Lemon Grass Tea se Hone Wale Swasth Laabh Nimbu ki sugandh liye lemon grass mai jabardast aushdhiya gun hote hai. Yeh ghaas Vitamin A aur C, folate, folic acid, magnessium, zinc, copper, iron, potassium, phosphorus, calcium aur magnese se bharpur hoti hai. To aaiye jante hai Benefits of Lemongrass. Lemon Grass Tea sehat ke liye laabhkari mani gayi hai. Yeh antibacterial, antifungal, cancer virodhi, antidepresent guno se bhari hoti hai. Taazi sukhi leman grass bazar mai bhi uplabdh hai. Lemon grass ki chai adhiktar gharo mai banai jati hai. Lemon grass tea banana bahut aasan hai, aapko bas ek chammach lemon graas aur ek cup pani mai 10 minutes kholna hai. Aap chahe to isme swaad badhane ke liye adrak ya shahad bhi mix kar sakte hai. Baazar mai iske tea bags bhi aane lage hai. Din mai 2 cup lemon grass pine se sehat mai sudhar hota hai. Pregnant mahilao tatha dawai khane walo ko yeh nahi pini chahiye. Aaiye jante hai iske bare mai aur adhik jankari.