Skin Care Tips in Hindi: Bachche Ki Twacha Nikharne Ke Nus

Page 1

Prakritik Roop se Bacche ki Rangat Nikhare Har maa chahti hai ki uska baccha gora lage. Baccho ki twacha bahut komal hoti hai, isliye uski dekhbhaal mai vishesh dhyan dene ki jarurat hoti hai. Baccho ki twacha ko swasth rakhne ka matlab kewal chehre se nahi balki pure sharir ki twacha se hai. Lekin use samajh mai nahi aata hai ki yeh kese kiya jaye. To aaiye jante hai Baby Skin Care Tips in Hindi. Bahut najuk hoti hai baccho ki twacha. Nadani se baccho ko kafi pareshani ho sakti hai. Aise mai aapko chahiye apne chhote se bacche ki twacha ka pura khayal rakhe. Uske nahane ke sabun se lekar, use pehnaye jane wale kapdo tak aapko puri tarah dekhna hoga. Uske lotion aur powder se lekar malish ke liye istemaal kiye jane wale tel tak sab kuch acchi tarah chunana hoga. Baccho ko nehlate waqt aise sabun ka prayog na kare jo hard ho, aise cosmetic cream ka prayog bhi na kare jisse bacche ki twacha mai infection ho. Sukhe mousam mai nahane se pehle tel malish karne se inki bacche ki twacha narm aur saaf rehti hai. Chikitsak ki salah par baccho ki twacha ki nami barkarar rakhne ke liye halka mosturizer ka prayog kar sakti hai. Iske alawa bacche ki twacha ko rashes aur infection se bhi bachaye. Baccho ki najuk twacha ko gora aur mulayam banaye rakhne ke liye inn tips ki madad le aur apne bacche ko de ek prakritik roop se nikhar.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.