Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain

Page 1

Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana Aguest 2016


Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain

Hum jis ehhad say gozar rahay hain wo angraiz aur os ki zoban angraizi ka hai. Angraiz kay chailay chamtoon aur gamashtoon nay yah ta'asar aam kar diya hai kah angraizi zoban kay bagher taraqi karna mumkin hi nahain. Natija e kar pehli jamat say angraizi ki taleem ka silsala shuro ho giya hai. Taqribun 1835 say bar-e-sagher angraizi gozida hai aur yahaan kay basi jo baray zabardat yohdha jafa'kash mehnati aur honar'mand hain, intahaee koshesh kay bavajood is qilay ko fata nahain kar pa'ay. Ab eak hi surat nazar aati hai kah joon'hi bacha paida ho ossay amrika kay kisi nursing house main bhajwa diya ja'ay ta'kah woh wahaan na'siraf angraizi sikh sakay bal'kah os kalcar ko bhi apna sakay. Halaat to yah batatay hain kah aatay barsoon main:


1- Bhook kay sabab bachoon ko paida hotay mar diya ja'ay ga. 2- Log bhook piyas andhairay dehshat jabr waghera kay khoof say khud'kushi karnay par majboor ho jaein gay. 3- kamzoor taboon kay bachay taleem ka khaab daikhna bhi gonah samjain gay aur aaqaoon ki zaminoon aur kar'khanoon par kaam karin gay. Ghaliban yahhi aaqaoon ki tamana aur marzi hai kah kama'ay gi dunyaan khaein gay hum. 4- Chori dakay mar dhaar aur haira phairi aisay paishoon say wabasta ho jaein gay.

Amli sata par daikh lain bara taira saal parhnay aur saray mazamein main kamyabi hasal karnay kay bavajood angraizi main fail ho janay kay sabab talib-e-ilm taleem'yafta logoon ki saf main dakhal nahain ho pata. Chori ko qanoon jurm qarar daita


hai laikin talib-e-ilm kiya os kay walaidain aqarib aur sar'parast hazraat bhi choor darwazay par dastak daitay hain. Naqal roknay ki surat main bacha un'parh rehta hai aur os kay bara taira saal aur dusray saray mazamein main kamyabi gharat ho kar reh jati hai. Naqal roknay ki taraf tovajo di jati hai aur naqal bhi angraizi kay parchay walay din hoti hai jab'kah baqi din samooth chaltay hain. Hazaar (1000) bookay pani kay nikal lainay say pani pak aur saaf nahain ho sakta jab'tak kotta khu say na nikala ja'ay ga. Sochnay ki baat to yah hai kah jo angraizi parhatay hain oon ko angraizi aati hai?! Sara kaam to gaideoon kay saharay chal raha hai.

Sada badshi Allah Sahib ki hai bar-e-sagher main bhant bhant kay log aatay rahay tab bhi yahi kaha jata tha kah hakam ki zoban kay bagher taraqi nahain ho sakay gi. Wo chalay gay oon ka door khatam ho giya. tarjihaat main her bar tabdli hoti rahi. Sabqa jabr kay sabab yahaan kay logoon par


taraqi kay darwazay band rahay. Taraqi gher molki hakam kay gamashtoon had'haramoon, auroon ki kamaee par mooj karnay waloon aur moqa parastoon nay ki hai. Woh auroon ki nisbat aasmani makhlooq rahay. Oon kay gharoon aur daftroon main kabhi andhaira nahain howa. Ohain aish kay sab moqay mayasar aa'ay. Mehnat'karoon aur kamoon kay hissa main mayosi bai'basi' bai'kasi, bai'chargi aur tangi sakhti aee.

Waqt badal raha hai. aatay kal ko angraizi kay sath bhi wohi ho ga jo pehli hakam zobanoon kay sath howa. Jis tara aaj koee arbi farsi ya yonani nahain bolta ya likhta bilkul issi tara angraizi bhi ga'ay waqtoon ka afsana ho gi. Khuda kay liay talba ko apni zoban main sochnay parhnay aur likhnay ka moqa dijiay. Yah qoom bari zahein aur mehnati hai, dinoon main taraqi karay gi. Kisi gher zoban main wo bhi apnay molak main rehtay howay socha nahain ja sakta. mein kisi zoban say boghaz


nahain rakhta. Zoban koee bhi ho wo to mehz izhaar ka zariya hai is kay siwa kuch bhi nahain. Zoban to insani khayalaat ehsasaat aur mashahidaat kay izhaar kay liay shakas ki ongli pakarti hai. Yahaan olta moamla chalta aa raha hai, shakas ko zoban ki ongli pakarna parti hai.

Ab mein angraizi ki batoor namona eak doo funni yaeni lisani khamioon ki taraf aata hoon aur mein is hawala say her kisi say goftagu karnay ki pozishan main hoon: 1- Angraizi ki ibtadae aawazain izhaar kay hawala say na'kafi hain. 2- Nahaet ahum aawazain chay aur sheen is main mojood nahain hain. 3- Marakab aawazoon ka nazaam kamzoor, dohra, naqas aur pachida hai. Ab zimun numbar 3 kay hawala say chand misalain bhi malahza farma lain:


sheen kay liay das ya das say ziyada marakab aawazain istamal main aati hain jab'kah yah marakab aawazain dosri jaga koee aur aawaz daiti hain. sheen kay hawala say misalain malahza hoon: 1- ch cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism 2- ce croce 3- ci facial precious, special, social, ancient, apperciate, chicago 4- sh shift, sheet, shirt, shawal, shrink, ship, shop, shade, shelve 5- si asia, malaysia, tesion, demension, inpulsion 6- ti


action, mention, residentional, confidentional essential potential, ititial, admition 7- ssi mission, permission, discussion, procession, session 8- ssu issue, assure, pressure 9- su sugar, sure, insurance 10- sch schedule, schizophrenia

Chay kay liay tu ya ch marakab aawazain istamal main aati hain: tu (chay/chu) picture (pikcher), nature (nachar), mixture (mixchar), actual (akchal), punctual (punkchual), habitual


(habichual), torture (torcher) attitude (attichud), culture (kachar), vertual (virchual) fortunate (forchunate), future (fuchar) laikin her jaga tu ki yah surat barqarar nahain. maslan: tuseday (teozday) ch ko bhi chay ki aawaz kay liay istamal kartay hain. maslan: chest, cheat, chit, cheep waghera ch marakab khay ki aawaz bhi daita hai: boch, munich waghera sheen ki aawaz bhi daita hai: cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism waghera kaaf ki aawaz bhi daita hai: school, chemical, chemist, chasm, chem waghera Kaaf kay liay teen ya teen say ziyada marakabaat


ka istamal hota hai. maslan k work, kit, skin, neck, skull, pink, kid c crown, cold, calf, cough, cramp, cave, cook, cock city, civil waghera main seen (s) ki aawaz daita hai. K aur s ki mojodgi main c kay honay ka koee jawaz nahain banta. social, facial precious, special, social, ancient waghera main i kay milan say sheen ki aawaz paida karta hai ch school, chemical, chemist, chasm, chem sheen cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism chay child, chest, cheat, chary (che re), chaser (cha sor)istry khay munck, boch


Bawar rahay sheen, chay aur khay aawazain angraizi main mojood nahain hain. K ki mojodgi main ch kay honay ka koe jawaz nahain banta. Gharaz aisi bisioon aawazoon kay hawala say khamiaan mojood hain jin kay sabab yah kehna kisi tara thek nahain kah angraizi bari ala zoban hai aur is kay bagher taraqi karna mumkin hi nahain. _________________ Mon May 03, 2010 7:27 am

waleednadan Dubai

‫آپ نے بہت اچھی بات آگے کی ہے اگر یہ آپنے اردو میں لکھا‬ ‫ہوتا تو اور بھی اچھا اثر چھوڑ جاتا۔‬ ‫شکریہ‬


In my opinion language is for communication. no language is better or worse than other. English is considered to be necessary for progress simply because now it s become kind of international language. Most of the books and knowledge available in it. P gal www.forumpakistan.com)

Dr Maqsood Hasni Punjab

1- Language is for communication Aap nay sola aanay sach farmaya, zoban siraf aur siraf rabtay aur izhaar ka eak moassar tarein zariya aur vasila hai. Yah ossi ki hai jo ossay:


a. Bolta hai b. Likhta hai c. Parhta hai d. Samjhta hai

Zarori nahain her koee in charoon omour main maher ya zabar'dast salahihat rakhta ho. Charoon main se kisi eak se motalaq ho, ossay os zoban ka khanda shakhas tasleem karna paray ga aur is main koee boraee ya ghalti nazar nahain aati. Is hawala say mojoda tadadi rikard ko ghalt qarar day kar zobanoun main shara khandgi main azafa samjhna chahiay.

Zoban ossi ki hai jo ossay kisi bhi hawala say rabtay aur baat ki jan'kari kay liay istamal main lata hai. Zoban shakhas kay jazbaat, ehsasaat aur khayalaat ka izhaar karti hai lihaza: Zoban ka koee mazhab nahain


Zoban her qisam alaqaee taqseem se bala'tar hoti hai Zoban shakhas ki baat/khayaal se juri hoee hoti hai kha wo shakas kisi bhi alaqa ya garoh say motalaq ho. Goya zoban wohhi kuch biyan karay gi jo shakhas ki marzi aur munsha ho gi. Issi tara wo lehjay main bhi bolnay walay kay aalat-e-notaq aur moavan aalat-notaq ki marhoun-e-mint hoti hai. Zoban inshara kay hawala say bila tafreeq-o-imtiyaz, shakhas ko shakhas kay qareeb lanay ka behtarein zariya hai. Ta'hum hum'khayali na honay ki surat main shakhas, shakhas say dour chala jata hai ya ho sakta hai. Is main zoban ka koee qasoor nahain hota, qasoor alfaz kay andar mojood mafaheim ka hota hai, jab kah mafaheem shakhas ki fikr se juray hotay hain.Is ki bhi dou suratain aur sathain hoti hain: a. Alfaz kay mafaheim ko kisi dousray zaviay say


daikha aur samjha giya hota hai. b. Baat khahi hi ghalt ya phir mokhtib ki marzi munsha ya zavia-e-nazr kay bar'akas ki gaee hoti hai.

2- No language is better or worse than other Yah point dou hissoon main taqseem karna paray ga:

Awal. Better Better zoban wohhi kehla sakti hai jo behtar izar kar sati ho aur izhar main kisi qisam ki rokawat paida na ho. Rokawat ki kaee vajo ho sakti hai. 1- Zakhira-e-alfaz mehdoud ho 2- Aawazoon ka nazam behtarein na ho 3- Lachak'dar na ho 4- Social na ho


5- Her qisam kay lehjay walay shakhas ka sath na daiti ho 6- Alaat-e-notaq os ki aawazoun ko nikalnay main diqat ka shaker Ho jatay houn. 7- Sakht naram gram mithay waghera lehjay ikhtayar karnay kay qabal na ho 8- Aawazoon ka tabadli nazam better na ho 9- Kisi aawaz ko nikalnay kay liay marakab aawazain bana parain to oon say paida honay wali aawaz asal kay qareeb tarein na rehti ho. 10- Eak hi aawaz kay liay ziyada marakbaat ka mostamal hona: a. Bohat bara noqs hota hai. b. Talafaz kay moamla main pachidgiaan paida ho jati hain. 11- Likhnay parhnay kay hawala say kharabi ki suratain nikalti houn. 12- Sikhnay main aasan na ho


13- Sikhtay samay sikhnay walay ki dilcaspi baqi na rehti ho 14- Motbadlaat ki tadad ziyada na ho 15- Eak hi lafz kay mukhtalif maeni hotay hain. Jomlay main matluba maeni wazay na hotay houn 16- Omomi boul chaal main lafzoon ki fitri adaegi sonnay walay ki sama'at par girani sabab banay. 17- Istalahaat ka zakhira wafar na ho aur naee istalahaat qaboolnay ya phir gharnay par qudrat na rakhti ho. 18- Bolnay, samjhnay, likhnay aur parhnay waloon ki tadad ziyada na ho. 19- Eak hi baat kehnay kay liay mukhtalif dhang aur tour apnay ki ehliat na rakhti ho. 20- Lisani nazam aur garaimar kay asoul pachida houn Gharz aisi bohat sari batain hain jo better aur na better say alaqa rakhti hain.


Doem: Worse Aap ki yah baat bhi ghalt nahain balkah 100% darust hai kah koee zoban bori nahain hoti. Woh achi hai kayoon'kah izar ka zariya hai aur shakhas ko shakhas ke qareeb lati hai. Haan os main kahi gaee baat ko bora ya bhala kaha ja sakta hai.

3- English is considered to be necessary for progress Aap ka yah point kisi bhi gher janib dar maher-e-lisanyaat ko hazam nahain ho ga aur na'hi koee angraizi kay elawa zoban bolnay wala issay qaboul karay ga. Yahi qoul Arbi, Farsi, Turki, Pushto waghera zobanoun kay zamanoon main kaha jata raha hai. Her hakam zoban kay liay yahhi kaha jata raha hai laikin jab iqtadaar khatam hota to na'siraf hakam sakrein say ghaeb ho jata hai balkah os ka moashi, tehzibi, saqafti aur zoban kay bala'tar honay ka dawa milyamait ho kar reh jata hai.


Aaj aap is liay English is considered to be necessary for progress keh rahay hain kah angraizi ka dour doura hai aur yah amrika bahadar kay kuch alaqoun aur gora haous ki zoban hai. Aatay waqtoun main yah sab khatam ho ja'ay ga. Aisi hota aaya hai aur yah koee naee baat na ho gi.

Aap angraizi ka lisani mota kar daikhain, aap ko mairi is baat say inkaar nahain ho sakay ga kah Angraizi donya ki behtatein zoban nahain hai Mairi aap say ba'sad ehtaram iltamas hai kah mairay is mazmoun ka dobara sanjidgi say motala farmaein aur phir koee natija akhaz farmaein.

4- Now it (English) become kind of international language

Yah baat aap amrika bhadar ki mojoda hokam rani


aur askari bala'dasti kay sabab keh rahay hain. Khud west main angraizi bolnay waloon ki tadad ziyada nahain. Bohat saray maghrabi apni qomi/alaqaee zoban ko tarji daitay hain.

Chein walay chini main kaam chalatay hain. Angraizi say tarjamay ki surat main istafada kartay hain. Is hawala say angraizi ko bain-ul-aqwami rabtay ki zoban kehna ziyadti ho ga bal'kah issay amrika say rabtay ki zoban kehna ziyada monasab ho ga.

Hamari apni aur west ki bohat sari bibiyaan Hindustani likh parh ya boul nahain saktein laikin Hindustani zoban kay daramay aur filmain daikhti hain. Onhain samjh bhi aati hai. Wo apni boli janay wali zoban main mafhoom bhi bata sakti hain. Hindustani (Hindi+Urdu) is waqt donya ki dosri bari likhi, parhhi, boli aur samjhi janay wali zoban hai. Lisani nazam aur aawazoun kay ziyada honay kay


hawala say donyan main pehle number par hai. UK aur Kanaida main dosri bari zoban samjhi jati hai. Donya kay kisi bhi molak main chalay jaein Hindustani say aaghi rakhnay waloun ki maqoul tarein tadaad mil ja ay gi Lihaza angraizi ko zabar dasti international language ka naam day diya giya hai. Hindustani say mota'alaq log is waqt donya ka sab say baray khareed'dar hain. Kha'am maal bhi yahan hi say ziyada baramad hota hai. Choun'kah zati mafadaat kay tehhat is say mota'alaq log bai'hiss, qomi, alaqae aur lisani asbiat se mehroom aur apni zoban ki vosatoun say na'waqif ho ga'ay hain. Yah shaed nahain jantay kah asri iqtsadyaat main in ki ehmiat aur haisiat kya hai.

5- Most of the books and knowledge available in it


Aap ka yah point intahae kam'zoor hai. Angraizi bichari to khud dosri zobanoon ki mahtaj hai lihaza kitabain aur malomaat ki baat to bohat dour ki baat hai. Agar os kay pas kuch hai to east aur west ki zobanoun kay tafael hai. Marakab aawazoon say mota'alaq koee lafz angraizi ka apna nahain hai. Sabqay lahqay baramda hain. Movanas mazakar aur reshtoun kay liay alag say lafz mojood nahain hain. Loght to aap kay pas ho gi hi, zara takleef farma lain aur daikh lain kya surat-e-haal hai. Is waqt Hindustani main: Mazhabi literature sari zobanoun say ziyada hai. Her bari aur hawalay ki kitab ka tarjama ho chukka hai. Sheri asnaf sukhan main angraizi Hindustani ka moqabla nahain kar sakti. Koee Ghalib nikal kar dikha dain. Aqtasadyaat say mota'alaq kitaboun kay tarajam ho chukay hain.


Is zoban say motalaq logoun nay bhi bohat kuch likha hai. Her qisam ki istalahaat aap ko mil jaein gi ya aap ghar sakain gay.

Hamara rovaeya yah hai kah cheez par usa made ka laibal chispaan ho to hum bhag kar khareed laitay hain chahay os main kisi gori ka haiz aaloda pishab hi kayoun na ho.

Chini jo donya ki sab say ziyada boli janay wali zoban hai ko daikh lain kitaboun ya phir malomaat ki kami nazar nahain aa'ay gi. Japani ko daikh lain bala ki malomaat afrooz zoban hai.

Angraizi kay pas Hafiz, Romi, Sadi,, Iqbal, Khansa, Goete, Taigour, Feng Su Feng, Bodliar, Talsae, Mopsaan, Sartar waghera jaisay ehal-e-zoban


kahan hain?!

Aap ehal-e-Qalam hain khuda kay liay logoun tak sach laein. Angraizi ki zulfoun kay aseer ho kar na reh jaein. Batour zoban angraizi bori nahain. Bas dosri zobanoun ki tara eak zoban hai, is say ziyada kuch nahain.

Is ki poja kay sabab pata hai kya ho raha hai?! bara taira saal parhnay kay baad bhi talib-e-ilm unparh tasawar hota hai. Angraizi siraf daftri zoban hai. Wo is liay kah hakim aur mahkoum kay darmiyan bara chota honay ka ehsas zinda rahay warna donya ki dosri bari aabadi issi main lain dain, tabadla-e-khayaal, likhaee parhae waghera karti hai.

Aakhri baat is say motalaq log bala kay zahein aur mehnati hain. Maghrab main digriyaan karnay


walay tadad main kahein ziyada log hain. Wahan ki univearastiaan damagh in ka nachoor kar in kay hawalay kagh ka eak gidar parwana kar daiti hain aur yah yahaan aa kar fakhar mehsous kartay hain. Woh yah nahain samjh patay is eak gidar parwanay kay badlay kya kuch day aa ay hain. Aap likhain kah yahaan kay hakim apna talimi nazam mazbout banaein ta'kah zahanat eak gidar parwanay kay evz yahaan say motaqil na ho.

Agar aap lisani taqabil kay hawala say koee baat karnay kay liay khahaan gay to mein dast basta hazar houn. _________________ Fri Jul 30, 2010 11:56 pm

RAKhan

What is objective here,


World has become a global village, people are respected based upon their deeds not based upon their language. We need to get rid of imaginary animosity, let's be part of a friendly planet. _________________ Read more: http://www.forumpakistan.com/angraizi-donya-ki-behtatein-zoban-n ahain-hai-2-t57063.html#ixzz4FhG62N52

Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain


Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana Aguest 2016


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.