Janiye Foods to Avoid for Weight Loss in Morning Aur Rahiye Swasth

Page 1

Vajan Kam Rahe Hai To Subah Na Khaiye Yeh Aahar Subah ka nashta aapko dinbhar sakriya rakhta hai saath hi yeh vajan kam kanr mai bahut mahatvapurna bhumika nibhata hai, isliye nashte mai aise aahar ka sevan karne se bache jisse vajan kam hone ki jagah badhta ho. Vajan kam karna na to bahut aasan kaam hai aur na hi bahut mushkil. Vajan kam karne mai aahar ki bhumika sabse mahatvapurna hoti hai, isliye agar aap vajan kam karna chahte hai to subah uthne ke baad hi iska dhyan rakhe. Kyuki breakfast ka asar pure din ki gatividhi par to padta hai saath hi agar aapne adhik fatty aur aswasth aahar ka sevan kar rahe hai to isse vajan kam karne wala lakshya pura karna shayad hi sambhav ho.

Foods to Avoid for Weight Loss in Morning: Subah ke Samay inse Bache To aaiye jante hai ki vajan kam karne ke liye konse aahar sevan karne se bachna chahiye aur kese swasth rehna chahiye:

1) Dibba Band Fruit Juice: Phal aur phalo ka juice humare sehat ke liye bahut hi faydemand hota hai, iss baat mai kinchit matra bhi shak nahi hai. Lekin dibba band juice humare sehat ke lihaj se nuksandeh hota hai kyuki isme sugar bhi moujud hota hai aur yeh aapke vajan karne ke lakshya mai badhak ban sakta hai. Halaki kuch logo ko lagta


2)

3)

4)

5)

hai ki juice pine se vajan kam hota hai, lekin aisa kewal taaze phalo wale juice ke saath hota hai na ki dibba band juice pine se. Isliye subah ke waqt iss tarah ke juice se parhej kare. Pastry aur Cookies: Subah ke waqt breakfast mai pastry aur cookies khane se aapka breakfast lajij to ho sakta hai, lekin isme moujud sugar aur fat aapke swasth ke liye nuksandeh hai. Agar aap vajan kam kar rahe hai to pastry aur cookies ka sevan bilkul bhi na kare. Iski jagah sabut anaaj ka sevan kare. Pancake aur Muffin: Vajan kam karna bahut mushkil ho jata hai jab aap chhoti-chhoti baato par dhyan nahi dete hai aur halke snacks kam calorie wala samajhkar kha lete hai. Bahut se log nashte mai pancake, muffin, wafers aadi khana pasand karte hai, lekin shayad hi aapko pata ho ki inn sabme maida hota hai. Saath hi unme bahut kam fiber aur protein hota hai. Egg Sandwich: Subah ke nashte mai anda khane ki salah sabhi dete hai. Lekin agar aap egg sandwich khate hai jisme cheese bhi ho, ya phir english muffin, bahut se logo ko pasand hota hai. Iss tarah ke sandwich mai 300-400 calorie hoti hai, lekin char guna jyada tak low calorie carbohydrate bhi hota hai. Isliye koshish kare ki sadharan egg sandwich khaye, wo bhi brown bread ke saath. Coffee Na Piye: Subah ki shuruaat coffee se karna sukhad mana jata hai, lekin yeh aapke vajan ghatne wale raste mai ek rodo ki tarah hai. National Coffee Association ke anusar ek tihai se adhik coffee pine wale roz subah special coffee pina pasand karte hai. Lekin isme 300 se adhik calorie hoti hai. Agar isme adhik chini mila ke pi jaye to calorie aur badh jati hai. Agar aap apne din ki shuruaat itni sugar se karte hai to aapki bhukh badhegi, jo kisi bhi halat mai aapke sehat ke liye thik nahi hai.


6) Smoothie: Subah ke nashte mai smoothie khana sehat ke liye tabhi accha ho sakta hai jab aap use apne aap ghar par banaye. Warna aapke nashte mai calorie bahut adhik badh sakti hai. Alag-alag brand ke smoothie pack mai ek serving ke douran aap 500 se 900 calorie tak ka sevan kar sakte hai. Aise mai yeh aapka vajan kam karne ki jagah badhane mai madad karega. 7) Oily Aahar: Subah ke nashte ke waqt paratha khana bhale hi aapko pasand ho lekin isse sharir mai charbi ekatrit hogi, iske alawa agar aap breakfast mai tale huye aahar jesefinger fry, samosa aadi ka sevan karte hai to yeh aapke vajan kam karne ki jagah badhayega. Iske alawa subah ka nashta kabhi na chhode, isse metabolism sust ho jayega aur pachan kriya prabhavit hogi. Upar aapne jane aise aahar jinko aapko subah ke samay nahi khana chahiye. Inko morning ke samay khane se aapka swasth bigad sakta hai aur motapa badh sakta hai. To iss samay inn khadya padarth ko avaoid kare aur swasth rahe.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.