Subah Namak Wala Pani Pine ke Fayde Namak bhojan ka mukhya masala hai. Iske alawa yeh kai bimariyo aur infection ko bhi thik karne mai madad karta hai. Namak ka pani roz subah pine se sharir swasth rehta hai aur aapko koi anya bimari nahi hoti hai. Iske sevan se aap motapa bhi kam kar sakte hai. To aaiye jante hai namak ka pani pine se hone wale swasth laabh. Agar aapko swasth jivan jina hai to roz subah kala namak aur pani mila kar pina shuru kar de. Ji haa, iss ghol ko salt water kehte hai, jisse aapki blood sugar, blood pressure, urja mai sudhar, motapa aur anya tarah ki bimariya jhat se thik ho jayegi. Dhyan rakhiyega ki aapko kitchen mai moujud saade namak ka prayog nahi karna hai, athwa yeh laabh nahi karega. Kale namak mai 80 khanij aur jivan ke liye wah sabhi avashyak prakritik tatva paye jate hai, jo aapek sharir ke liye jaruri hai.
Namak Wala Pani Banane ki Vidhi:Ek glass halke garam pani mai ek tihai chhota chammach kala namak milaiye. Iss glass ko plastic ke dhakkan se dhak dijiye. Phir glass ko hilate huye namak milaiye aur 24 ghante ke liye chhod dijiye. 24 ghante ke baad dekhiye ki kya kala namak ka tukda pani mai ghul chukka hai. Uske baad usme thoda sa kala namak aur milaiye. Jab aapko lage ki pani mai namak ab nahi ghul raha hai, to samajhiye ki aapka ghol pine ke liye tayar ho gaya hai.
Roz Subah Kala Namak Wala Pani Pine ke Hote Hai Yeh 6 Fayde 
Pachan Durust Kare
Salt wala pani muh mai laar wali granthi ko sakriya karne mai madad karta hai. Acche pachan ke liye yeh pehla kadam bahut jaruri hai. Pet ke andar prakritik namak, hydrochloric acid aur protein ko pachane wale enzyme ko uttejit karne mai madad karta hai. Isse khaya gaya bhojan tut kar aaram se pach jata hai. Iske alawa intestinal tract aur liver mai bhi enzyme ko uttejit hone mai madad milti hai, jisse khana pachane mai aasani hoti hai. 
Neend Lane Mai Laabhdayak
Apekshakrat namak mai moujud khanij humari tantrika tanta ko shant karta hai. Namak, cartisol aur edernline jese do khatarnak stress hormone ko kam karta hai. Isliye isse raat ko acchi neend lane mai madad milti hai.
Sharir Kare Detox
Salt mai kafi khanij hone ki wajah se yeh antibacterial ka kaam bhi karta hai. Iski wajah se sharir mai moujud khatarnak bacteria ka nash hota hai. Aur isse aapka pura sharir acchi tarah se detox rehta hai.
Haddi ko Majbooti
Kai logo ko nahi pata humara sharir humari haddiyo se calcium aur anya khanij khicta hai. Isse humari haddiyo mai kamjori aa jati hai isliye namak wala pani uss mineral loss ki purti karta hai aur haddiyo ko majbooti pradan karta hai.
Twacha ki Samasya
Namak mai moujud chromium acne se ladta hai aur sulphur se twacha saaf aur komal banti hai. Iske alawa namak wala pani pine se eczema aur reshe ki samasya dur hoti hai aur chehre ka nikhar barkarar rehta hai. Yeh aapki twacha ko jawan banane mai madad karta hai. Twacha ki samasya ko dur karne ke liye aap Beauty Tips in Hindi ki madad le sakte hai.
Motapa Ghataye
Yeh pachan ko durust karke sharir ki koshikao tak poshan pahuchahta hai, jisse motapa control karne mai madad milti hai aur isse aapka vajan aasani se ghat jata hai. Yeh aapko slim aur fit rakhne mai madad karta hai.