URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA Kal telephone par mairi aur Dr Riaz Majid ki Urdu rasam-ul-Khat ki tabdili kay hawalah say baat ho rahi thi. Oon ka kehna tha :
Urdu kay mojoda khat ko Roman khat main badalnay ki sazashain chal rahi hain. Yah koee aaj ki baat hai, yah to bohat pehlay say ho raha hai. Mein soch main par giya kya aisa ho sakay ga aur yah behtar
aqdam hoga?!
Is waqt Hindustani- hind'santani, hind'asthani(Urdu+Hindi) jo donyan ki dosri bari aabadi kay rabtay ki zoban hai kay tein rasam ul khat raej hain: 1- Nastaleeq, Arabic bara 'ay Urdu 2- Dav Nagri baray hindi 3-Roman Roman her donoon, Urdu aur hindi alawa'azein dosray bolnay aur samjhnay waloon kay liay mofeed hain. Yah khat aaj say nahain, barsoon say mustamal chala aata hai. Is mozo par guftagu say pehlay eak baat wazay kar doon kah koee zoban os waqt tak mar nahain sakti jan tak:
1-
Os kay doo bolnay walay mojood rehtay hain ya eak bhi
sochnay wala baqi rehta hai. 2- Eak likhnay aur eak parnay wala mojood rehta hai. 3- Aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq tabadeel nahain ho jatay. In tein batoun kay hawalah say mein yah kehnay ki pozishan main hoon kah Hindustani (Urdu+Hindi) ko kisi qisam ka koee khatra la'haq nahain. Urdu kay khat badalnay say kuch nahain ho ga aur na'hi aisa ho sakay ga. Turki ki baat aur thi, is ka ta'aluq dou khitoon se hai aur wo zidain ki intaha par hain. Zidain par kaenaat khari hai. Zidain ka khatma goya kaenat kay khatam honay kay motraduf hai.
Roman khat main likhi janay wali zoban siraf kitabi zoban ho gi. Kabi bhi bool chal ki zoban na ban sakay gi.
مثا وہ ج ٹ ہے ٹمہ را گھر کڈھر کو ہے۔ Turki ka mojoda rasam-ul-khat bool chal ki zoban say laga nahain rahta. Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota'alq sarmaya zaya ho giya hai laikin Urdu kay sath yah nahain ho sakay ga. Urdu walay oon say mukhtalif zehan kay log hain yah pehlay ko Roman main tabdeel kar lain gay. Pehli baat yah kah Roman khat ko bara'ay bool chal qabool hi nahain kiya ja'ay ga ya kya ja sakta ya is hawala say bai'haad mushkal ka eak arsa tak samna karma paray ga. Urdu 37 bunyadi awazoon par ostawar hai jab'kah aa aur
noon'ghona ko shamar main nahain rakha jata laikin yah aawazain kasrat say istamal main aati hain. In aawazoon kay elava 12 maha paran (bhay, phay thay waghera) tarriban itni hi alamiti awazain (zabar, zair, shad waghera) aur 163 say ziyada morakab awazain istamal main aati hain. Yah surat kisi eak alaqay tak mehdood nahain. Eak aam aadmi Roman khat kay zair-e-asar in aawazoon say kayoon'kar dast'kash ho sakay ga. Za'ay farsi roman main likhnay kay liay kya kary ga.
مژگ ں:ژ Angraizi ko 1754 say omomi aur 1835 say khasusi toor par jabri zoban ka darja hasal hai. Kya yah awami maqboliat hasal kar
saki hai. Jawab yaqinan nafi main ho ga. Imtihanoon main na'kam honay waloon ki sab say ziyada tadad angraizi main hamaisha say chali aati hai. .Fazal Din dokandar ya manay pakoroon walay ko is say kya laina daina. Zindgi kay kisi eak shobay main bhi ei ko koee moqam nahain mil saka. Log apni zoban aur lehjay main baat karkay ziyada farhat mehsous kartay hain. Roman rasam-ul-khat kay raej ho janay say logoon kay aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq badal nahain jaein gay. Lihaza is zimun main koee fikar ki baat nahain issay sansikrat ki tara kitabi zoban say ziyada darja hasal na ho pa'ay ga. Ta'hum Dav Nagri khat aur Hind'santani(Urdu+Hindi) bolnay aur samjhnay waloon kay mabain rabatoon kay hawala
say is rasam-ul-khat ki hosla afzaee bora amal nahain. Is pehlou kay elawa bolnay kay zimun main koee khatar'naka natija baramad na ho sakay ga aur yah main baray wasooq say keh raha hoon aur is par her hawala say guftagu ki pozishan main hoon. Roman rasam-ul-khat ka her hami jab chahay mairay sath is ziman main kisi bhi waqt guftagu kar lay. Sun Aug 31, 2008 6:45 pm _________________
duaa salam 2 all! dr. sahb! first of all i wud like to say that it really feels good
whenever pure urdu is used n i really admire ur "shusta aur sakeel urdu" as for as this topic z concerned, i'd only say that agar aisa ho jae k urdu rasm-ul-khat ko roman mae tabdeel kr dia jae, to urdu k readers ko jitni mushkil ho gi uska andaza ap k post kie hue topics ko parhne mae lagne wali der n mushkil se lagaya ja sakta hae!!! Smile plz dnt take it negatively. i really have this point k roman mae likhi hui urdu parhna bohat mushkil kaam hae.... Mon Sep 01, 2008 12:08 am
_________________
Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani
punjab aap ki khasusi tovajo k liay mumnoon hoon. Allah sahib aap ko kush rakhy. Mon Sep 01, 2008 12:52 pm _________________
ahmet2910 Senior Member Pakistani
YES I AGREE WITH YOU PEOPLE UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND WRITING URDU IS DIFFICULT
BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW ITS NOT A BIG TASK I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS
SUBJECT I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE Mon Sep 01, 2008 3:18 pm
_________________ ahmet2910 Senior Member Pakistani [/quote]Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya zaya ho giya hai UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS OBSERVATION OF YOURS
tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST
OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM Mon Sep 01, 2008 3:22 pm _________________ Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab ahmet2910 wrote: Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya zaya ho giya hai UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS OBSERVATION OF YOURS tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST
OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM ikhtalaf aap ka adbi aur asoli haq hai. wo sab ossay tara say na'ay khat main muntaqil nahain howa aur ya mumkin bhi nahin. aap ko is hawala say mazeed tehqeeq karni chahiay ta'kah mujh say mamoli talib-e-ilm ko bhi faeda ho say. shukarreya janab Mon Sep 01, 2008 7:49 pm _________________ Note: ahmet احمد عربی زب ن ک ل ظ اور آق کری ان پر ان حد درود و سا ک اس گرامی ہے۔ اردو رس الخط والے اسے اسی ت ظ کے س تھ بولتے ہیں۔ اahmet اور احمد فر
خود ہی ج ن لیں۔ رومن دال نہیں ہے۔ لکھ اور بوا ڈال سے ج ئے گ ۔ یہ ں د ک تب دل ٹ ہے۔ رس الخط کی تبدی ی سے کی نقص ن ہوا‘ ق ری خود ہی لگ لے۔
Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
ahmet2910 wrote: YES I AGREE WITH YOU PEOPLE UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND WRITING URDU IS DIFFICULT BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR
FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW ITS NOT A BIG TASK I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS SUBJECT
I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE
janab ki tovajo aur mohabat mairay liay bari maeniviat rakhti hai. mein arz yah karna chahata hoon kitaboon k hawala say aisa ho bhi giya to is ki koee ehmiat nahain ho gi. yah seiaf aur siraf sansikrat ki se zoban ho gi. logoon k aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq jo qudrat ki ata hain oon ko kis tara tabdeel kiya ja sakay ga. Hind'santani (Urdu+Hindi) ki aawazoon ka apna nazam hai aur yah yahaan ke logoon say wasta rakhta hai. donyan ki koee zoban aawazoon k ehawala say Hind'santani
ka moqabla nahain kar sakti aur mein apnay is biyan k hawala say her tara ki guftagu ki pozishan main hoon. aap nay tovajo farmae is k liay aap ka bohat bohat shukarreya. Allah Sahib aap ko kush rakhay. Mon Sep 01, 2008 8:00 pm _________________ I K QAZI Moderator Germany
Humari majboori he ke hume Roman Urdu me iss Forum par likhna parrtha he QK hume nahih mahloom ke kaise Urdu Rasm
Ul Khat me likhte hain warna tho jo maza Urdu ko asli rasm ul khat me parrne likhne ka he, wo roman me kahah.Hume konsi aisi zaroorat parr gayi he ke hum Urdu ka Rasm ul khat tabdeel kareh "Original Is Original".Meri Maadri zabaan Pashto he,me Angrezi schooloh ka parra huwa hoon lehkin chunke mujhe Urdu achi laghti thi iss liye Muthaleha kartha raha aur iss ko aisi zabaan paya ke jiss me khud ko behter thor se, apne khayalaat aur jazbaat ko bayaan (Express) kar sakthe hain.Har aik cheez ke liye dilchaspi ka hona zaroori hotha he,aur jab aap ko kisi cheez se lagao ho ga aap uss ke liye koshish kareh ge seekne ki aur issi tarrah dilchaspi barrthi jaye gi.Siway Turkiyo ke mujhe yaad nahih ke kissi aur Mulk ya Qaom ne Murawaj rasm ul Khat tabdeel kiya ho.Jabke Turki me ye iss liye waqya pazeer huwa ke "Zabardast Ka Jabbar" tha aur ussi ke yaani ATTA TURK ke
complexes aur Arabioh se nafrat thi (Nahi nasal ke liye kohi doosra raasta nahih tha ya uss se unn ko waqfiyat aur raghbat he)no other way left & no alternative.Me samajhtha hoon ke Urdu humare liye bahami raabthe aur apna "mahfi ul zameer" wahzeh thor par bayaan karne ka zariya ban chuka he aur iss ki saari khubsurati bhi iss ke Arabi rasm ul khat ki waja se he.Issi se hum mahnoos bhi hain aur issi me hume lutf bhi aatha he.Yahah Germany me har 20 Km par lahja aur dialect (Boli) change ho jathi he (Aisa humare Pashto zabaan aur hilaqoh me bhi he,siway Adabi Pashto ke) lehkin meri hat al wassa koshish thi aur he ke humesha "Hoch Deutsch"(High German yaani Adabi Germani) me ghuftagu karoo jis se taleem yaafta tabaqe par aik musbat assar hotha he.Issi tarrah hume chahihe ke hum apni Qomi zabaan ko ahmiat de,lagan se iss ko seekhe tab hi iss
ki ahmiyat humare dilloh me barre ghi.Me tho iss cheez ka na sirf qahil hoon balke iss par hamal bi karne ki koshish kartha hoon ke aadmi apni asaliyat se pyar kare balke uss par fakhar kare,usse issi tarah qabool aur maqbool kare jis se ke uss ki infiradiyat aur ahmiyat barqarar rehthi he.Ghalib,Iqbal,Faiz,Faraz Etc ko Roman me parrne mo lutf tho nhih mille ga jo Asal rasm ul khat me he aur jis se apnahiyat ka ahsaas bhi zinda rahtha he.Apni cheezoh,asliyat,Tehzeeb,zaban,Aqdaar waghaira se pyar karreh. Tue Sep 02, 2008 5:22 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani punjab
Shukarreya janab, aap nay is hisas moamlay ki taraf puri mohabat se tovajo farmae. Mein seraf itna araz karma chahata hoon kah her cheez kay apnay taqazay aur apni zarotin hoti hain ohain onhi kay hawaloon say daikhna ziyada zarori faeda'mand hota hai. Oon kay liay koee dosri ainak istamal main laein gay to masla olajhta chala ja ay ga. Mein qatan yah nahain kehna chahata kay roman rasm-ul-khat khatam kar diya ja'ay yah sadyoon say raej chala aata hai. Is ki zarorat hai is liay issay barqarar rehna chahiay. Aaj kay ehhad
kay hawala say is ki teen zaroratain hain: a- Net par word main ziyada tar likha jata hai. b- Dev Nagri waloon say is kay hawala say rabta rehta hai jo intahaee zarori hai. c- Dusri zobanoon walay jo boltay aur samjhtay hai.n Yah oon ki bhi zarorat hai. Mazay ki baat yah kah donoon group (b, c) alfaz ki aawazoon ko asal lehjay hi main bolain gay. Roman main toay aur tay kay liay t mustamal hai. Tara ko toay say hi samjha ja'ay ga. Baat kay liay t ko oski asa; aawaz say hi samjha aur bola ja'ay ga. Japani main char tara kay lisani nazam raej hain (1- hiragana 2katakana 3- romji (romanji) 4- kanji) zoban par kya faraq par raha hai?
Kusch bhi to nahain. Hind'santani (Urdu+Hindi) kay bhi 3 khat 3 hawaloon say mojood rahain gay to kya qiyamat toot paray gi aur kya noqsan ho raha hai jis ka azala na ho sakay ga?!. Yah 3noon hawalay se apna vajood aur jawaz rakhtay hain. Aap daikh lain Pakhto ki pasnch zati aawazain hain: a1- seem 2- khein 3- ziem b4- gay 5- nar Roman main in ki mutradaf aawazain kahan say laein gay. Gher
Pakhtonoon kay/say Rabtay kay liay roman khat ka istamal hota hai to koee haraj nahain laikin pukhtonoon kay apnay aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq hain is liay oon par yah khat kayoon'kar impoz kiya ja sakta hai. Yah mumkin hi nahain kah oon kay liay roman khat koee natija samnay la sakay ga. Note: Haan gher'push hazraat ke liay roman gher mofeed nahain. likhaee ke liay tabadal awazaoon se kaam chalya ja sakta hai. Tue Sep 02, 2008 9:19 pm _________________
I K QAZI
Moderator Germany
Very right, thankfull to you for your work & concideration. Bus Humari zabaan he, hume iss ko issi tarah qabool karna chahiye aur iss ki iss ki apni mojhuda hahiyat me hi iss ki tarweej karni chahiye.Pakhto (Pushto) ke muhtaliq aap ne teek kaha he, ab kal ko loag hum se kahe ke Pashto ka Rasm ul khat bhi tabdeel kar deh tho ye tho na munasib taqaza ho ga.Keep it up well
contributed.Wa Assalam Ramazan Mubbarak. Thu Sep 04, 2008 6:16 pm _________________
Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
janab monasib ya na'monasib ki baat hi nahain, baat aawazoon ki aadaegi ki hai. urdu ki choti aawaz aur toay k liay siraf t hai. angraiz ki to majbori hai laikin urdu bolanay walay ki kya majbori hai. iesi tara pakhto ki 43 aawazoon main say baish'tar aawazain kahan say aaein gi. morakbaat masla hal nahain kar saktay. wo to eak haad tak sath daitay hain. aap ki tovajo k liay mumnoon hoon.
Allah Sahib aap ko kush rakhay. Thu Sep 04, 2008 8:51 pm
_________________ Note: احمد محمد Yah dou isma arbi ke hain aur Aaqa Karim Oonn par un'haad darood o salam ke naam hai roman main دko d se likhna mairi majbori ho gi laikin issay d se bolnay ka sawal hi paida nahain kayoon'kah mein دbool sakta hoon. Bolnay ki salahiat rakhtay howay nahain bolta to yah tohein ke zomray main aa'ay ga.
I K QAZI
Moderator Germany
Dr.Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best. Sat Sep 06, 2008 4:27 pm
_________________ alisarwar
MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW Sat Sep 06, 2008 5:10 pm
_________________ Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
inayat khan qazi wrote:
Dr. Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best. aap nay is say pehlay khoob khoob likha hai. aap ki shirkat say bari madad mili hai. likhtay rahain. shukarreya janab.
Sat Sep 06, 2008 6:12 pm _________________
Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
alisarwar wrote: MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW kindly zara khul kar baat karain, shukarreya.
Read more: http://www.forumpakistan.com/urdu-kay-rasam-ul-khat-ki-tab dili-ka-masla-t14907.html#ixzz4Fh7lYiQ3
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016