Symptoms of Cardiovascular Disease: Hriday Rog Ke Lakshan Thodi si bhi Avyavasthita jivan sheli aur swasth ke liye laparwahi aap ke najuk dil ko khatra paida kar sakti hai. Dil se hi to hamari dhadkane chal sakti hai aur usi se ham jinda hai isliye dil ki dekhrekh bahut jaruri hai. Dil ki koi bimari ho ya hriday ka koi rog yeh hamare sharir ke samuchit karya ko prabhavit karta hai. Dil ke sahi tarah ke kaam karne se hi to ham jinda hai. Isliye iski dekhrekh bahut jaruri hai. Badalti lifestyle ne hamare dil ke liye khatra badha diya hai. Vyayam ki kami aur khanpan mai badlav jaha logo ko hriday sambhandi rogo ke karib pahucha raha hai. Wahi vevahik jivan mai manmutav aur manmutabik nokari naa milne ya kaam ka adhik pressure heart attack ka karan ban raha hai. Sirf umradaraj hi nahi balki ab to nojavan bhi dil se judi bimariyo ka shikar ho rahe hai. Hriday mai kai prakar ke rog hote hai to jaise Heart attack, rumetik heart disease, congenital defects, cardiac failure, pericardial effusion aur bhi kai. To aaiye jante hai Symptoms of Cardiovascular Disease, Hriday rog se sambhandit lakshano ke bare mai.
Janiye Hriday Rog ke Kuch Samanya Sanket Asamanya Dhadkane Dil ki dhadkano mai utaar chadav chalta hai. Lekin jab kamjori ke karan, saans lene mai takleef, behosi ya fir chakkar aane lage to yeh heart attack ka lakshan ho sakta hai. Thakan Vaise to kaam karne ke bad thakan rehna behad aam baat hai lekin asamanya aur lagatar rehne wali thakan bhi Heart Attack ka lakshan ho sakti hai. Dekha jaye to khaas tour par yeh lakshan jyada hota hai. Aesa jaruri nahi hai ki har baar thakan isi karan se jo par fir bhi shavdhani aur doctor se salah le lene mai bhi samjhdari hai. Chakkar Aana Dil ke doure mai kai bar aankho ke aage andhera chha jata hai aur behosi bhi chha jati hai. Lagatar chakkar aana artery disease ka karan ho sakta hai. Sine Mai Dard Aesa nahi hai ki har prakar ke heart attack mai chhati mai dard ho. Lekin yeh dil ke doura padhne ka sabse purana aur mukhya samket hai. Khas tour par mahilao mai dil ka doura padhne ka yeh mukhya lakshan hota hai. Aesa kaha jata hai ki kai baar yeh dard itna tej hota hai ki chhati par hathi ke saman vajan rakh diya gaya ho.
Cardiovascular Disease Ke Anya lakshan Agar bina kaam kiye bhi aapko baithe baithe pasina aa raha hai to yeh bhi hriday ki bimari ka hi ek lakshan hai.. Kai logo ko thande mousam ya fir sardi ke wakt saans lene mai takleef hoti hai. Iss takleef ke piche ka karan ashthama bhi ho sakta hai. Lekin bar bar saans lene mai takleef hona ya saans fulna heart attack ka sanket hai. Aksar sirf chhati ke dard hone par use hriday rog ka sanket samjha jata hai. Lekin kai bar kandho mai, kamar mai aur bhujao mai bhi dard rehta hai. Kabhi Kabhi kabar to heart attack ke samay chhati mai dard nahi hota lekin haan sharir ke inn bhaago mai tez dard hota hai. Kai bar heart ki problems mai jee ghabrana jaisi samasya bhi hoti hai. Lekin kai baar yeh blood pressure aur acidity ke karan bhi ho sakta hai. Agar aapko lagatar khansi ki samasya bani hui hai to iss baat ko najarandaj naa kare. Iske piche hirday ki bhi samasya ho sakti hai. Yaha tak iss prakar ki khansi mai kai baar khoon bhi aata hai. Hriday Rog Hone Ke Karan
Madhumeh (Diabetes) Uccha Raktchap (High Blood Pressure) Bad Cholesterol Badhta Vajan (Weight Gain) Tanav (Depression) Samajik Algav
Isse Bachne Ke Upay
Poshtik Aahar Le Dhrumpan Chode Vajan Niyantrit Rakhe Dhayan Kare (Meditation) Atyadhik Tanav Lene Se Bache
Yeh Bhi Jane Shyad hi aap jante honge, lekin kuch sodho ke anusar hamare desh mai har tin mouto mai se ek ki wajah Cardiovascular Disease hoti hai. Bharat mai 35 fisdi mout ke piche ka karan Cardiovascular Disease, yane ki hriday rog hai. Aaj se 30 saal pehle ki baat ki jaye to heart attack ke marij ke liye koi taishuda treatment nahi tha. Us douran Hriday rogo se juzh rahe jyadatar patients ki mout ho jati thi. Ek study ke mutabit heart attack ke baad 88 fisdi marijon ne 1 ghante ke andar dam tod liya tha. Uske bad clot busters ka ijad hua. Jisse heart disease mai marne wale ki shankhya 80 fisdi se 50 fisdi ho gayi. Ab yeh aakada 4 fisdi reh gaya hai.Aajkal kalai mai redial artery ki primary angioplasty se chize aasan ho gayi hai.