Home Remedies for Fair Skin – Janiye Rangat Nikharne Ke Upay Jab bhi khubsurti ki baat ki jati hai, to gori nikhari twacha ka khayal sabse pehle hamare dimag mai aata hai. Aajkal gori twacha har field ki demand ban gayi hai fir chahe wo job interview ho ya fir shaadi ka rista judne ki baat . Gore rang hone se kai kaam aasani se ho jate hai. Aur Iss gorepan ko pane ke liye aap kai tarah ke upay bhi karte hai. Jaise ki mehangi cream aur lotion aadi ka istemal. Iss tarah ke products ka use karke aap khubsurat dikhne mai safal to ho jate hai, lekin yeh khubsurti kuch hi samay tak rehti hai. Iske baad bhi itni bhagdod ku? Hum aapko bata de ki aap ghar bethe bhi gori twacha paa sakti hai. To aaiye jante hai Home Remedies for Fair Skin.
Gori Twacha Pane ke Gharelu Nushkhe Yeh baat bhi sach hai ki aap apni rangat ko keval ek raat mai nahi badal sakti. Isliye ham aapko aese prakratik tariko ke baare mai batayenge jisse aap twacha ka bina nukasan kiye hafte bhar mai gori dikh sakti hai. Chandan (Sandalwood) Twacha ka rang nikharne ke liye Chandan ka istemal bahut purane samay se kiya jaa raha hai. Gori rangat dene ke alawa yeh allergy aur pimple ko bhi dur karta hai. Lagane ki vidhi: Chandan powder mai ek chammach nimboo aur tamatar ka ras milaye. Iss paste ko apne chehre aur gardan mai acchi tarah se lagakar thodi der baad pani se dhole.
Haldi (Turmeric) Tawacha ki rangat ko nikharne ke liye haldi(Turmeric) bhi ek acha upay hai. Haldi mai taaji malai, dudh aur besan milakar gaadha paste banaye, iss paste ko apne chehre par 10 minute laga kar rakhe aur thande pani se dho le. Besan naa hone ki stithi mai aap gehu ke aate ka bhi istemal kar sakte hai.
Kesar (Saffron) Kesar ubatan banane ke liye dahi aur cream mai thoda sa kesar mila le. Iss paste ko apne chehre par lagaye. Sukhane ke baad isse dhole. Kesar ke iss ubatan se bhi kuch din mai apki tawacha gori hone lagegi. Badam(Almond) Shayad bahut kam log yeh baat jante honge ki badam se sirf sehat hi nahi banayi jaa sakti balki rang bhi nikhara ja sakta hai. Raat ke samay 10 badam 1 pani bhare katore mai dalkar rakhe aur subah uthte hi use
chilkar uska paste bana le. Ab iss paste ke sath thoda sahad milaye aur ab iss scrub ko apni twacha par lagaye aur scrub kare. Nimbu(Lemon) Nimbu aur shahad ko acchi tarah milaye. Fir 20 minute ke liye iss ghol ko chehre par lagaye. Baad mai thande pani se dho le. Agar aapki twacha dry hai to nimbu ki jagah khire ka prayog bhi kar skte hai. Iss paste ko aap chehre ke alawa sharir ke baki hisse par bhi laga sakte hai. Aap rat ko sote samay pratyax nimbu ka ras bhi laga sakte hai. Lekin dhayan rahe nimbu ka ras lagate wakt aankho ko jarur bachaye, Ise lagane ke baad thodi si jalan hogi, lekin kuch der baad yeh thik ho jayega. Dahi (Curd) Plain dahi ko chehre par lagaye aur kuch der baad ise dudh se saaf kare. Dudh aur dahi mai twacha ki rangat nikharne ke gun hote hai. Lagataar iska prayog karne se aapko khud hi parivartan najar aane lagega. You may also like: Benefits of Curd on Hair: Dahi Se Nikhare Apne Baal Gulab Jal(Rose Water) Gulab jal mai dudh, nimbu ka ras aur chane ka aata milaye. Iss paste ko din mai ek baar chehre par lagaye aur 15 minute baad ise dho le. Iss paste ke niyamit prayog se aapki twacha mai nikhar aayeg
Kela (Banana) Ek pake kele ko lekar acche se mash kar le aur chehre par lagaye. Tin ya char min baad ise dho le. Aap chahe to isme kaccha dudh bhi mila sakte hai. Ise hafte mai ek baar jarur lagaye. Isse bhi dhire dhire aapka rang nikharne lagega.
Inn Tariko Se Bhi Paa Sakte Hai Gora Nikhar Ek balti gungune pani mai do nimboo ka raas milakar garmiyo mai kuch mahine tak nahane se tawacha ka rang nikharne lagata hai. Jyada pani pine se bhi twacha mai nikhar aata hai. Aawale ka murabba roj khane se do tin mahino mai hi rang nikharne lagta hai. aadha glass gajar ka juice subah khali pet lene se ek mahine mai rang nikharne lagta hai. Pet ko hamesha thik rahne de, kabj na rehne de. Chai coffee ka sewan kam kare. Rojana subah sham khana khane ke baad thodi matara mai souf khane se khun saaf hone lagta hai aur twacha ki rangat badalne lagati hai.