Skin Care During Pregnancy : Garbhavastha mai Twacha ki Dekhbhal Garbhvati hona har mahila ka sapna hota hai. Lekin iss douran aapko apna khas khayal rakhna hota hai. Saath hi iss samay aapko aapki twacha ka bhi vishesh roop se dhyan rakhna hota hai. To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Skin Care During Pregnancy in Hindi. Jisse aap hamare dwara bataye gaye tips ke dwara aapni twacha ka khas khayal rakh sakte hai aur hamesha sundar dikh sakte hai. Baccho ke pyaare –pyaare se gudgude gaal, unki bina daanto ki hansi aur unke nahne-nahne haath aapko unko chumne lene par majbur kar dete hai aur agar aapko jaldi hi aise bacche ki maa banana ka sobhagye milne vala to aapko andar se bahut khushi hoti hai Lekin maa banana itna aasan nahi hota hai. Kokha mai 9 mahine bacche ko palne mai istri ko kafi samamsya ka samna karna padta hai. Iss douran , pura parivaar aur pati milkar mahilao ki dekhbhal karte hai. Lekin istri ko bhi khud apni care karni padti hai. Garbhavastha har mahila ki jindgi ka sabse haseen vakt hota hai. Iss vakt mai vah har roz ek naye ahsaas ko jiti hai. Inn dino kuch mahilaye ki twacha badrang aur dabbedar ho jati hai. To kuch mahilao ki twacha mai ek khas tarah ki chamak aa jati hai. Pregnancy ke douran har mahilao mai kai prakaar ki hormone changes hote hai. Jisse unki karan unki skin kharab ho jati hai. Isliye aap ko aise samay par apni skin ka khaas khayal rakhna chahiye To aaiye aapki twacha ki dekhbhal karne ke baare mai iss article mai kuch khas tips batate hai. Jo ki aapki twacha ki khubsoorati ko hamesha banye rakhegi. Skin Care During Pregnancy ke Dwara Rakhiye Apni Twacha ka Khayal
Twacha par Muhase Skin Care During Pregnancy ki baat kare to sabse pahli baat aati hai ki, aapko apni twacha ki par accha cream lagan chahiye. Garbhvstha ke douran twacha par dane ho sakte hai. Iske liye aapko apni dermatologist se sampark karna chahiye. Isliye aap koi bhi cream ka istemaal na kre, varna aapko dikaat ho sakti hai. Kisi bhi naye product ka istemaal karne se pahle uska test kar le.