Janiye Pudina Benefits Aur Rahiye Hamesha Swasth

Page 1

Pudina Benefits: Swasth ke Liye Laabhkari Peppermint Pudine (Peppermint) ki khushboo aur swad taazgi bharne ke liye kafi hota hai. Isme Vitamin A ki bharpur matra hoti hai. Jo humari sehat ke liye kafi faydemand hoti hai. Iske saath hi isme kai anya swasth laabh bhi hai. To aaiye jante hai Pudina Benefits in Hindi. Iski vibhinn prajatiya Europe, America, Asia, Africa aur Australia mai payi jati hai. Bharat mai to pudine ka ped lagbhag har ghar mai hota hai. Pudine ka ark aushadhi le roop mai istemaal kiya jata hai. Bhojan ka jayka badhane mai bhi pudine ka istemaal kiya jata hai. Pet ki taklif mai bhi pudine ka javab nahi. To aaiye jante hai ki inn harri pattedar pattiyo mai aur kya-kya fayde paye jate hai jo humare swasth ke liye faydemand sabit ho sakte hai.

Pudina Benefits in Hindi: Chhote se Peppermint ke Anokhe Laabh

Saans Mahakaye: Saanso ki durgandh ko dur karne ke liye pudine ki sukhi pattiyo ke churna se manjan kare. Yeh na kewal aapki saanso ko taaza banata hai, balki saath kai anya dant samasya se bhi chutkara dilata hai. Iske saath hi isse masude bhi majboot hote hai. Pimple ko Dur Bhagaye: Pudine ki kuch pattiya lekar piss le. Usme 2-3 bunde nimbu ka ras milakar ise chehre par kuch der ke liye lagaye. Phir thande pani se chehra dho le. Kuch din aisa karne se muhase thik ho jayege aur chehre par chamak bhi aa jayegi.


BP ko Niyantrit Kare: Pudina uccha aur nimnn dono prakar ke BP mai madadgar hota hai. High BP se pidit vyakti ko bina chini aur namak dale hi pudine ka sevan karna chahiye. Jabki Low BP ke rogi ko pudine ki chatni ya ras mai sendha namak, kali mirch, kishmish dalkar sevan karna chahiye. Pet ke Liye Bahut Laabhdayak: Pudina pet ki kai bimariyo ko thik karne mai madad karta hai. Pet ki samasyao se bachne ke liye pudine ka kisi na kisi roop mai pratidin sevan avashya karna chahiye. Pudine ki pattiya ka taaza ras nimbu aur shahad ke saath saman matra mai lene se pet ki har bimariyo mai aaram dilata hai.

Saans Sambandhi Rogo Mai Faydemand: Pudine mai faifdo mai jama huya balgam ko sharir se bahar ka vilakshan gun paya jata hai. Isi karan cough se hone wali khansi aur asthma ko dur karta hai. Pudine ko sukhakar, ise kapde se chhankar barik churna bana le. Iss churna ki ek chammach din mai 2 baar pani ke saath le. Isse aapko bahut gayda hoga. Masik Dharm Mai Laabhkari: Agar aapka masik dharm samay par nahi aata to aap pudine ka sevan kare. Iske liye pudine ki sukhi pattiyo ke churna ko shahad ke saath saman matra mai milakar din mai 2 se 3 baar niyamit roop se sevan kare. Yeh aapko masik dharm ki pareshaniyo mai bahut laabhkari sabit hota hai. Pudine ki Madad se No Dehydration: Dehydration matlab pani ki kami ki ghatak avastha se bachne ke liye pudina bahut laabhkari hai. Dehydration mai pudina, pyaz aur nimbu ka ras barabar-barabar matra mai milakar pilane se laabh hota hai. Ulti-dast, dehydration ho to aadha cup pudine ka ras har 2 ghante ke antar mai rogi ko pilaye.


Sun Stroke Hone Par Pudine ka Sevan Kare: Garmi mai loo se bachne ke liye pudine aur pyaz ki chatni banakar sevan kare. Agar iska sevan niyamit roop se kiya jaye to loo lagne ki ashanka khatam ho jati hai. Adhik garmi ya umas ke mousam mai jii machalne par ek chammach sukhe pudine ki pattiyo ka churna aur aadhi chhoti ilaichi ke churna ko ek glass pani mai ubalkar pine se laabh hota hai. Hichki ko Dur Bhagaye: Hichki mai pudine ke ras ko pine se laabh hota hai. Agar aapki hichki band na ho to pudine ke patte mai nimbu ka ras milakar le. Saath hi pudine ke patto par shakkar dalkar har 2 ghante mai chabane se bhi hichki mai fayda hota hai. Har Ghav ko Bhare Jaldi: Pudine ka ras kisi ghav par lagane se jakhm jaldi bhar jata hai. Yadi kisi ghav se badbu aa rahi hai to iske patto ka lep lagane se badbu nahi aati hai. Upar aapne jane Pudina Benefits. To aaj se hi iss ayuvedic aushadhi ka sevan shuru kare aur apni har swasth sambandhi pareshani ko dur kare.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.