Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi: Rakhiye Fit

Page 1

Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi se Apna Vajan Ghataye

Vyast jivan sheli aur kaam ka pressure hame swasth tarike se jine nahi deta hai. Junk food ka sevan aur tanav bhare mahol ne hamare sharir ko pure tarah aswasth kar diya hai. Iss tarah ki jivan sheli se sabse jyada asar hamare pet aur jhangho par padta hai. Inn hisso par atirikt charbi jama hone lagti hai. Sharir ke inn hisso par charbi jama hona vese to aajkal ek behad hi aam baat hai, lekin agar in chizo par dhyan nahi diya jaye to yeh kai tarah ki bimariyo ko nyota de deti hai. Isliye jaruri hai ki ham vyayam aur acche bhojan ko apni dincharya mai shamil kare. Agar ham vyayam ki baat kare to yoga ek bahut hi swasthvardhak aur labhkari vyayam hai. Iss tarah ka vyayam na keval hamare dimag aur mashtik ko takat pahuchata hai, balki hamari aatma ko bhi suddha karte hai. Yoga karne se sharir majbut hota hai, mashpesiya ton hoti hai aur sabse jaruri yeh hai ki isse motapa kam hota hai. Yoga na keval Bharat mai hi kiya jata hai balki yeh vidheso mai bhi bahut mashhur ho chukka hai. Aur ise waha tak pahuchane wale insan the hamare swami vivekanand ji. Yadi aap mote hai aur bina jim jaye aasani se ghar par hi vajan ghatana chahte hai. To iske liye yoga karna suru kar de. Niyamit tour se yoga karne par aap apne aap hi shpe mai aa jayenge to aaiye jante hai Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.