Beauty Tips for Oily Skin Se Dikhe Khubsoorat

Page 1

Beauty Tips for Oily Skin: Aese Kare Teliya Twacha Ki Dekhbal Har ladki sundar nikhri hui twacha chahti hai. Sundar twacha ke liye chehre ki twacha ka swasth hona behad jaruri hai. Agar aapki twacha teliya hai to aapko kai pareshaniyo ka samna karna pad sakta hai. Jaise ki teliya twacha walo ka rang gora hone ke bawjud bhi thoda kala najar aata hai. Sath hi aesi twacha walo ko muhase aur bleakheads ki samasya kuch jyada hi hoti hai. Iske alawa teliya twacha par makeup bhi nahi tikta hai. Isliye teliya twacha wali ladkiya makeup karne se bhi katrati hai. Aur wo katraye bhi ku naa agar wo makeup karengi to unki twacha teliya hote hi unka pura make up idhar udhar ho jayega. Agar aap bhi yaha batai gayi samasya se pareshan hai to ham aapko bata de ki kuch tips ko apnakar iss pareshani se nijad payi jaa sakti hai. Bus oily skin ko anya tarike ki twacha se jyada dhyan rakhne ki jarurat hoti hai. Iss tarah ki twacha par dhul aur gandagi bahut jaldi jamti hai. Jiski wajah se muhase hona aam baat hai. To aaiye jante hai Beauty Tips for Oily Skin in Hindi, twacha ka atirikt tel hatane ke liye aasan upay.


Inn Aasan Tariko Se Paye Oil Free Twacha Twacha Ki Safai Tips for Oily Skin ke andar sabse pehle aati hai twacha ki safai. Twacha se atirikt tel hatane ke liye yeh sabse jyada jaruri hai. Iske liye aapko din mai kam se kam teen bar apne chehre ko dhona chahiye. Ek subah uthne ke baad, ek baar sham ko aur ek bar sone se pehle. Iske alawa kahi bahar se aane ke baad bhi chehre ki gandagi ko saaf karne ke liye chehra dhoye. Aap iske liye kisi acchi company ka facewash ya besan ka istemaal kar sakti hai. Tanav Se Dur Rahe Teliya twacha ke piche ka ek mukhya karan tanav bhi hai. Tanav ke mahol me rehne se twacha par muhase jaisi samasya bhi hoti hai. Iske liye jaruri hai ki aap hamesha khush rahe. Agar aapko kaam ka jyada tanav rehta hai to roj subah meditation aur yoga ka sahara le. Aisa karne se chehra chamakdar aur sundar banta hai. Tamatar Bhi Faydemand Teliya twacha ko dur karne ke liye tamatar ka prayog bhi behtar vikalp hai. Tamatar mai twacha ko saaf karne aur tel sokhne ke gun hote hai. Iske istemal bhi bahut hi saral hai. Tamatar ke ras ko ek katori mai nikalkar rakh le fir rui ki sahayata se chehre par lagaye. 15 minute rakhne ke bad paani se chehra dho le. Kheera Kheera vitamins, minerals, magnesium aur potassium se bharpur mana jata hai jo ki teliya twacha ke liye Astringent ka kam karta hai. Yeh twacha ko thandak dene ke sath sath atirikt tel ko nikalne mai bhi


madad karta hai. Twacha se tel ko nikalne ke liye rat ko sote waqt apne chehre par kheere ke tukado ko achhi tarah se ragad le ya fir aap chahe to iska ras nikalkar bhi laga sakte hai. Baalo Ko Saaf Rakhe Aapko yeh baat sunkar shayad aascharya lag raha ho. Lekin gande baal ka hona bhi teliya twacha ka karan hota hai. Darahsal jab aapke gande baal aapke chehre par aate hai to isme paye jane wale kan se twacha ke rom chidra band ho jate hai. Natijanat twacha ke oil glands adhik sakriya ho jate hai aur twacha teliya ho jati hai. Isliye yeh bahut jaruri hai ki baalo ko achhi tarah saaf rakha jaye.

Inn Tariko Ko bhi Apnaye  Multani mitti ko pani mai bhigokar ise chehre par 20 minute tak lagaye fir thande pani se chehre ko dho le.  Oily Skin se rahat pane ke liye shahad ke sath badam ko milakar ek mishran taiyar kare fir ise chehre par laga le.  Paita aur chandan ke powder ka mishran banakar chehre par lagane se twacha ka tel kam hone lagta hai.  Teliya twacha ke liye Vitamin B faydemand mana jata hai. Isliye apne aaharo mai Vitamin B se bharpur bhojan jaise ki dane aur falliyo ko shamil karna chahiye.  Chehre se tel ko nikalne ke liye dahi ka proyog kare. Dahi thanda hota hai aur isme teliya twacha se ladne ki kshamta hoti hai. Ise lagane ke liye besan ya fir daliye ko milakar 15 minute tak chehre par laga le fir thande pani se dho le.  Nimbu teliya twacha ke sath sath chehre se dag dhabbo ko mitane ke liye bhi faydemand hota hai. Ise lagane ke liye 1 chammach


nimbu ke ras mai aadha chammach shahad aur 1 chammach dudh ko mila le aur fir chehre par laga le. Aur 15 minute baad pani se dho le.  Chehre par ande ke safed bhag ko laga lijiye fir 1 ghante ke bad besan ke aate se chehre ko dho le. Isse chehre ke chote chote chidra khul jate hai, aur teilya yukt twacha dur ho jati hai.  Neem ki pattiyo ka upyog kare. Iske liye pattiyo ko achhi tarah se ubal le fir iss pani se chehra ko dho le. Aisa karne se teliya twacha ko dura kiya ja sakta hai aur sath hi yeh muhaso mai bhi faydemand hota hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.