Insan aur zobanain
Maqsood Hasni
Abuzar barqi kutab'khana Aguest 2016
Insan aur zobanain Tamam insan Hazrat Adam (AS) ki olaad hain (1) aur yah teh'shuda baat hai. Insan kisi bhi alaqa say motalaq ho, eak si fitri zaroyaat, adaat aur hajaat rakhta hai. Gher'fitri zaroyaat adaat aur hajaat alhaqi aur insan ki khud'sakhta hain.
Aabdi main azafay kay sabab insan mukhtalif alaqoon main hijrat kartay ga'ay. Mukhtalif amarja mukhtalif mosimi
mazaj, alaqaee halaat, alaqaee zaroryaat waghera ki hamaisha say hamil rahi hain. (2) Alaqaee mosmi halaat-o-mazaj kay hawala say os kay alaat-e-notaq aur moawan alaat-e-notaq tashkeel-o-tarkeeb pa'ay. Alaat-e-notaq aur moawan alaat-e-notaq kay hawala say alaqaee awazoon ka nazam teh paya aur in awazoon kay hawala say, insani zarorat kay motabaq alfaz tashkeel-o-taqeeb pa'ay. In hawaloon kay zair-e-asar kisi zoban/boli main awazain kam aur kisi main ziyada hain. Is waqt donya main Quran-e-Majeed ki zoban ko
choor kar, koee bhi boli ya likhi janay wali zoban ataee nahain hai bal'kah insan ki apni takhleeq'karda hai.
Insan moashrat main rehnay wali khaslat rakhta hai is liay os ka apnay aur dosray alaqoon kay logoon say kisi na'kisi hawala say mail'joul hota rehta hai. Is mail'joul kay zair-e-asar woh dosri zobanoon ki aawazain aur alfaz ko ikhtayar karta rehta hai aur yah moamla omomi aur mamool ka hai. Her alaqay aur her walait main os alaqay aur walait ki zaroryaat kay motabaq alag
say zoban takhleeq hoee. Insan ki taqseen mosharti, moashi aur alaqa main os ki samaji haisiat kay hawala say garo, jamatain, konbay, qabilay waghera tashkeel pa'ay. Is tara insan ki tarjihaat main taqseem ka amal vajood main aaya. Her garo, jamat, konba, qabila waghera nay apnay vajood aur haisiat ko mazboot karnay kay liay mokhtalif aqdaam kiay. Is tara eak hi alaqa main aqamat rakhnay waloon ki zonan/boli main wazay faraq aata giya.
Aaj Mahirein-e-lisanyaat zobanoon kay
konboon aur qabiloon ki talash kar rahay hain aur yah bhi daryaft karnay ki koshesh main masroof hain kah konsi zoban kis zoban say nikli. Yah kosheshain qate bai'kar-e-meaz hain kayoon'kah koe zoban kisi zoban say nahain nikli. Her zoban apna alag say vajood rakhti hai. Haan albata dosri zobanoon nay os par lisani asraat zaroor moratab kiay hain. Insan eak hi konba say motalaq hai aur yah taqseen baad ki hai. Bilkul issi tara zobanoon ki taqseem bhi insani taqseem kay sath vajood main aee. Aaj hi nahain doo char sadyoon pehlay ki
kisi bhi zoban ka lisani motalah kar daikhain, wo khalis nahain ho gi. Os main digar alaqaee zobanoon kay sath sath dour amarja ki zobanoon kay bai'shomar alfaz mil jaein gay. Is ki kaee suratain milain gi. Maslam a. alfaz apni haiat main wohi hoon gay laikin oon ka talafaz badal giya ho ga. b. alfaz apni haiat main wohi hoon gay laikin oon kay maeni badal gay houn gay. c. Alfaz ki haiat (form) tabdeal ho gaee ho gi. d. alfaz kay sath moqami sabqay ya lahqay ka paiwand kar diya giya ho ga.
e. haiati aur manivi tabdili aa gaee ho gi. f. istamal ki suratain tabdeel ho gaee hoon gi. g. wahid jama moqami hawala say bana'ay gay hoon gay. h. jama ko wahid aur wahid ko jama istamal kya giya ho ga. i. movanas mazakar moqami tariqa say istamal kiya gay hoon gay. j. awazoon aur alfaz main bai'shumaar ashkali tabdiliaan waqay hoein aur yah amal jari-o-sari hai.
Aisi bohat sari chizain daikhnay ko mil jaein gi. Is kay maeni yah nahain bantay kah falaan zoban falaan zoban say nikli hai ya falaan zoban falaan zoban ki masi phopi chachi ya juwaan/sotili behan hai. Her zoban apna alag say vajood rakhti hai. Koee zoban kisi zoban say nahain nikli. Halaat aur waqt kay hawala say os ki nash-o-nama hoti rahi. Yahhi sach aur yahhi asal haqiqat hai.
Aaj amd-o-raft kay zara'ay bhar ga'ay hain. Donya eak basti ka roop ikhtayaar kar gaee hai is liay zobanain eak dosray
say motasar ho rahi hain. Haan mazi ho kah haal, hakim zobanain ziyada asraat moratab karti hain. Moqami zobanoon se asraat laiti bhi hain. Angraizi ko daikh lain kis tara donya ki zobanoon ko motasar kar rahi hai. Jab hakam (3) mar ja'ay ga to is ki zoban kay alfaz aur aawazain unani, arbi, farsi ya turki ki tara zobanoon ka hissa rahain gay. Khuda maloom oon ki os waqt kya surat aur haiat rahi ho gi. Ya koon say alfaz aur aawazain mazi bun jaein gi. Haan agar insan ko zinda rehnay diya giya (4) aur atum bumb say ora na diya giya to woh apni bonyadi fitrat par hi rahay ga. Os ki
fitri hajaat main kabhi tabdili nahain aa'ay gi. -------------------1. Aaqa Kareem (Oon par baishaad darood aur salam ponchay) aur oon ki aal olaad kay siwa. 2. yah qabilay konbay alaqay aur zobanain waghera shakhas ki shanakhat hain, insan ki taqseem ki daleel nahain hain. maslan admioon kay naam rakhay jatay hain ta'kah oon ki shakhasi shanakht ho sakay warna her kisi ko: oh admi baat sonna
keh kar mokhtab kiya jata. Ab osha, aasha, rajni, basant kour, qalsoom, rita, okasa, okama keh kar bolanay ka matlab yah hai kah pehchan rahay kayoon'kah oon ka alag alag vajood hai. Ta'hum boyadi tour par woh sab ouratain hi hain. agar aap kehtay hain oh ourat baat sonna, chalis ouratoon main say koon samjhy kah kis ko bolaya ja raha hai. Class-room main role number bhi issi hawala say jari hotay hain. Ustad kehta hai role number 822 to fran wohhi talib-e-ilm hath khara karta hai jis ka role number 822 hota hai. Os ki haisiat
aur class main koee aur kisi qisam ka faraq nahain aata. Noor Mohammad keh kar bolaein ya Mr. Smith, namoon kay hawala say haisiat main koe farq nahain aata. Majmoee tour par donoon insan hi hain. 3. amrika 4. tamam insan bahmi dost aur bhi hain haan mafad'parast toloon ki apsi shuru say jang jari hai. Yah jang aam admi ki jang nahain kayoon'kah aam admi aman'parast tha aur hai. Haan albatah aam admi oon kay mafad bhint zaroor charta aaya hai. Yah amal is taraqi kay
dour main bhi jari hai balkah is amal ko taraqi mili hai. Wed Jun 30, 2010 2:48 pm _________________
Tamam insanoon ki asl eak hai Laikin Zobanain halaat ki paidawar hain Vatamunz ka darja rakhti hain" maray liay khasoosi dilchaspi ka mojab hay keh yeh maray nazriah wahdat ul lisan kay zaily unwan laghzash i lisan[zallaht ul qari ]ki kafi had tak wazahat karta ha...........wahdat ul lisan ka
bunyadi khial yeh hay keh tamam zabanoon ki asl aik ha.is silsilah main mari 3 kitabain Allah ki mahrbani say publish ho chuki hain.5 kitabain tabaat kay liay tyyar hain.main nain apna ghair matboa kam www.wahdatullisan.blog.com main day dia ha.wahdat ul lisan bahut wsee mozo ha ................sout o maana ka ham rang aahang kay unwan say aik muqalah web main shamil ha is say maray kam ka andaza ho jata ha.(safdar qureshi) Read more: http://www.forumpakistan.com/tamam-insanoon-ki-asl
-eak-hai-t55582.html#ixzz4FhF4EUn1
Insan aur zobanain
Maqsood Hasni
Abuzar barqi kutab'khana
Aguest 2016