Vitamin D Rich Foods ke Dwara Rahiye Hamesha Swasth Vimain D ka hamare sharir mai bahut aham hisse hota hai. Iske kami hone se aapke sharir mai bahut Pareshani ho jati hai. Vese to doctor ke paas iski kami se nijaat pane ke liye bahut sare upaye hote hai. Par Agar aap accha khan pan khayenge to bhi iski kami puri ho jayengi. To fir aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Vitamin D Rich Foods. Taki aap inn khadya padarth ka sevan karke hamesh swasth rah sakte hai. Vitamin D ki kami ko pura karne se pahle hume iske hone ke karan ko jan lena chahiye. Taki aap iski kami ko pura karke bahut si bimariyo se aasani se bach sakte hai. Vitamin D Deficiency, Iski kami Karan Iske alawa, bharta jese desho mai log vitamin D ki kami iss karan bhi hoti hai, Kyoki kali twacha mai melanin ki matra jayda hoti hai, jis karan vitamin D ka utpadan kam ho jata hai. Gore logo mai suraj ki roshnai mai yeh utpadan tezi se hota hai. khskar maihlao kale ho jane ke dar se suraj ki roshnai mai nikalne se bachti hai. Yaha tak ki aajkal bacche bhi bahr park mai nahi khetle hai. Saathi khapna mai bahut kami aati ja rahi hai. Yehi sab karan hai ki, aaj kal har koi isse pareshan se ghir jata hai. Vitamin D bhi ek aisa fat soluble prohormone hota hai. Jo ki sharir ke liye jaruri hota hai. Iski madad se calcium ko sharir mai banaye rakhne mai bhi help milati hai, jo haddiya ko majbuti rog pratirodhak kshamta badhata hai. Sabse jaruri baat yeh hai ki, sex hormone banane mai vitamin D ki bahut mukhaye bhumika hoti hai. Sex hormone ki kami se kuch anye samasya jese PCO, PMS aur infertility aadi dekhne ko milti hai. Vitamin D pane ka sabse accha tarika hai, suraj ki dhup mai bethna lekin aksar office ka samay aisa hota hai ki suraj ki dhup mil hi nahi pati hai. To aise mai aap vitamin D paida karne vale aahra ka sevan kare. Ek naye study nai yeh bataya hai ki, twacha ko surye ke prakasha mai lane se ucch raktchap mai kami hoti hai aur saath hi jivan bhar ke liye, Heart attract tatha stroke ka khatra bhi kam ho sakta hai. Edinburgh Vishwavidyalaya ke researcher ne yeh dikhaya hai ki, jab hamari twacha surye ki roshani mai aati hai, to hamare blod circulation mai ek padarth jari hota hai, jo uccha raktchap ko kam karne mai madda karta hai. Isi tarah, surye ki roshani (vitamin D) purushao mai prostate cancer aur ladkiyo mai garbhashaya samasya se ladne mai bahut madad karta hai.
Dup ki kami se hamare sharir mai susti sharir mai darda, peeth mai dard, neend na aane jese bimariya hoti hai. Isliye aaj kal doctor bahut adhik sankhaya mai rogiyo ko vitamin D ki khurak lene ki salah dete hai.
Jainye Vitamin D Rich Foods aur Bachiye Bahut si Bimariyo se Soya Utpadan Tofu aur soya milk vitamin D se bharpur hote hai. Isliye aap niyamit roop se iska sevan kare. Jisse aapko bahut fayda milega. Cod Liver Oil Vitamin D Rich Foods mai cad liver oil ka naam sabse pahle aata hai. Iss tel mai bahut sara vitamin D aur saath hi omega 3, fatty acid ki bahrpur matra hoti hai. Ek chammach cod liver oil khane se aapko dinbhar ka vitamin D milta hai. Mashroom Vitamin D hone ke saath hi isme B5 namak vitamin bhi hota hai. Ise halka hi pkaa kar khaye aur apni prajann kshamta ko badhaye.Saath hi vitamin D ki kami ko hamesha ke liye dur kijiye. Oyster Isme vitamin D hone ke saath jink, seliniyim, manganese and copper hota hai, isliye mahilao ko ise jarur khana chahiye. Fish Salmon, tuna and cat fish khaiye kyoki isme vitamin D aur omega 3 hota hai. Jo ki aapke sharir mai vitamin D ki kami ko aache tarike se pura karta hai.
Hilsa Fish Iss fish mai vitamin D ki khub matra hoti hai, saath hi utna calcium bhi hota hai. Jitna aapki body ko chahiye hota hai. Isiye agar aap non vegetarian hai to iaka sevan shuru kar de. Sardine Fish 33% Calcium ki avshyakta iss sardine fish ko khane se puri hogi. Yeh aahar vitamin D aur kai tarah ki protein se bhar hota hai. Ise liye aap ko iska sevan karna bhi bahut jaruru hota hai. Egg Ande mai bhi vitamin D hota hai aur iske alawa vitamin B12 tatha protein bhara hota hai. Isliye aap iska sevan rozana kijiye. Jisse aapko bahut laabh milega. To hum bol sakte hai ki, egg ek accha Vitamin D Rich Foods hai. Dairy Product Dudh aur dudh se bane utpadan jese dahi, paneer cheese aadhi se bhi vitamin D aur calcium ki kami ko pura kiya ja sakta hai.
Fortified Foods Vitamin D yukt Fortified Foods mai bread, dudh, paneer cheese aadi ko apne aahra mai shamil kijiye. Ise aapke sharir mai bahut jaldi vitamin ki kami puri hoti hai. Santre ka Juice Santre ke juice mai ko rozana subah uthkar apne nashte mai sevan kare. Isse aapke sharir ki vitamin D ki kami bahut jaldi puri ho jayegi. Sabut Anaj Agar aap nonveg ka sevan nahi karte to sabut anaj bhi aaapka sharir mai vitamin D ki kami ko pura kar sakte hai. Daliya, gehu, chawal ka sevan pratidin kare. Vitamin D Supplement Vese aap chahe vitamin D ka supplement ka sevan bhi kar sakte hai. Inn supplement ka sevan bhi aapke liye bahut faydemand hota hai. Par dhyan rahe ki iske sevan bina doctor ki salah ke nahi karna chahiye.
Vese agar aap Vitamin D ki kami ko pura nahi kareng to aap bahut si bimriyo se ghir sakte hai jese osteoporosis, asthma, inflammation and irritation, cholesterol, allergies, influenza, depression, type 2 diabetes, rheyumetoid arthritis, cancer aadi Upar aapne jana Vitamin D Rich Foods. To bas der kis baat ki, aaj se hi inn khadya padarth ka sevan start kar de aur hamesha ke liye bimariyo se bachiye.