1
ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT
Maqsood Hasni Free Abuzar Barqi Kutab’khanaJuly 2017
2
ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT
Omuman samjha socha aur kaha jata hai kah hakam zobanain mahkoom zobanoon par lisani hawalah se asar’andaz hoti hain , yah nazria eak haad tak darust ho sakta hai laikin is ki sehat ka mokamal toor par iqrar nahain kiya ja sakta. Zobanain kisi bhi hawalah se jab eak dosray kay qareeb aati hain, apna lisani asar zaroor choorti hain. Kam ya ziyadah asar kay ziman main chand omoor paish paish rehtay hain. Maslan 1-
Awazoon ki ginti aur oon ka lisani nazam
2- Zobanoon ki lachak’paziri 3- Mutradaf aur mutbadal aawazoon ki farami aur mojodgi 4- Bolnay waloon kay mazaj rojhanaat aur khsusi ravaeay
3
5- Bolnay waloon ki mail molaqaat ki suratain aur zaroratain 6- Majmoee aur shakhsi andaz-o-atwar 7- Halaat, qudrati mahool, aur moashrat 8- Zaroratain aur oon zaroratoon ki noeat-o-ehmiat 9- Zobanoon ki anna, jo oon se mukhsous hoti hai 10- Aalaat-e-notaq aur moavan aalaat-e-notaq 11- Mutradfaat-o-Mutbadlaat 12- Murakab aawazain Majbori se juray afaal istakam se door rehtay hain ya phir oon ka saliqah darust nahain hota. Yah bhi mumkin hai kah oon kay andaz-o-atwar na’darust rahay hoon. Bahar’toor kahein na’kahein kharabi, kaji ya adhoray’pun ki koee na’koee surat zaroor baqi rehti hai jis kay sabab aatay waqtoon main oon afaal ki moot waqaay ho jati hai aur woh qissah-e-parenah ho kar reh jatay hain.
4
Mukhtalif alaqoon aur qomiatoon se motalaq log Bar-eSagher main mukhtalif hawaloon se aatay jatay rahay hain. Bar-e-Sagher ki zobanoon nay badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu nay bhi badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu donyaan ki tamaam zobanoon se ziyadah social, milan’sar aur lachak’pazeer hai. Issi wajah se aaj yah donyaan ki dosri bari zoban hai aur is ka daera-e-izhar mahdood nahain. Jab yah boli rahi ho gi, is ka qad-o-kath batata hai os waqt bhi izhar kay moamlah main os ehad kay motabaq mahdood nahain rahi ho gi. Yah jab aur jis se mili os ko apna kar liya. Hoor, ahwaal, oqaat, majlis, asami, rashi, ghareeb, khasam waghera Mint’mar,missain, tuo’chain, touch, maicha, naicha, ladiaan votran, sportran, tarablaat wagherah ab Arbi ya Angraizi kay alfaz nahain rahay. Urdu zoban main in ki apni haiseat zarorat istamal aur nahvi set up hai aur Urdu kay apnay lisani nazam se mukhsous hai. is
5
qisam kay un’gint alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain aur na’hi in kay istamalaat Arbi ya Angraizi kay lisani nazam kay marhoon-e-mint hain. Angraizi Bahadar Shah Awal (1712) se taqriban Bar-eSagher kay liay majbori ka darjah ikhtayar kar gaee laikin jab Urdu kay jossay ko malahzah kartay hain to ba’khoobi andazah hota hai kah issay kisi bhi hawalah se majbori ka naam nahain de saktay. Angraizi alfaz ko qaboltay samay kahein aur kisi moor par is ki anna majro hoti nazar nahain aati. Badaisi/Mahajar ko is ki anna kay hawalah se libas ikhtayar karna para hai. Shalwar Qameez pehnay bagher os ki nahain bani. Her badaisi lafz Urdu kay zaati hawalah se apni shanakht rakhta hai. Angraizi alfaz ko qabonay ki bohat sari suratain samnay aati hain. Agli satoor main chand eak ka tazkarah kar raha hoon ta’kah is hawalah se kaam ko aagay bharnay main, kisi haad tak sahi, madad mil sakay. Is tehreer ki tayari kay liay Qblah Syed Akbar Allahabadi kay qalaam
6
se bhar’poor istafadah kiya giya hai. Bawar rahay mojood talafaz kay motabaq alfaz kay indraj ki koshesh ki gaee hai. • Bay’shamar angraizi alfaz Apni asal ashkaal kay sath Urdu zoban main dakhal ho gay hain. Oon ki yahaan farest daina mazmoon ko la’yaeni tawalat dainay kay mutradaf ho ga. • Angraizi aur Urdu ki amaizash se mukhtalif qisam kay aamaizay/marakbaat parhnay sonnay ko mil jatay hain. Maslan English masadar, Lat sahib, jhutay biskot, natural cheez, natural baat, paper dhandli, shookh mis, natural hai, agla koras, angrairzi andleeb, london tak/talak, gharbi mashinoon, paish commission, maghrabi operation, dhili patloon, shakhastah note book, shiya college, siyasi committee makhfi policy/palisi, angraiz society, tikat ghar, dak train, mula majistrate, sufi professor, political zarorat, third walay, sintific tareeq, social halat, political
7
aab-o-hawa, eak inch, liague se, kolaig se, bar main, jail main, college kay, college main, hotal main alam-e-teacher, mis-e-farang, milat-e-angraiz, khooh-ekalaktar, taraqi-e-pension, meh-e-nature, chasham-emis, shah-e-ingland, shah-e-jarmany, mission-e-inkalaab, taqleed-e-english, saz-e-piyano, androon-e-asia, deen-enaturi, shahid-e-hotal, sarjun-e-raqeeb, fikar-e-salution, ehhad-e-english, pabandi-e-patloon, patloon-o-kot, banglah-o-biskit, latin-o-english, college-o-teacher, englastan-o-jarman, shaikhi-o-kalarki, naghmah-easpensar-o-mal, karnal-o-comissioner, naghmah-eyorap, ghamzah-e-anginiri, mai-e-london, saya-e-hotal, nokri-o-membri so-e-london, nuskhah-e-resolotion, kochah-e-service, tazkarah-e-college, tazkarah-e-visit, pardah-e-sacreen, kiresmis ka pechla, kalaktar ka day, aspeach ka honar, aspeach ka sur, taitar ka sama, hukam English ka, english ka bojh, yorap ka qafiya, council ka vote, masjid ka
8
notice, shahi ka charage, kalaktar ka didar, university ka maslah, bikit ka choor, biskit ka joor, lecture ka sabaq, enlish ka door dorah, beaf ka chaska, patloon ka paich, astation kay sadqay, fesion kay sadqay, fasion kay khalaf, fasion kay sath, bangloon kay moqeem, college kay kiray, college kay mufti, putloon kay batan, yorap kay log, English kay falait, parh kay angraizi, government kay daftar, nito kay wastay ezzat ki history, yorap ki taraf, boot ki char char, wahdat ki mistari, history ki basti, aspatal ki dawa, deputation ki sar sabzi, college ki bakvas, league ki government, nito chacha, yorap ki dastan, rail ki patri, nito ki ghis ghis, maiz ki varaity, leader ki raqasi, nito ki tunkhah, London ki masjid, aschool ki garaimar, shitan ki sectary bangloon par tarkay, paraid par qoaed, paraid par laid, chahray par gilat, moter par sawar, stage par dunyaan, committee aur resolution, tajarat aur politics, December ho ya augest, history ko bhool stage ko
9
sanwar, votoon main mukhtalif, bangloon se namaz, bangloon main namaz, government to kush hai, angraizi hi ko, bari mistake, government hi responsible, league se keh do, choor literature ko, majoon nay kot pehna, munchi kah kalarak, government ki policy, kilisa main angraizi, resolation kay seva, yorap nay kaha, bai’tekat fareshtay, madam diyana • Sabqoon lahqoon ka bhi bari khoobi se estamal hot rehta hai. Maslan Bay’tekat, khushnama dinner, dilkosha sciene, bay’harm, bila’gilt, bila’colour, bila’operation, miss na’shanas, pension yaftah, banglah nasheen, science dan, kalark baadshah, kalark baadshahi, mumkinilty, trarablaat wagherah • Urdu masadar kay sath angraizi alfaz ka estamal aam se baat hai. Baz aisay marakbaat hain jo mohavray kay darjay par faez ho gay hain. Maslan Aspatali ho rehna, operation karna, operation hona,
10
operation ho chukna, editor banna, edit karna, advance daina, advance laina, bag sambhalna, batan kholna, putloon charhana, patloon dhili hona, reject hona, reject karna, rail par charna, teckt katna, select hona, select karna, sciene dekhana, science bunna, science banana, sciene daikhna, photo chatna, photo dikhana, photo laina, photo daikhana, photo khichna, college ki rah laina, life likhna, life raqam karna, life banna, life banana, life bigarna, life tabah hona, mistar hona, wish karna, land hona, land karna, motor pakarna, waqt pass hona, waqt pass karna, history likhna, history parhna, nation banana, defance hona, defance karna, copy karna, copy hona, botal se pina, report likhna, report likhwana, report daina, lecturer sonna, lecturer daina, lecture hona, lecture jharna, lecture pilana, tekat katna, tekat katwana, tekat milna, committee milna, committee dalna, committee dalna •
Angraizi alfaz ki jamein Urdu kay apnay lisani nizam
11
kay zair-e-asar tarkeeb pati hain. Maslan Bangloon, calljoon, kalarkoon, laidioon, misooon, membroon, votoon, voteroon, biloon, bankoon, universitoon, scholoon, motoroon, sportroon, teacheroon, doctoroon, professoroon, Misain, busain, carain, calain Commiteaan scocitiaan, veritiaan waghera • Bohat se angraizi alfaz ki Urdu main aawazain barhaee ghataee gaee hain. Maslan School se ascool, scheme se askeem, steam se asteam, sacutar se askotar •
Yay aur ee ki barhoti se alfaz bananay ka ravaj aam hai. Maslan
Aspatali, ministry, ragistari, daktari, mastari, kalactari, clerki, leaderi, aishiae wagherah •
Moanas bananay kay liay daisi toor ekhtayar kiay
12
jatay hain. Maslan Daktarni, masterni, membarni, afsarni, ledarrni waghera • Bohat se alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan Blade, break, discharge, taxi, copy, glass, circle, carkat, school, tube, lead, plate jug waghera •
Baz jamein Urdu main wahad mustamal hain. Maslan
Media, bictairia • Mutbadal aawazoon kay sath bohat se alfaz parnay sonnay ko mil jatay hain. Masan cd se ct, praid se parait, wagherah • Alfaz gharnay ki adadt tamam zobanoon main bari hai. Maslan Baek, tuch, lakat chain, pilshun, gainsa (gass), tony blade, bursh (buch), Chain step (change step), tuochun, rapat waghera
13
• Talafaz ki tabdili aur tabdili-e-ashkaal ka aam ravaj hai. Maslan Marbal, garaemar, maral, bursh, such, batal, banglah, varaeti wagherah • Bohat sari ashya kay naam, omomi bool chal main dakhal ho gay hain. Maslan Cooler, farej, desh, fish, glass, matan, beaf, wall clock, washing machine, wash room, bath room, kitchen, television, telephone, baisan, blade, ovan, bed, shampoo, bed sheet, chair, table, boot, coat, iron, cooker, shirt, vcr, shameiz, cup, soop, book, copy, pencil, pen, modal paper, medical wagherah • Bohat sari adviyaat aur medical se motalqaat kay naam aam bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan Brufen, septran, ponestone, paracetamol, disprine, needal, nurs, surjan, ms, medical store, blood group, medical offcer, emergency delivery, care, ward waghera
14
• Foji ohdoon aur foj se motalqaat kay naam Urdu zoban ka hessah ban gay hain. Maslan Captain, karnal, major, wing commander, wing head quarter, field officer, gun, tank, machine gun, brain gun, praid ground wagherah wagherah • Dafatar kay naam Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan President house, Prime minister house, Assembly hall/chamber, governor house, subae secretariate, dc office, sp office, post office, sdo office, edo office, deo office, wapda house, inspectorate, doctorate, ag office, account office, police station, railway station, booking office, wagherah • Un’gint civil ohdoon kay naan Urdu main ravaj pa gay hain. Maslan Metar redar, driver, post man, lungar commandar, line man, clerk, head clerk, accountant, controller, principal,
15
head master, judge, session judge, barester, dg, economist, accountant garnal, dean, counciler, manager, casher, gate keeper director wagherah • Bohat saray niji adaroon kay naam angraizi amaiz hain. Maslan • City view high school, pakistn modal high school, garden town college ofscience, alkhair university, Irha postgraduate college, Lahore college of sciences, shiba delivery house, raza health service, saeeda health centre, qamar health calinic, noshabah beauty clinak, nikhar beauty parlar, nitasha beauty centre, jaded book house, ezhar sons, ferooz sons, taj compney, Ahmad cloth house, sajid landry, kasur landry, shizan baikery, nazir anaetullah transport compney, zaki transport compney, chenab transport services wagherah • Bohat saray purzoon kay naan Urdu main mustamal ho gay hain. Maslan Ring pistan, liver, break, bell, haran, ranch, sacru,
16
handle, stayring, madguard, tyr, tube, carboraitar, axsal, chain, carrier, plug wagherah • “Un” donoon zabanoon ka mushtarkah sabqah hai. Maslan Un’parh, un’gint, un’haad, un’jan, un’daikha, un’mit, un’data wagherah