Home Remedies for Stretch Marks – Nisano Se Paye Mukti Twacha par hone wale stretch marks se bahut si mahilaye pareshan rehti hai. Aur wo pareshan ho bhi kyu naa inse unki khoobsurti bhi prabhavit hoti hai. Stretch marks sharir par padi safed dhariya hoti hai jo ki garbhavastha, wajan ka badhna aur umra badhne ki wajah se hoti hai. Sharir par stretch marks tab hote hai jab twacha over stretch ho jati hai. Stretch marks ko samanya bhasa mai safed kshin rekhae bhi kaha jata hai. Ye unn logo mai bhi dekhne ko milti hai jo jim mai jakar body building ke liye exercise karte hai, unhe bhi yeh pareshani kandhe, peeth ya jangho mai ho jati hai. Kai cases mai to stretch marks khud ba khud gayab ho jate hai. Lekin jyadatar cases mai yeh apne aap nahi jate. Kai logo mai to harmones me ho rahe badlav ke chalte bhi yeh samasya aati hai. Bajar mai inn stretch marks se chutkara dilane ke liye kai products mojud hote hai. Par isse milne wale labh ke bare mai kuch kaha nahi jaa sakta. Sath hi inn utpado mai mojud rasayan twacha ko nuksan bhi pahuchate hai. Isliye behatar hai ki inhe hatane ke liye gharelu upayo ki madad li jaye. Aaiye jante hai Home Remedies for Stretch Marks.
Jane Stretch Marks Hatane Ke Prakratik Tarike Prakratik tariko se stretch marks ko aasani se hataya jaa sakta hai. Lekin inhe hatane se pehle ham aapko yeh batana chahenge ki stretch marks hone ka karan kya hai. Hamari twacha do satah mai bani hoti hai. Jab bhi koi insan mota hota hai, ya fir koi mahila garbhavati hoti hai, to twacha mai khichav aane lagta hai. Aese mai twacha ki bahari satah to khich jati hai, lekin aantarik twacha iss khichav ko lambe samay tak nahi sehan kar pati hai. Aur iske andar ka tissue tutta chale jata hai. Natijanat twacha mai safed dhariya bante jati hai.
Aloe vera Jaisa ki ham sabhi jante hai Aloe vera twacha sambandhit kai samasyao mai labhkari hai. Isme paye jane wale vital nutrients, jali hui twacha ko bhi thik kar sakte hai. Iske alawa iski healing properties ke karan yeh halki jalan aur stretch marks ko bhi dur karne mai karagar hai. Lagane Ki Vidhi: Stretch marks par taza Aloe vera ka guda masage kare. Iske masage se twacha tone hoti hai. Aur isme shamil enzyme kharab ho chuki twacha ko hatakar dusri twacha ko hydrate karta hai.
Chini (Sugar) Safed chini ko stretch marks dur karne ke liye sabse accha mana jata hai. Agar aap chini ka istemal karte hai to yeh mrit twacha ko hatane ka kaam karti hai.
Lagane Ki Vidhi: Badam tel ke sath ek chammach chini milaye. Ab isme kuch bund nimbu ke ras ki dalkar acche se mila le. Iss mishran ko stretch marks wale hisse par acche se lagaye. Nahane se das minute pehle rojana ise lagaye aur halka sa ragde. Ek mahine lagatar aesa karne par aap dekhenge ki aapke stretch marks halke padne lage hai.
Aalu Ka Ras Aalu ka ras vitamins aur mineral se bharpur hota hai. Jo nai kosikao ko utpanna karne mai madad karta hai, sath hi twacha ko swasth bhi banata hai. Lagane Ki Vidhi: Madhyam aakar ke aalu ko thoda mota kat le. Uske baad aalu ke tukde ko stretch marks par lagaye. Kuch minutes rakhkar fir use gungune pani se dho le.
Jaitun Ka Tel Jaitun ke tel ko agar din mai teen bar stretch marks par lagaya jaye to dhire dhire nisan gayab hone lagte hai. Aur uski jagah par nai twacha aane lagti hai. Lagane ki vidhi: Jaitun ke tel ko gunguna hone tak garam kar le. Fir ise Stretch Marks par lagaye aur halki malish kare. Iss tarah se rakt ka sanchar sahi tarike se hota hai aur stretch marks halke hote hai. Jaintun ka tel aadha ghanta ya usse jyada der ke liye twacha par laga rehne de. Isse twacha tel mai mojud Vitamin A, D aur E ko acche se sokh leti hai.
Aap chahe to castor oil ka istemal bhi kar sakte hai. Castor oil bhi stretch marks se chutkara pane ke liye behad karagar mana jata hai. Iske liye jo hissa prabhavit hai, us hisse ko plastic bag se lapet le. Iske paschat garam pani ki botal se karib aadhe ghante tak sikai kare aur halka ragde.
Poshtik Aahar Stretch marks ko dur karne ke liye accha khan pan bhi behad jaruri hai. Apne aahar mai vitamin c aur e wale phal aur sabjiya shamil kare. Yeh aahar naye tissue ki growth mai madad karke, kharab ho chuke tissue ki marammat karte hai. Vitamin se bharpur khadya padhart jaise dudh, hari sabjiya, tamatar, stretch marks ko dur karte hai. Iske alawa zink wale aahar jaise ki sukhe meve stretch marks paida hone se rokte hai.
Vyayam Rojana vyayam karke bhi aap kaafi had tak stretch marks ko sahi kar sakte hai. vyayam karne se muscles tone bante hai jo twacha ko thos bana dete hai. Aur iss tarah se stretch marks dhire dhire gayab hone lagte hai.