Stress and Weight Gain: Tanav ke Karan Badhta hai Motapa Tanav jo ki har kisi ko ho sakta hai. Lekin kya aap jante hai ki, aapke iss tension ke karan aapka motapa bhi badhta hai? Shayad nahi, to chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai Stress And Weight Gain. Aaj kal ke samay mai baccha ho ya baudha, tanav sabhi ko rahta hai. Isse bachna mushakil hai.Lekin cool personality ke liye yeh kaam kathin bhi nahi hai. Tanav ki vajah se mansik hi nahi balki sharirik nuksaan bhi hota hai. Aapko janakar ashcharye hoga ki tanav ki vajah se aapka vajan badh sakta hai. Aap tanav mai hai aur kuch samay baad aapko lagta hai ki aapka sharir ekdam se mota ho gaya hai, aapko purane kapde fit nahi aa rahe hai. Jiska karan sirf aur sirf aapke tensions hote hai. Tanav ko kabhi bhi apne upar havi nahi hone dena chahiye kuch log tanav ko asaani se jhel lete hai. magar kuch log tanav sahan nahi kar pate aur badhte tanav ka prabhav unki manodasha, kaam aur yaha tak ki rishte par bhi padta hai. Yadi aap chahe to apani dincharye mai kuch aasam badlav aur ichashakti se tanav ko dur rakh sakte hai. Vese tanav bahut sari pareshani lekar aata hai. Lekin Bahut jyada tanav hone se aap badhi-badhui bimariyo se ghir sakte hai saath hi aapka motapa bhi badh sakta hai. Isliye hamesha apne tension ko control kijiye. Stress and Weight Gain: Achanak Motapa Badhne ka Karan Stress Hota Hai
High Calorie Le Lena Weight Gain Due to Stress ke douran aapko dhyan nahi rahta hai aur aap high calorie ko cheese bhi khane lagte hai. Lekin aap workout karte nahi karte hai, Jisse uski khapat nahi ho pati hai. Khana na Khana