies: Inn Upayo Ko Bhi Apnaye  Rat mai sone se pehale pani mai sirka milakar iss mishran ko sar mai acchi tarah se lagaye. Subah pani se baal dho le. Aesa hafte mai 2 se 3 bar tak karne se rusi se nijad paya ja sakta hai.  Baalo ki sahi tarah se safai na karne se bhi sar ki twacha shushk pad jati hai aur rusi namak sankaramn failne lagta hai. Isliye baalo ki safai, rusi ko dur karne mai mahatvapurna bhumika nibhata hai.  Baalo mai gile toliye ko lapetkar pani ki garm bhaap dene se bhi rusi dur ho jati hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.