How to Reduce Heel Pain – Aedi Ka Dard Dur Karne Ke Upay
Aajkal aedi ka dard kai logo mai paya jata hai. Par iski jyadatar samasya mahilo mai dekhi gayi hai. Din bhar ghar ka kamkaj karne ke baad aedi mai aane wali darar ke karan unki pareshani aur bhi badh jati hai. Vaise to yeh ek samanya samasya hai to aksar khud ba khud thik ho jati hai. Lekin kai bar yeh kaafi pareshan bhi kar sakti hai. Kai baar yeh dard aapka santulan bhi bigad sakta hai. Aur kai mamlo mai to yeh swasthya ke liye kisi prakar ki mushkil bhi khadi kar sakta hai. Lekin kuch saral upayo ko apnakar aap aedi ke dard ki samasya ko kaafi had tak thik kar sakte hai. Insan ke pair mai kul 26 haddiya hoti hai. Inme se aedi ki haddi sabse badi hoti hai. Vyakti ki aedi ki haddi ko kudrati rup se sharir ka vajan uthane aur santulan ke uddesya se taiyar kiya gaya hai. Isliye inka sahi rehna jaruri hai. To aaiye jante hai How to Reduce Heel Pain.
Aediyo Ke Dard Mai Inn Tariko Se Paye Rahat
Pairo Ki Exercise Kare Pairo ki exercise karke bhi aedi ke dard mai rahat payi ja sakti hai. Iske liye kisi uchi jagah par per latkakar baithe. Fir apne per ko gol gol ghumae is douran apne pairo ki ungaliyo ko apni taraf khiche fir ise viprit disha mai le jaye. Iss exercise ko karne se aapko dard mai rahat milegi. Aap chahe to koi aur bhi Heel Pain Exercises kar sakte hai. Gend Ki Madad Se Vyayam Pero ke niche ek gend ko ghumakar bhi aap sadharan sa upay kar sakte hai. Yeh ek massage ki tarah aapke liye kaam karta hai. Iske liye aap koi bhi halki gend ya fir tenis wali gend lekar apne pair ke niche teen minute tak ghumaye aur fir apne dusre per ke sath bhi aesa hi kare. Iss se aapko aapke per aur aedi dard dono mai rahat milti hai. Acupressure Acupressure ki madad se bhi aap aedi mai dard ka ilaj kar sakte hai. Acupressure taknik ka upyog karne se pairo mai raktsanchar samanya hot hai aur aedi dard mai aaram milta hai. Pero Ki Sikai Kare Pero ki sikai karne se bhi aedi dard mai rahat milti hai. Aap chahe to garam pani se apne pairo ka sek kare. Ya fir namak ko acchi tarah kadhai mai sek le. Fir ise ek kapde mai bandkar bhi sek kar sakte hai. Couch Stretch Couch Strech aedi dard ko dur karne ka ek prabhavi tarika hai. Ise karne ke liye diwar ke samne sidhe khade ho jaye aur apne haatho ko diwar
par rakhe. Aedio ko pharsh par rakhe aur fir dhire dhire aage ki aur stretch kare aur fir shuruwati stithi mai wapis aa jaye. Aesa kai bar kare. Sahi Aakar Ke Jute Pehne Aedi mai dard se bachne ke liye sahi juto ka istemal behad jaruri hai. High heels, atyadhik dhile ya tight juto se bhi pero mai dard hota hai. Hamesh aese juto ka chunav kare jo comfortable ho aur jisse dard wali jagah par kam dabav pade aur gharsan bhi nuantam ho. Kasrat Kare Kasrat ki madad se bhi aedio ke dard mai rahat payi ja sakti hai. Pairo ki ungaliyo ko point karne ki ek kasarat hoti hai. Jo aapke liye behad fayde wali ho sakti hai. Aapko iske liye jyada kuch nahi karna hai, keval apni tang uthani hai aur apne pairo ko tab tak ghumana hai jab tak inki pero ki ungaliya niche ki aur point nahi karne lagti, fir aap thode der ka break lekar ek bar fir dusre per ke sath ise dohraiye. Is se aapke per ki muscles mai khichav banta hai aur aapko aedi mai dard se rahat milti hai.
Iske alawa aap short fuling exercise bhi kar sakte hai.Yeh ek behad hi simple exercise hai. Iske liye aapko keval jute kholkar apne pairo ki ungaliyo ko niche ki aur khichkar apne pair ke aarch ko sikodna hota hai. Isse bhi aapke pairo ki muscles ko aaram milta hai aur aapke aedi mai dard ko iss se aaram milta hai.