Vitamin D Deficiency Symptoms Vitamin D3 Deficiency- Jane Iske Pramukh Lakshan Yeh baat ham sabhi jante hai ki Vitamin D haddiyo ki majbuti ke liye behad hi jaruri hai. Dhoop ke sampark mai aane par twacha iska nirman karne lagti hai. Vitamin D sharir ke kai mahtvapurn ango ko thik tarah se sanchalit karne mai madad karta hai. Aur yeh calcium ko sharir mai santulit karne aur haddiyo ki sehat ke liye mahatvapurn hai. Yeh immunity, auto immunity, stan aur prostate cancer jaise kai gambhir vikaro se bachav karta hai. Lekin aaj ki jivansheli mai vitamin D ki kami aam bat ho gayi hai. Kuch log ise bahut halke mai lete hai. Lekin kya aap jante hai ki Vitamin D ki kami se sharir ki kai chize prabhavit hoti hai. Aur sehat par uska nuksan dikhne lagta hai. Visheshgyo ki mane to Vitamin D ki kami ke lakshan ek dum se ubhar ke nahi aata hai. Isi wajah se logo ko samay par Vitamin D ki kami se hone wale rogo ka pata nahi chal pata. Isliye Vitamin D ki niyamit janch, sooraj ki roshni aur Vitamin D yukt bhojan lena jaruri hai. Aaiye aaj ham aapko Vitamin D Deficiency Symptoms, iski kami ke kuch lakshano ke bare mai batate hai. Thakan Mehsus Hona Hamare sharir ko urja ke liye Vitamin D ki jarurat hoti hai. Vitamin D ki kami se niyamit roop se thakan mehsus hoti hai. Agar aapke sath bhi aesa hi kuch ho raha hai to ise halke mai na le. Allergy Vitamin D ki paryapt matra sharir ko kisi bhi allergy se bachane mai madad karti hai. 6000 logo par kiye gaye adhyan mai paya gaya ki jinke sharir mai Vitamin D ki kami thi unhe allergy hone ka khatra jyada tha. Dil Ke Rogo Ko Nyota Vitamin D dil ki sehat bhi durust rakhta hai. Sharir mai Vitamin D ki kami se hriday rogo ki chapet mai aane ka khatra badh jata hai. Ek adhyan mai janchkartao ne paya ki sharir mai Vitamin D ki kami ka sambandh paramparik roop se kamjor
haddiyo se hota hai. Vitamin D ki kami uccha raktchaap ki badi wajah hoti hai. Aur uccha raktchaap se dil ka doura badhne ke bare mai to sabhi jante hi hai. Vajan Badhna Kya aap jante hai ki Vitamin D fat ko ghulansheel banane wala harmone hai. Jee haan, isi karan yeh wajan ghatane mai madadgar hota hai. Kuch sodho se pata chala hai ki sharir ke fat ko absorb karne ke liye jyada Vitamin D ki jarurat padhti hai. Vibhinna adhyano se pata chala hai ki sooraj ki roshni se Vitamin D3 babta hai. Vitamin D ki kami insulin ki kriyashilta ko bhi prabhavit karti hai. Jisse Type 2 diabities ki aashanka kam ho jati hai. Anenia Ka Khatra Jin baccho mai lambe samay tak Vitamin D ki kami rehti hai. Unhe anemia hone ka khatra jyada hota hai. Sodhkartao ne paya ki yadi rakt mai Vitamin D ka star 30 nano gram prati liter se kam hai to ease mai bacche ke anemia se gast hone ke aashanka bani rehti hai. Ek kiye gaye sodh mai jin baccho ke rakr mai vitamin D ki matra 20 nano gram prati mili liter payi gayi unhe anemia hone ka khatra tha. Anay lakshan Inhe Bhi Jane Vitamin D ki kami se masals mai dard aur jodo ka dard hota hai. Vitamin D ki kami se kai bar mood bhi achanak se badalne lagta hai. Vitamin D serotonin ka nirman karta hai. Jo hamare mood ko accha rakhne mai madadgar sabit hota hai. Serotonin ki kami se mood fluctuation ek aam baat hai. Vitamin D ki kami se sir se pasina aata hai. Agar jyada matra mai pasina aaye to ise andheka na kare, yeh vitamin D ki kami ka shuruaati lakshan hai. Vitamin D ki kami hone par Psoriasis rog ho sakta hai jo ki Vitamin D ki kami se hota hai. Acchi matra mai hoop lene se iss bimari ko aasani se niyantrit kiya ja sakta hai. Vitamin D ki kami ke karan kamar mai dard rehta hai.
Iski kami ke chalte masudo sambhandi bimariya hone ka khatra paida ho jata hai. Jaise masudo mai sujan, lal hona aur masudo se khoon behna. Jin mahilao ke sharir mai Vitamin D ki kami hoti hai, wo hamesha udas rehne ke sath sath tanav mai rehti hai. Shisu mai iski kami hone par mashpesio mai marode, saas lene mai pareshani aur dore aane ki pareshani ho sakti hai. Unke sharir mai calcium ki bhi kami ho jati hai. Saans ki takleef ke karan bacche ki paslia narma reh jati hai aur aas pas ki mashpeisa bhi kamjor reh jati hai. Samay par daant na aana bhi vitamin D ki kami ka hi lakshan hai. Meta Description: Sharir mai Vitamin D ki kami ke karan haddiya to kamjor hoti hai, sath hi isse madhumeh bhi ho sakta hai. Yaha padhiye Vitamin D Deficiency Symptoms.