Tips During Pregnancy – Garbhavastha Mai Tanav Mukt Rahe
Maa banna har mahila ke liye sabse khusi ka pal hota hai. Lekin garbhavastha ke douran kai mahilaye bahut tanav mai rehti hai. Iske piche kai karan hote hai. Jaise apne shisu ke swasth aur palan ke bare mai chinta, ya aagami prasav ya fir iss baat ki chinta ki aap prasav ke baad apne aap ko kese sambhalegi. Kabhi kabar to aarthik halat ke baare mai bhi chinta hoti hai ki aap ek naye bacche ke sath jude sare kharcho ko kis tarah pura karengi. Aapko chintit karne wali bate kuch bhi ho. Lekin aapko apni bhavnao par kabu pana sikhana hoga. Kyoki garbhavastha srjan ki avastha hai. Aur kehte hai ki srjan tabhi sundar ho sakta hai. Jab wah aanand mai dubkar kiya jaye. Lekin iss douran harmones mai hone wale badlav, chinta aut tanav ke chalte mahilao ka swabhav kaafi chidchida ho jata hai. Aese mai khus rehna aasan nahi hai. Lekin aesa nahi ki iss douran khus hi nahi raha jaa sakta hai. Kuch aese tips hai jinhe apnakar garbhavati mahila tanav mukt reh sakti hai. To yaha padhiye How to Reduce Stress During Pregnancy, Garbhavastha Mai Tanav Mukt Rahne ke aasan lekin asardayak upay.
Garbhavastha Ke Douran Tanav Mukt Rahne Ke Aasan Upay Khus aur Sakaratmak Rahiye Garbhavastha mai jitna ho sake muskuraye. Ek muskan aapki khusi ko aur badha sakti hai. To pregnancy mai swasth aur khus rehne ke liye khoob muskuraiye. Garbhavastha ke douran khus rehne ka ek pehlu yeh bhi hai ki aap garbhavasth ke anubhavo ko hamesha sahej ke rakh sakti hai. Ho sakta hai ki aapka aasawadi ravaiya kisi aur ke liye prerna strot ban sake. Aese wakt mai aap apne liye blog likh sakti hai, tasvire khich kar rakh sakti hai. Iss tarah ke upayo ko apnakar aap garbhavastha ke chunotipurn samay mai khus aur sakaratmak bani reh sakti hai. Vyayam Kare Kai mahilaye is wakt mai apne aahar ke prati bahut sajag rehti hai. Aur wo acchi tarah apne khan pan ka khayal rakhti hai. Lekin wo vyayam par itna dhyan nahi deti, Aahar aur vyayam inn dono chizo ka santulan aapko swasth banaye rakhta hai. Aap swasth rahegi to adhik sakriya aur sakaratmak rahengi. Isse aapko iss baat ka ehsas hota hai ki paristhitiya aapke niyantran mai hai. Aapko iss douran halke vyayam karna chahiye. Aap yoga ke jariye bhi apne sharir aur man ko relax rakh sakti hai. Agar aapko ghabrahat jaise samasya ho rahi hai to swashan ka abhyas karne se wakai madad milegi.Vyayam garbhaavastha ke douran hone wale dard va anya taklifo ko bhi kam karne mai madad karta hai. Isse aapki pachan kriya bhi durust rehti hai. Iske sath hi yeh aapko tanav mukt bhi banaye rakhne mai madad karta hahi. Yane ki aap prasav ke samay aur uske baad bhi fit rahegi. Apni Fikar Kare
Maa banna aapke liye behad khusi bhara samay hota hai. Yad rakhe aapke garbh mai bhrun pal raha hai. Aur aese mai Pregnant Lady ko apni chinta jarur karna chahiye. Dusro ko khus rakhne ke liye syam ko dhukhi na kare. Iske sthan par apni jarurato ka dhayan rakhe aur dekhe ki aapko kya chahiye. Apni chinta kare, massage kare, manicure karwaye, ya kuch bhi aesa kaam kare, jo aapko tanav mukt aur khus rakh sake. Khus rehne ke liye aap apne dosto ke sath milengi to aapko ek sakaratmak tarang milegi. Jo ki aapke stress ko control karne mai madad karegi. Iske alawa aap shopping kar sakti hai. Shopping kijiye aur wo kharidiye jo aapke baccho ki jarurat ko pura kare. Malish Karwaye Garbhavastha mai malish karwana tanav se mukti pane ka ek utkrist tarika hai. Agar aap sugandha upchar ya sugandhit telo ka istemal kar rahi he to yeh sunishchit karna jaruri hai ki ve garbhavastha mai istemal ke liye surakshit hai. Kyoki unme se kuch tel pehli ya tisri timahi ke liye upyukt nahi hote hai. Biswe saftah ke bad istemal ke liye surakshit telo mai se jyadatar levendar ke tel shamil hai. Tips During Pregnancy – Inhe Bhi Jane Aapko is douran jo kuch bhi kahane ka man kare.Use swasth tarike se bana kar khaye. Isse bhi stress dur hota hai. Apne ghar ko aane wale naye mehman ke liye sajaiye. Isse aap tanav mukt reh sakti hai. Apne samay ka upyog karne ke liye aap social networking site par samay bita sakti hai.
Tanav mukt rehne ke liye aap apne pati ki help lijiye. Aese wakt mai aap khud ko pyar kijiye. Kuch intresting kitabo ko padhe. Apne man ko aaram dene ke liye vishram dayak sangeet sune. Poshtik aahar ka sevan kare. Rojana subah ki sair kare. Raat ke bhojan ke baad tahalna bhi accha upay hai.