ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Page 1

1

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab’khana May 2017


2

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Omuman samjha socha aur kaha jata hai kah hakam zobanain mahkoom zobanoon par lisani hawalah se asar’andaz hoti hain , yah nazrea eak haad tak darust ho sakta hai likin es ki sehat ka mokamal toor par eqrar nahain kiya ja sakta. Zobanain kisi bhi hawalah se jab eak dusray kay qareeb aati hain, apna lisani asar zaroor choorti hain. Kam ya zeyadah asar kay zeman main chand omoor paish paish rehtay hain. Maslan 1-

Awazoon ki ginti aur oon ka lisani nazam

2-

Zobanoon ki lachak’pazeri

3-

Mutradaf aur mutbadal aawazoon ki farami aur mojodgi

4-

Bolnay waloon kay mazaj rujhanaat aur khasusi ravaeay


3

5-

Bolnay waloon ki mail mulaqaat ki suratain aur zaroratain

6-

Majmoe aur shakhsi andaz-o-atwar

7-

Halaat, qudrati mahool, aur moashrat

8-

Zaroratain aur oon zaroratoon ki noeat-o-ehmiat

9-

Zobanoon ki anna, jo oon se mukhsus hoti hai

10- Aalaat-e-notaq aur moavan aalaat-e-notaq 11- Mutradfaat-o-Mutbadlaat 12- Murakab aawazain Mujbori se juray afaal estakam se door rehtay hain ya phir oon ka saliqah darust nahain hota. Yah bhi mumkin hai kah oon kay andaz-o-atwar na’darust rahay hoon. Bahar’toor kahein na’kahein kharabi, kaji ya adhoray’pun ki koe na’koe surat zaroor baqi rehti hai jis kay sabab aatay waqtoon main oon afaal ki moot waqey ho jati hai aur woh qessah-e-parenah ho kar reh jatay hain.


4

Mukhtalif alaqoon aur qomiatoon se motalaq log Bar-e-Sagher main mukhtalif hawaloon se aatay jatay rahay hain. Bar-e-Sagher ki zobanoon nay badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu nay bhi badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu dunyaan ki tamaam zobanoon se ziyadah social, milan’sar aur lachak’pazeer hai. Essi wajah se aaj yah dunyaan ki dusri bari zoban hai aur es ka daera-e-ezhar mahdood nahain. Jab yah boli rahi ho gi, es ka qad-o-kath batata hai os waqt bhi ezhar kay moamlah main os ehad kay motabaq mahdood nahin rahi ho gi. Yah jab aur jis se mili os ko apna kar liya. Hoor, ahwaal, oqaat, majlis, misain tuo chain, touch, mint’mar, chargal maicha, naicha, ladiaan votran, sportran wagherah ab Arbi ya Angraizi kay alfaz nahain rahay. Urdu zoban


5

main en ki apni haiseat zarorat istamal aur nahvi set up hai aur Urdu kay apnay lisani nazam se mukhsus hai. Is qesam kay un’gint alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain aur na’hi in kay istamalaat Arbi ya Angraizi kay lisani nazam kay marhoon-e-mint hain. Angraizi Bahadar Shah Awal (1712) se taqreban Bar-e-Sagher kay liay majbori ka darjah ikhtayar kar gae likin jab Urdu kay jussay ko malahzah kartay hain to ba’khoobi andazah hota hai kah essay kisi bhi hawalah se majbori ka naam nahain de saktay. Angraizi alfaz ko qaboltay samay kahein aur kisi moor par es ki anna majro hoti nazar nahain aati. Badaisi/Mahajar ko es ki anna kay hawalah se libas ekhtayar karna para hai. Shalwar Qameez pehnay bagher os ki nahain bani. Her badaisi lafz Urdu kay zaati hawalah se apni shanakht rakhta hai. Angraizi alfaz ko qabonay ki bohat sari suratain samnay aati hain. Agli satoor main chand eak ka tazkarah kar raha hoon ta’kah es hawalah se kaam ko


6

aagay bharnay main, kisi haad tak sahi, madad mil sakay. Es tehreer ki tayari kay liay Qeblah Syed Akbar Allahabadi kay qalaam se bhar’poor estafadah kiya giya hai. Bawar rahay mojood talafaz kay motabaq alfaz kay endraj ki koshesh ki gae hai. • Bay’shamar angraizi alfaz Apni asal ashkaal kay sath Urdu zoban main dakhal ho gay hain. Oon ki yahaan farest daina mazmoon ko la’yaeni tawalat dainay kay mutradaf ho ga. • Angraizi aur Urdu ki amaizash se mukhtalif qisam kay aamaizay/marakbaat parhnay sonnay ko mil jatay hain. Maslan English masadar, Lat sahib, jhutay biskit, natural cheez, natural baat, paper dhandli, shookh mis, natural hai, agla koras, anrairi andleeb, london tak/talak, gharbi mashinoon, paish commission, maghrabi operation, dhili patloon, shakhastah note book, shiya college, siyasi committee makhfi policy/palisi, angraiz society, tikat


7

ghar, dak train, mula majistrate, sufi professor, political zarorat, third walay, sintific tareeq, social halat, political aab-o-hawa, eak inch, liague se, kolaig se, bar main, jail main, college kay, college main, hotal main alam-e-teacher, mis-e-farang, milat-e-angraiz, khooh-e-kalaktar, taraqi-e-pension, meh-e-nature, chasham-e-mis, shah-e-england, shah-e-jarmany, mission-e-enkalaab, taqleed-e-english, saz-e-piyano, androon-e-asia, deen-e-naturi, shahid-e-hotal, sarjun-e-raqeeb, fikar-e-salution, ehhad-e-english, pabandi-e-patloon, patloon-o-kot, banglah-o-biskit, latin-o-english, college-o-teacher, englastan-o-jarman, shaikhi-o-kalarki, naghmah-e-aspensar-o-mal, karnal-o-comissioner, naghmah-e-yorap, ghamzah-e-enginiri, mai-e-london, saya-e-hotal, nokri-o-membri so-e-london, nuskhah-e-resolotion, kochah-e-service, tazkarah-e-college, tazkarah-e-visit, pardah-e-sacreen,


8

kiresmis ka pechla, kalaktar ka day, aspeach ka honar, aspeach ka sur, taitar ka sama, hukam English ka, english ka bojh, yorap ka qafiya, council ka vote, masjid ka notice, shahi ka charage, kalaktar ka didar, university ka maslah, bikit ka choor, biskit ka joor, lecture ka sabaq, enlish ka door dorah, beaf ka chaska, patloon ka paich, astation kay sadqay, fesion kay sadqay, fasion kay khalaf, fasion kay sath, bangloon kay moqeem, college kay kiray, college kay mufti, putloon kay batan, yorap kay log, English kay falait, parh kay angraizi, government kay daftar, nito kay wastay izzat ki history, yorap ki taraf, boot ki char char, wahdat ki mistari, history ki basti, aspatal ki dawa, deputation ki sar sabzi, college ki bakvas, league ki government, nito chacha, yorap ki dastan, rail ki patri, nito ki ghis ghis, maiz ki varaity, leader ki raqasi, nito ki tunkhah, London ki masjid, aschool ki garaimar, shitan ki sectary bangloon par tarkay, paraid par qoaed, paraid par laid,


9

chahray par gilat, moter par sawar, stage par dunyaan, committee aur resolution, tajarat aur politics, December ho ya augest, history ko bhool stage ko sanwar, votoon main mukhtalif, bangloon se namaz, bangloon main namaz, government to kush hai, angraizi hi ko, bari mistake, government hi responsible, league se keh do, choor literature ko, majoon nay kot pehna, munchi kah kalarak, government ki policy, kilisa main angraizi, resolation kay seva, yorap nay kaha, bai’tekat fareshtay, madam diyana • Sabqoon lahqoon ka bhi bari khoobi se istamal hot rehta hai. Maslan Bay’tikat, khushnama dinner, dilkosha sciene, bay’harm, bila’gilt, bila’colour, bila’operation, miss na’shanas, pension yaftah, banglah nasheen, science dan, kalark baadshah, kalark baadshahi, mumkinilty, trarablaat wagherah •

Urdu masadar kay sath angraizi alfaz ka estamal


10

aam se baat hai. Baz aisay marakbaat hain jo mohavray kay darjay par faez ho gay hain. Maslan Aspatali ho rehna, operation karna, operation hona, operation ho chukna, editor banna, edit karna, advance daina, advance laina, bag sambhalna, batan kholna, putloon charhana, patloon dhili hona, reject hona, reject karna, rail par charna, teckt katna, select hona, select karna, sciene dekhana, science bunna, science banana, sciene daikhna, photo chatna, photo dikhana, photo laina, photo daikhana, photo khichna, college ki rah laina, life likhna, life raqam karna, life banna, life banana, life bigarna, life tabah hona, mistar hona, wish karna, land hona, land karna, motor pakarna, waqt pass hona, waqt pass karna, history likhna, history parhna, nation banana, defance hona, defance karna, copy karna, copy hona, botal se pina, report likhna, report likhwana, report daina, lecturer sonna, lecturer daina, lecture hona, lecture jharna, lecture pilana, tekat katna, tekat katwana,


11

tekat milna, committee milna, committee dalna, committee dalna • Angraizi alfaz ki jamein Urdu kay apnay lisani nizam kay zair-e-asar tarkeeb pati hain. Maslan Bangloon, calljoon, kalarkoon, laidioon, misooon, membroon, votoon, voteroon, biloon, bankoon, universitoon, scholoon, motoroon, sportroon, teacheroon, doctoroon, professoroon, Misain, busain, carain, calain Commitiaan scocitiaan, veritiaan waghera • Bohat se angraizi alfaz ki Urdu main aawazain barhae ghatae gae hain. Maslan School se ascool, scheme se askeem, steam se asteam, sacutar se askotar • Yay aur ee ki barhoti se alfaz bananay ka ravaj aam hai. Maslan


12

Aspatali, ministry, ragistari, daktari, mastari, kalactari, clerki, leaderi, aishiae wagherah Khudsakhta alfaz masla mokinilty, wajbal, sochanable • Moanas bananay kay liay daisi toor ekhtayar kiay jatay hain. Maslan Daktarni, masterni, membarni, afsarni, ledarrni, tarablaat, faradi waghera • Bohat se alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan Blade, break, discharge, taxi, copy, glass, circle, carkat, school, tube, lead, plate jug waghera •

Baz jamein Urdu main wahad mustamal hain. Maslan

Media, bictairia • Mutbadal aawazoon kay sath bohat se alfaz parnay sonnay ko mil jatay hain. Masan cd se ct, praid se parait, wagherah


13

• Alfaz gharnay ki adadt tamam zobanoon main bari hai. Maslan Baek, tuch, lakat chain, pilshun, gainsa (gass), tony blade, jaraj bursh (buch), Chain’step (change step), tuochun, rapat waghera • Talafaz ki tabdili aur tabdili-e-ashkaal ka aam ravaj hai. Maslan Marbal, garaemar, maral, bursh, such, batal, banglah, varaeti wagherah • Bohat sari ashya kay naam, omomi bool chal main dakhal ho gay hain. Maslan Cooler, farej, desh, fish, glass, matan, beaf, wall clock, washing machine, wash room, bath room, kitchen, television, telephone, baisan, blade, ovan, bed, shampoo, bed sheet, chair, table, boot, coat, iron, cooker, shirt, vcr, shameiz, cup, soop, book, copy, pencil, pen, modal paper, medical wagherah


14

• Bohat sari adviyaat aur medical se motalqaat kay naam aam bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan Brufen, septran, ponestone, paracetamol, disprine, needal, nurs, surjan, ms, medical store, blood group, medical offcer, emergency delivery, care, ward waghera • Foji ohdoon aur foj se motalqaat kay naam Urdu zoban ka hessah ban gay hain. Maslan Captain, karnal, major, wing commander, wing head quarter, field officer, gun, tank, machine gun, brain gun, praid ground wagherah wagherah • Dafatar kay naam Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan President house, Prime minister house, Assembly hall/chamber, governor house, subae secretariate, dc office, sp office, post office, sdo office, edo office, deo office, wapda house, inspectorate, doctorate, ag office, account office, police station, railway station, booking


15

office, wagherah • Un’gint civil ohdoon kay naam Urdu main ravaj pa gay hain. Maslan Metar redar, driver, post man, lungar commandar, line man, clerk, head clerk, accountant, controller, principal, head master, judge, session judge, barester, dg, economist, accountant garnal, dean, counciler, manager, casher, gate keeper director wagherah • Bohat saray niji adaroon kay naam angraizi amaiz hain. Maslan • City view high school, pakistn modal high school, garden town college ofscience, alkhair university, Irha postgraduate college, Lahore college of sciences, shiba delivery house, raza health service, saeeda health centre, qamar health calinic, noshabah beauty clinak, nikhar beauty parlar, nitasha beauty centre, jaded book house, ezhar sons, ferooz sons, taj compney, Ahmad cloth house, sajid landry, kasur landry, shizan baikery,


16

nazir anaetullah transport compney, zaki transport compney, chenab transport services wagherah • Bohat saray purzoon kay naan Urdu main mustamal ho gay hain. Maslan Ring pistan, liver, break, bell, haran, ranch, sacru, handle, stayring, madguard, tyr, tube, carboraitar, axsal, chain, carrier, plug wagherah • “Un” donoon zabanoon ka mushtarkah sabqah hai. Maslan Un’parh, un’gint, un’haad, un’jan, un’daikha, un’mit, un’data waghera


17

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab’khana May 2017


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.