Insan

Page 1

Insan Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'Khana July 2016 Khuda ke liay; Alaqoon, garohoon, firqoon, qibiloon, nisloon, zobanoon waghera ko apni shanakht na banao, tum insan ho aur banday ke putroon ki tara zindgi gozaro. jio aur dosroon ki jholi khushi asudi aur moskarahtoon se bhar dou. Yaad rakho! yahaan koee kisi cheez ka malik nahain. sab kuch yahaan hi choor jao ge. Tumhara yahaan kuch bhi nahain. Tum to apni zaat ke bhi malik nahain ho. Asal malik o waris to Allah aur siraf Allah hi hai.




Madarjaat

1- Insan jab paida hota hai 2- Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta 3- Insan Kutta Nahain

Insan jab paida hota hai

Insan jab paida hota hai os ka dil golab ki pati ki tara naram nazok komal aur khush'bu say labraiz


hota hai jab'kah damagh koray kaghaz ki tara sofaid ojla shafaaf aur bai'dagh hota hata. Os ki moskarahatain her qisam ki tameez-o-imtayaaz aur tanz say bala'tar hoti hain. woh sab ka aur sab kay liay hota hai. Salamti aur dosti os ki fitrat/sarisht main dakhal hoti hai. Os kay dil aur damgh main kisi kay liay nafrat, boghaz, hasad ya janib'dari nahain hoti. Woh ossi tara say hota hai jaisay insan ko hona chaheay.

Jab Insan paida hota hai Ahsan aur Khlipha kay darjay par faez hota hai. Tafreeq aur dehshat gardi qisam ki chizoon say na'aashna hota hai. Waqt, halaat, society, mahool, mafadaat, madi bhook, garohi janib'dari aur os kay so called apnay ossay insan nahain rehnay daitay. Woh soni, wahabi, shiya, barailvi, mashraqi, maghrabi, sikh, esae, hindu, kala, gora, mochi, darzi, naee, raja, malk, kambu, rajpoot ,molvi pandat, padri, ghreeb, ameer, apna, paraya, aman'pasand dehshat'gard


qatil maqtool Allah janay kiya kuch ho jata hai. Os ki zindagi in daeroon main ta'dam-e-marg moqaied rehti hai. Sar othata hai ya samaji-o-mazhabi nazriyaat waghera ke daeroon say nikalnay ki koshesh karta hai to baghi tehrata hai. Log os kay zahir ko malahza kartay hain aur yah daikhnay ki zahmat nahain otatay kah os kay mun/andar/batan main kiya chal raha hai. Woh zindgi bhar til til qatal hota hai aur auroon ko mukhtalif hawaloon say masloob karta rehta hai. Eak waqt aata hai jab os kay liay yah sab Zindagi ka roop ikhtayar kar jata hai. Os kay nazdeek yahhi zindagi hoti hai.

Kamzoroon ki gardan marotay waqt os kay andar say koee aawaz boland nahain hoti.* Os kay insan kay darjay say gir kar siraf aur siraf wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora raja malak kabo rajpoot mochi nae darzi molvi pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil


maqtool ban janay ki zima'dari kis kay sar par rakhi ja'ay?! 1- Os kay ghar waloon par? 2- Samaj society mahool ya insan kay tabeer yafta mazhab par? 3- Amir-e-shihar par jo saray wasael samait kar ossay gholami ki zindagi karnay par majboor karta hai? 4- Boray halaat-o-waqiyaat kay rad-e-amal par? 5- Aaghi kay darwazay band kar dainay waloon par? 6- Ustaad/Guru/murshad kay moashi-o-samaji aur os ki self respect kay qataloon par? 7- Khud os par kah os nay rasta ikhtayar kartay waqt apni samjh bojh say kaam na liya? 8- ya phir hasab-e-ravaet taqdeer par? 9- ya phir samaji aur riyasti zulm-o-jabr kay nazam par?


Aakhar insan kay andar kay insan ka bai'dardi say khoon bahanay aur tafreeq kay darwazay kholnay ka alzaam kis ko diya ja'ay. Jis ki taraf ongli othein gay kobray saanp ki tara dasnay ko aa'ay ga. Jis say sawal karo gay khud ko sacha socha bata'ay ga. Agar apnay apnay hawalay say sab sachay aur naji hain to phir ghalt koon hai. Kiya qatil mujram hai ya maqtool ya phir donoon?

Insan, insan kayoon nahain raha. Jis say sawal karo gay barmala kahay ga mein pehlay falaan hoon os kay baad insan hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru Nanak Sahib ka yah kaha kisi tara ghalt nahain : There is no shortage of those who preach and teach. kathnaa kathee na aavai tot.


Batan ki taharat kay sabab aur is hawla say mota'alaq log mojood hain aur Woh soni wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esaee hindu kala mochi nae darzi gora raja mochi nae darzi malk kambo raj'poot molvi pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil maqtool ko phir say golaab ki pati aur lathay ki tara kora aur bai'dagh bana saktay hain. Woh aisa saboon rakhtay hain jo diloon kay zang ko saaf kar sakta hai. Os kay baad kaon son sakain gay aankhoon ki roshnaee dhanag say yaeni ossi tara say daikhay gi jis say tara say daikha jana chahiay. -------------------* oon kay dil zang'aloda ho jatay hain.

surindarn

December 10, 2014, 03:46:39 PM


Janaab Doctor Maqsood Hasni Sahib aapne bahut achaa mazmoon chunaa hai aur likhaa hai, Janaab meri 80 saal kee umhr hai aur main aap ke khayalaat kee qadar kartaa hoon. Haqeekat mein jinh haalaat mein woh paltaa hai, woh uss kee mausimiyat cheen lete hain. Phir bhi barhaa hone pe jo bhi bantaa hai, uss kaa kasurwaar sirf woh hai aur woh khud hogaa. sirf dil behlaane ke liye main 2 line likh rahaa hoon.

Yeh bachaa dekhne mein jo itnaa masoom, bholaa aur pyaaraa lagtaa hai... Abb bhi laachaar hai aur jo bane gaa usske liye bhi laachaar lagtaa hai!

Dr Maqsood Hasni

December 11, 2014, 04:46:36 AM Âť aap ne tovajo farmaee dil o jan se ehsan'mand


hoon http://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/insan-jab-paid a-hota-hai-t118350.0.html

Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta

Baray kamray kay qalein par eak chonti kabhi idher aur kabhi odher bhagay phirti thi. Mein nay ghoor kiya, wo shadeed parishan thi. Prishani kay alam main wo la'hasil mashaqat ka shakar ho gaee thi. Mujhy os ki prishani ki tein vajo samjh main aaein: • Qalei za ei ahai thi au wo za ei pa chalnay ki adi thi. • Na'ay

ahol au halaat ay ossay pa isha ka rakha tha.

• Os ki mahdood basarat aur basirat nay qalein ko la'mahdood qarar day diya tha.


Jab soch basarat aur basirat kalein se kay daeray main mahdood ho jatay hain to insan ki haisiat os chonti say ziyada nahain rehti aur insan mahdood daeray say bahar nikal nahain pata. Jab nikalnay ki koshesh karta hai to idher odher bhatakta phirta hai aur prishanioon main ghir jata hai. Ossay kuch sojhaee nahain daita kah kiya karay aur kiya na'karay. Kaenaat main karnay ko to bohat kuch hai laikin aankh ki mahdood kar'gozari kay sabab woh kuch nahain kar pata jo hona chahiay.

Basarat kay faislay kay motabaq digar hawas apni kar'gozari samnay latay hain laikin jab kisi hawala say daera tornay main kam'yaab ho jata hai to ossay pehlay say behtar kar'gozari kay un'gint mowaqay mayassar aatay hain. Goya woh pehlay say behtar aur bohat kuch kar gozarta hai. Warna os daeray main bahar ki kar'gozari momkin hi na thi.


Allah Karim nay Insan kay andar 1,64,0000 saktiaan (powers) rakh di hain jin main say meaz chand eak ka istamal ho pata hai. Moqadas Kotab main ghoor karnay ki bar bar takeed aati hai. Tadabar kay natija main "La" ko vajood mayasar aa jata hai. Ta'hum yah baat teh hai kah ghoor karnay kay natija main hi korray tabdeel hotay hain. Insan mokhtalif korroon ki sair karta hai. Is say os kay ilm aur moshahiday main vosat aati hai. Dosri taraf yah bhi hota hai kah korroon ki tabdili say woh la'madood nahain ho jata. Jab'kah adyan khasosan Islam insan ko mahdood, mahtaj aur ghulam nahain daikhna chahta. Mahdood aur ghulam honay ki surat main insan apnay khaliq tak rasaee hasil nahain kar pata. Haqiqi Khaliq-o-Malik la'mahdood hai is liay os say qareeb honay kay liay la'mahdood honay ki zarorat hoti hai.


Ulma Karam Koshesh main rahay hain kah intahaee qareeb aur intahaee door kay mafaheim tak rasaee hasil kar lain. Ulma Karam nay ahkamaat ki tashrehaat aur tafheim kay hawala say daftar kay daftar bhar diay hain. Oon ki masaee jamila apni jaga laikin wo tafheim-o-tashree jo qaem baz'zat aur her kisi kay liay qabal-e-qabool ho, abhi tak insan kay hath nahain lag saki. Her mafhoom her tashree raad ho jati hai ya her kisi kay haan sharaf-e-qaboliat hasil nahain kar saki balkah in ki mokhalfat main kahein pur'zoor dalael samnay aa'ay hain. Jinhain parh kar: • Pehla

osta d ho jata hai.

• Taza za ja a • Pehlay

laita hai.

ai ta diliaa laee jati hai .

• Tash ihaat ki azeed tash ihaat ho gaee hai . Jis kay sabab oljhao paida ho gi giya hai.


Foqara la'mahdood honay kay liay apni zaat ki nafi karkay Allah jo la'mahdood hai, ko asbaat daitay hain aur keh othtay hain: Toon hain tana toon hain bana, sabh kojh maira toon Kahay Hussain faqeer namana mein nahein, sabh toon (Shah Hussain Lahori)

Bhula, Sho hain dohein jahani Koee na wasda gher (Bulle Shah Kasuri)

Ab baat zara aagay bharti hai to Mansoor keh othta hai: "Mein hi haq hoon" Bulle Shah ka yah kehna bhi qabal-e-tovajo hai:


Haji lok makkay noon janday maira mahi makka mein kamli haan ................. Bulla Sho asaan marna nahein Disay mar giya koee hoor

Sawal paida hota hai kah yah sab ghoor-o-tadabar kay natija main hasil hota hai ya hadsati toor par waqo main aata hai ya ishq is manzal tak lata hai ya is ki koee aur vaja ho sakti hai. Ustad Ghalib bilkul alag say jawaaz latay hain: Kuch na tha to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota Doboya mujh ko honay nay na hota mein to kiya hota


Moamla yah hai kah aaghi jab mosbat rastoon par chalti hoee janoon ki shakal ikhtyar kar laiti hai to hi la'mahdood honay ki taraf safar ka aaghaz hota hai. Is tara daeroon ki qaid say aazadi hasil ho jati hai. Mahdood-o-makhsous hona aur ossi ko sab kuch samjh laina hi Shirk hai. Insan kisi daeray ka mahtaj ya ghulam ho giya to os nay Shirk kiya.

Insan aazad paida howa hai. Allah insan ki ghulami pasand nahain karta. Insan siraf aur siraf Allah hi ka hai aur Allah hi kay liay hai. Allah chahta hai kah insan her midan main kamyabi-o-kamrani hasil karay. Jab bandgi kay sab darwazay band ho jaein gay to siraf aur siraf Allah ki bandgi ka darwaza khola reh ja'ay ga. Is tara woh apnay Khaliq-o-Malik ki tara bai'karan ho ja'ay ga. Woh ossi nehj par sochay ga jis par os ki takhleeq hoee. Jein aur gosht kay cells ka pass-word/code daryaft kar sakay ga. Pass-word/Code ki daryaft say hi la'mahdood hona momkin hai. Yah la'mahdodiat


kae ati ho gi ja ’kah Khali kay liay woh eaz os ki khob'surat takhleeq hi rahay ga.

Kaliq apni takhleeq kay mafaheem khoob khoob janta hota hai. Auroon par yah mafaheem nahain kholtay au a’hi khol saktay hai . Modabar ishq dosroon par foqiat hasil kar laita hai to: • Khali kay a ee ho jata hai. • Khali ko os ki sifaat kay hawala say ja au pehchan laita hai. • Khali os say au woh Khali say azi ho jata hai. • I sa Khud ko ja au peh ha laita hai. • Woh ashya ki haiat, ahait, ista alaat, jowahar aur mafaheen say aaghi hasil kar laita hai. • Woh ap ay a da kay ko oo au shaktioo pa tasalat hasil kar laita hai. Ghoor karnay aur na'karnay waloon main farq aa


jata hai. Ashq-e-modabar (moman/motaqi) Khalifa ban kar zindagi kay kanvas par namo'dar hota hai.Woh jan jata hai aur na'jannay waloon kay liay Allah ki naimat sabat hota hai. Ulma Karam lafz kay ae i talashtay hai ja ’kah yah lafz ki ooh pa garift hasil kar laita hai. Donoon main yahi bonyadi farq hai. Is Ashq-e-modabar ke hamil ko Peer keh lain, Bazorg ka naam day dain, Darvaish, faqeer, Sufi, Bhagat, Amam, Khalifa ya Guru kay naam say mansoob karain eak hi baat hai.

surindarn

December 13, 2014, 08:41:53 PM Âť bahut khoobsurat ehsaas hai.

Dr Maqsood Hasni


on: December 14, 2014, 03:23:37 AM Âť aap ki mohabat aur tovajo ke liay ehsan'mand hoon. aap par hamaisha Bhagwan ki kirpa bani rahe

http://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/allah-insan-kighulami-pasand-nahain-karta-t118389.0.html

Insan Kutta Nahain

Kottay ki firat hai, jab wo kisi dosray kuttay kay monh main haddi daikhta hai to pehlay os par bhonkta hai phir os say haddi chein lainay ki koshesh karta hai. Is tara donoon main ghomsan ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatay hain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koee tisra kotta haddi lay kar chalta banta hai aur laraee ka moqam-o-midan


manzar aur naak naqsha hi badal jata hai. Goya laraee ka silsala is china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain ho pata.

Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kuttay ki koee bhi adat insan main hona insaniat ki kholi tohein aur tazleel hai. Sari kaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai aur kaenat hai hi insan kay liay. Allah nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai. Goya is hawala say, 1. insan kaenat ka Amin hai. 2. Is ka behtar aur barh kar istamal 3. kaenat ki tazein araesh aur hifazat ka fariza anjam daita hai. 4. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka saboot faraham karta hai. 5. Is ki kavish say sukh, aasudgi aur khair ko panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Is hawala say insan kay paas:


• Vasael-e-qudrat wafar mojood hain. • Meh at ka o sa is ki fit at-o-sharist ka khasa hai. • Ho a go sali a ta i a ki gi aa sarfaraz hai.

ada

ai at say

• Takhlee kay liay a o ay pehlay say hi kae aat main mojood hain. • Holy Books ki sau at

ai Hadait

ayassar hai.

Hasad say barh'kar donyaan main koee bori aur na'pasandida cheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon ki NANI hai. Yah bhi keh saktay hain kah hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wo bala hai jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay jazboon ko oksati hai.

Insan ki sar'bolandi doo hawaloon say wazay aur mosalam hai:


Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsous karta hai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai. Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh karta hai.

Yah bhi pehlay say teh'shuda haqiqat hai: 1- Insan nay wasael talashay hain aur istamal main la raha hai. 2- Bohat say wasael say mota'alaq ilm hasal kiya hai laikin oon ka talashna aur istamal main lana baqi hai. 3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna aur oon ka istamal talashna abhi baqi hai.

Baad'qismati yahaan say hi shoro hoti hai kah insan mayassar ko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko shamil karnay ki soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur na'hi is kay hissay bikhray karna


chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi cheez ka haqiqi malik hi nahain. "Mairi, maira" kay lalach nay aag ka darya kabhi khoshak honay nahain diya.

Issi tara jin ko mayassar nahain woh her hila bahana aur harba say chein lainay par otray rahay hain.Yah andaz-o-rovaeya qatee sehat'mand nahain. Yahhi nahain is aawaizash say mayassar bhi tabahi-o-barbadi ka shakar hai. Agar yahhi surat-e-hal baqi rahi to aatay kal kay insan kay paas, agar kuch baqi raha to rakh main bhoja howa khoon. Woh is khoon ko daikh kar na ro sakay ga na'hi moskarahat os kay laboon par phoot sakay gi.

Kiya yah monasab nahain kah insan maloon ko daryaft kay hisar main la kar istamal main la'ay. Issi tara Na'maloom wasael ko ilm main la'ay ta'kah yah ya is ki aati nasalain aaj kay na'maloom aur kal kay maloom ki talash main nikal parain. Insan kay


hath main abi to chand patyaan aaee hain jin kay mokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain kar paya aur itna bara aur sharam'naak hangama khara kiay howay hai.

Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada tasarfaat talashna hain. Maloom magar istamal main na aanay walay wasael ki talash main nikalna hai. Agar insan mojood par os ki mojoda halat aur istamalaat par kat mara to talash ka amal kaisay jari reh pa'ay ga. Tail, gass waghera kay elawa bhi energy say motalaq bohat sari chizain kaenat main mojood hain, oon ki talash abhi baqi hai.

Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay say motalaq wasael bhi khisay karna chahta hai. Asool, qanoon aur zabtay apni hi rakhsha kay liay bananay ki koshesh main masroof hai. Taleem aur research kay shobay ko kamzoor aur apni marzi-o-munsha ka bananay say maloom magar


dastaras say bahar tak rasaee aur na'maloom ko maloom main lanay ka amal kamzoor'tar hota ja raha hai. Woh samjh raha hai mojood hi sab kuch hai aur issay samait laina hi ghanimat hai. 1- Taleem aur taleem say motalaq logoon ko mazboot bananay ki is liay ziyada zarorat hai kah: Mojood kay mazeed kamalaat, fazael aur istamalaat daryaft ki'ay ja sakain. 2- Maloom magar istamal main na honay walay wasael par dastaras kay gur aur honar talashay ja sakain. 3- Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja sakay. Yah baat bhi mojoda tanazur main thos haqiqat hai: • ku h logoo kay psas wasael hai . • Ku h log

eh at ka saktay hain.

• Ku h il -o-danish rakhtay hain. In main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna


chahiay. Jab tak yah tinoon motwazi aur bahmi ta'awan say nahain chalin gay, gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood par kottoon ki si laraee ka silsala kabhi rok na pa'ay ga. Moeshat ko sahara yah tinoon mil kar hi day saktay hain.

Amrika nay aman kay qayaam aur dehshat'gardi kay khatmay kay naam par puri donyaan ko aag main jhoon rakha hai. Diloon kay hal to Allah hi janta hai ho sakta hai kah os ki is koshesh main kahaan tak khalous aur insan dosti ka amal dakhal hai. Ho sakta hai, kisi sata par os kay haan mukhlasi ka onsar bhi mojood ho laikin donyaan issay aqwam-e-alam kay wasael par qabza karnay ka naam day rahi hai.

Amrika apnay wasael aman qaem karnay aur dehshat'gardi ko khatam karnay ya momkin hai pehlay say mojood wasael par qabzay ki koshesh kar raha hai aur is aag main apnay wasael jhonk


raha hai. Natija-e-kar Baqool Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib: "The single superpower, the United States of America, is facing a great economic crisis, the greatest economic crisis in its history." Amrika, qomoon ko apnay masael khud say hal karnay day aur donyaan ka mamay khan na banay bal'kah khud maloom wasael magar adam daryaat ki talash ai iklay ta’kah aati nasloon ka bhi kuch to bhala ho sakay. Woh kabhi bhi mojoda koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga kayoon'kah Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho sakata. ..........................................

sksaini4 December 11, 2014, 09:10:56 AM waah waah


Surindar. December 11, 2014, 10:23:13 AM Janaab main kabhi sochtaa hoon ke kutaa isaan se kahin behtar hai, woh aur kuchh nahin to insaan kaa wafaadaar to hai, insaan to apnee biwi tak kaa wafaadaar nahin. History batlaati hai ke woh dusron par hamlaa kartaa rahaa hai aur unhkee khuraak kaprhe daulat unhkee aurton kee izat tak loot kar le jaataa rahaa hai. Usse to koi bahaanaa chahiye kabhi mazhab kaa aur kabhi Insaaniyat kaa. Woh to bas sirf apne ko hee behtar samjtaa hai, kaash itnaa hee hotaa ke woh doosron ko apne se neech nahin samjhtaa. Dusron ko ghulam nahin banaataa. Meraa matlab kisee ko neechaa dikhaane kaa nahin hai, sirf jo history batlaati woh duhraa rahaa hoon. Warnaa Janaab ek adnaa saa shakhs hoon. Khuda bhagwaan mujhe yeh taakat de ke main doosron ko apne se behtar samjhtaa rahun aur kisee se kam nahin. Insaan jab khud ko doosre se inferior samajhtaa hai to hamlaa karke


superior baane kee koshish mein hotaa hai. Woh to itnaa bhi nahin sochh saktaa ke kisee kaa haq cheen kar woh khud ko inferior hee saabat kartaa hai. Surindar. http://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/insan-kutta-na hain-t118359.0.html

Insan Maqsood Hasni


Abuzar Barqi Kutab'Khana July 2016 Khuda ke liay; Alaqoon, garohoon, firqoon, qibiloon, nisloon, zobanoon waghera ko apni shanakht na banao, tum insan ho aur banday ke putroon ki tara zindgi gozaro. jio aur dosroon ki jholi khushi asudi aur moskarahtoon se bhar dou. Yaad rakho! yahaan koee kisi cheez ka malik nahain. sab kuch yahaan hi choor jao ge. Tumhara yahaan kuch bhi nahain. Tum to apni zaat ke bhi malik nahain ho. Asal malik o waris to Allah aur siraf Allah hi hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.