Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Riyasat apna nazam-e-hakomat chalanay aur apni afradi qovat ki ista'ad-e-kar main mukhtalif hawaloun aur tariqoun say azafay, skilled karnay, shaour-o-aaghi say behra'mand karnay, moashi, siyasi aur samaji insaf mayassar karnay, oon ki zindagi ko aasan aur asuda bananay aur onhain sehat'mand rakhnay kay liay mukhtalif qisam kay
aeni tariqa say tax nafaz karti hai. Riyasat shakhas ki haisiat waghera ko bhi is zimun main mad-e-nazar rakhti hai aur la'yaeni aur gher'mota'alaq tax aed nahain karti. Ta'kah baichaini parishani aur haisiat ki kamzori waqo main na aa'ay. Jaez aur monasab hasal kiay ga'ay tax say riyasat aeni aur riyasti adaroon ko mazboot karti hai ta'kah wo behtar tariqa say riyast kay logoun ki khidmat anjam day sakain.
Jis riyasat main moamla is kay bar'akas ho jata hai wahan kharabi kay
bai'shumaar rastay khul jatay hain. maslan: a. 1. logoun ka maal jo tax kay zariay say hasal kiya giya hota hai, Houses ki tamer tazein-o-araesh par kharch honay lagta hai. 2. houses ka kichan zarorat say ziyada farakh ho jata hai. 3. houses kay logoun kay paiat bhi qabal-e-mazamat haad tak bhar jatay hain. Is tara Is maqolay ko amli shakl mil jati hai: "kama'ay gi dunyaan khaein gay hum"
b. la'yaeni doroun par bai'daraigh ropay lota'ay jatay hain aur os ka return qoum ko sifar ki surat main milta hai. haan vadairoun kay saiar sapatay zarour ho jatay hain. c. houses ki haisiat logoun kay liay gher'mowassar aur bai'kar ho kar reh jati hai. logoun ko wahaan say kuch hasal nahain ho pata. d. shashas to shakhas, adaray tak khadam nahain makhdoon ho jatay hain aur wo siraf aur siraf in houses kay liay kaam kartay hain. logoun ko wahan say dhakay, dabao, daraway, dhamkiaan aur
jirkiaan milti hain. e. rishvat ki taraf janay walay rastay ziyada ho jatay hain. log jis rastay par bhi chaltay hain os ka ikhtatam rishvat kay darwazay par hota hai. f. bai'tahasha tax ki vasoli kay ba'vajoud puri nahain parti lihaza baroni qaraz main nijaat samjhi jati hai. is tara dosroun kay samnay sharmindgi othana parti hai halakah damun kay motabaq khud riyasat kay andar mojood hota aur rehta hai. g. Molak kay sar'barah qimati libas main
malbous ho kar bheek mangnay jatay hain aur tazheek ka nishana bantay hain. h. jab houses kay log jinhain misali samjha jana chahiay, ghalt ho jatay hain to khud logoon kay ghalt honay main dair nahain lagti. i. fard zaat kay khoul say nahain nikal pata aur her tariqa say apnay faeday kay liay tag-o-doo karta hai chahay is say kisi aur ka ya riyasat ka kitna hi noqsan kayoun na ho raha ho. j. insaaf mazaaq aur bakaou maal ho kar reh jata hai. k. aaghi kay rastoon par kharch honay
wali raqam ko fazoul aur gher paidawari samjha janay lagta hai. aaghi say motala'aq adaray tamatar aur aalu ki haisiat ikhtayar kar laitay hain aur onhain maal'dhur logoun kay hath baich diya jata hai. is tara: 1- in adaroun ka miyaar gir jata hai. 2-
aam admi ki ponch say dour ho
jatay hain. natija-e-kar: a. oon tak aam logoun ki mali hawala say rasaee dam toor daiti. b. bipari aur taleem say gher motalaq bal'kah kitab'dushmun aaghi kay bai'taj
badshah ban jatay hain. c. whaan say milnay wali aaghi, aaghi kay naam par gandgi ki tikka hoti hai. d. qarz farahum karnay wali qovatoun kay talimi adaroon ko miyari aur boland'paya samjha janay lagta hai aur oon kay qadmoun par chalnay ki koshesh ki jati hai halankah wo oon kay kalchar kay motabaq bana'ay gay hotay hain. oon ka nisaab bhi oon kay mazaj aur zarorat kay motabaq tarkeeb-o-tasheel kiya giya hota hai. e. auroun kay dabao main aa kar riyasti
zaroratoun asoloun aur nazriyati chizoon ko hazaf kar diya jata hai. f. qaraz'dahinda qovat ki zoban ko bala'tar samjha jata hai aur ossi main, ossi kay zair-e-assar aur ossi qoum kay mafadaat kay hawala say taleem di janay lagti hai. k. shakhas her lamha baiyaqini kay tanoor main jalta aur sulgata rehta hai. l. "choor ochakay chudri aur ghundi run pardhan"ban jati hai. m. gher'aeni taxes ki bhar'maar ho jati hai.
n. foj ko apnay mokhalif logoun/fariqoun ya qaraz'dahinda kay mokhalif logoun/fariqoun kay liay istamal kya jata hai. o. zakar ki tawanaee aur kamil sehat'mandi kay liay sarkari khazanay lota'ay jatay hain.
Yah to siraf chand eak batain hain jin ka mein nay opar zikr kya hai. Baishumaar qorbaniaan day kar hasal kiya giya Pakistan in qabahatoun ka shakaar ho giya hai. Log sochnay par majboor ho gay hain kah agar yahhi
surat-e-haal aur chalan rehna tha to issay hasal karnay ki aakhir zarorat kya thi.
Aaj Bharat aur gher muslim molkoun main musalman aabad hain aur apnay apnay zouq, zarorat, hunar aur halaat kay motabaq zindgi kar rahay hain. Apna damun bachanay kay liay manfi asraat kamoun ka kabhi kabhi rola dala jata hai kah ji woh mar gay khap ga'ay halankah aisi koee baat hoti hi nahain aur na hi wahan ki foj apnoun par goliaan barsa rahi hoti hai. pols chitatar maar rahi hoti
hai ya pols moqblay main mokhalfoun ko mara ja raha hota hai.
Hamaray haan maghrab ki tara kay 16 sala BA ka rola dala ja raha hai jab'kah hamara pehlay hi 17 sala BA hota hai. pehli tak aatay aatay 3 saal laga diay jatay hain. es tara abtada mazboot karnay ki koshesh ki jati hai.
Pehli tak aatay aatay jo 3 saal lag jatay hain kya wo instarakshan (instruction) ka amal/hissa nahain hain?!
kya yah yahaan kay taleem'yafta yang shehri say amli zindgi kay 2 saal chein lainay ki danista sazesh nahain?!
Shaed yah sazesh is liay ki ja rahi hai kah 17 saal parh kar taleem'yafta yang shehri nokri mangay ga lihaza ossay mazeed instarakshan kay amal main olja dou.
Jab yahaan adaray mazboot hoon gay kaam karnay kay midan khulay aur wasee hoon gay to phir kisi ko bahar ja
kar goroon kay kotoon ko nehlanay ki bhala kya zarorat ho gi. yah bilkul ghalt aur baibonyad baat hai kah maghrab kay log yahaan kay logoon say bhar'kar hain. hamaray log: 1. maghrab waloon say kahein ziyada zahein-o-fatein hain. mairi is baat ka wazay aur zinda saboot yah kah koee bhi faran made cheez aati hai to os ki eak nahain kaee naqool market main aa jati hain aur baz asal say bhi kar'gozari main behtar aur bhar'kar hoti hain. in naqool kay tiyar karnay walay shakago return nahain hotay baz to sakool bhi nahain gay
hotay onhoon nay edher odher say kuch na'kuch sikha hota hai. 2. sabr aur bardast ki ziyada qovat rakhtay hain. 3. bai'haad mehnati hain. 4. ziyada waqt kaam kar saktay hain aur kartay hain. 5. kaam ko ziyada waqt day saktay hain aur bohat kam moavzay main daitay bhi hain. 6. hamaray haan aksiriat aisay logoon ki hai jo kabhi ba'qaeda instarakshan kay amal say gozray hi nahain hotay laikin
kaam ala parhay likhay logoon say bhar'kar, kar jatay hain. zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay say mil kar to daikhain aur ossay wo kaam soonmp dain jo maghrab kay kisi professor/saens'dan nay kiya hota hai. woh kahein behtar aur kahein paedar kar day ga. mein apni is baat ki sanad kay liay "naam'dav"* aur ayub abbasi"** ko hawala bananay main koee aar nahain samjhta. 7. hamari jawan parhi likhi nasal bari la'jawab aur mehnati hai. wo behtar aur kam'waqt main acha aur pae'dar kaam
karnay ki ehliat rakhti hai. baad'qismati say ossay mowaqay hasal nahain ho patat. khuda kay liay: * is qoom par reham karain aur is kay wasael ayashi aur baad'mashi main na oraein. ** jawanoon say kaam aur amli zindgi kay 2 saal na chinay jaein. *** taleem ko biparioun kay hath na baichain. **** adaroon ko awaam ka khadam banaya ja'ay aur onhain awaam kay liay
kaam karnay par majboor kiya ja'ay. ***** oudhaar ki dokandari band karain. Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka sagay nahain. Waqt kay liay opar say nichay aur nichay say opar lana aur lay jana mushkal ya na'mokin nahain. Pehloun kay hashr say ibrat lain warna Allah ki lathi bai'aawaz hai aur os kay ghar dair hai, andhair nahain. Mein in satoor kay zariay ba'ikhtayar tabqoun ko chitavni daita houn kah oon ka hashr bohat hi bora ho ga yahhi nahain wo kal ko Allah kay hazoor koon'sa monh lay kar jaein gay?!
-----------------------* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi Abdul Haq Sahib ** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof. Raseed Ahmad Sadiqi Sahib _________________ Sat Mar 03, 2012 11:18 pm
I K QAZI Moderator Germany
Dunya Mey Wo Qoamein Taraqi Karthi Hain Jo sab sey pehlay Apni Tarjeehaat Ka Tahaiyun karthi Hain.Jiney Apnay Nizaam aur Sood O Ziyaan Ka Ahsaas Ho.Hum ney Tou Ba hesiat e Qaom Abhi Tak Teh hi Nahih Kiya K Koansa Tarz e Hakoomat Ya Nizaam Humari Zameeni Haqaiq Ki Sahih Tarjumani Kar K Unn Ka Hamali Hal Humey Fraham Kartha hai.Waisey Nizaam ya Tarz e hakoomat Ba Zaat e Khud Koi Bhi Acha Burra Nahih hota.Balkay Iss Ko Chalanay Waley Ki Khaloos e Niat,Salahiyat aur Uss Ka
Kirdaar Iss Mey Numaya Kaam sar Anjaam Dehta HaiHum Loag Maghrabi Jamooriaya Ki Bhondi,Be Ja Taqleed Balkay Iss Ka Raag Tou Allaptay Rehtay Hain Lehkin Hum Ney Kabhi Bhi Iss Ka Na Tou Beejh Boaja Hai.Nahi Humney Iss K Liye Zameen Humwaar Ki Hai Aur Nahi Humaray Paas Iss Maghrabi Jamooriat K Kamyaabi K Lawaazmaat Mojood Hain.Har Aik Hawa Mey Muhalik Jamooriat Ka Tazkara kartha hai.Uss Ki Khoobiyan Bayan Kartha Hai.Lehkin Iss K Liye Jin Aqdaar ko apnaney Ki Zaroorat Hoti hai.Wo iss sey Mubaraa Hota Hai.Tou Aisey Mey Ye Muhaliq Nizaam Kaisey
Phalay/Phoolay Ga.Kis Tarah Hum Iss K Meetay Samaraat sey Hum Mustafeed Ya Lutaf andoz ho Sakengain.Jab 64 saal Guzarnay K baad Bhi Hum Mey Wo Shahoor Ujagar Nahih Huwa Jo k humey Iss Qabil Bana saka Ho K Hum Achay Burray,Kalay Aur Safaid Mey Farq Kar saken.Sahih Numaindon Ka Intikhab Kar saken.Aur Jin Loagon Ko Hum Muntakhib Kar Lehtay Hain Tou Unn sey Kis Tarah Jawab Talab kar saken.ya wo Kis tarah Humey Jawab talab Hon.Ajj Tak Hum Loag Janwaron K Raiwarr Ki Tarah Har Murli/Baasari Bajanay Waley K Peechay Andhi Taqleed Mey Chal Parrthay
Hain.Aik Aur Wazeha Farq Jo Maghrib Aur Hum Mey Wazeha Hai K Wo Loag Dil O Jaan Sey Apni Siasat Mey Bila wasta Ya Phir Bil Wasta Shareeq Hotay Hain.Wo Apney Numaindon Ka Intikhab Qaomi Mufaad Mey Kartay Hain.Jin K Samaraat Phir Un Tak Bhi Poanchtay Hain.Jab K Hum Loag Pehlay Tou Apni Pait Ki Soachtay Hain.Apney Zaati Mufadaat Ka Aur Phir Zaat/Biradari,Siasi Wabastagion,Be Ja shaksiayat Parasti,Zaati Pasand/Na Pasand Waghaira Ki Buniyaad Par Siasi Jamahaton Ya Numaindo ko Muntakhib Kartay Hain.Intikhab K Baad Is Raij
Farsooda Nizaam Mey Na Tou Humara Hisa hota Hai Nahi Dilchaspi Barqaraar Rehti Hai.Jab Tak Hum Shaoori Taor Sey Baidaar Nahih Hongain.Apni Tarjeehaat Ka Taahaiyun Nahih Karengain Tou Humari iss dagargoon Halat Mey Koi Numaya Tabdeeli aanay Ka Koi Imkaan Nahih.Tha aankay Hum Loag Aik muntashir Rewarron Ki Bajay Aik Zinda qaom Honay Ka Saboot Hamli Taor sey Fraham Karen.Yani Humey Apni Zaati Mufadaat,Zaat/Biradari,Shaksiyat parasti,Andhi Taqleed,Siasi wabastagion waghaira K Khoalon(Shells) Sey Nikar Kar Qaom Ki Ijtemai Mufaad mey Faislay aur
Iqdaam nahih Karengain.Ye ab Humaray Soachnay ki aur Samajhnay Ki Baat Bhi Hai Aur humaray Liye Lamha e Firiya Bhi. _________________ Mon Mar 05, 2012 5:08 pm
Dr Maqsood Hasni punjab
aap ne tovajo farmaee es ke liay ehsan'mand houn. aap ne darust farmaya hai.
_________________ Thu Mar 08, 2012 2:36 pm
I K QAZI Moderator Germany
Bhai!! Hum Loag Khud Apnay Dushman Hain.Is Liye K Hum Ney Islam ki Sahih Rooh aur Taleemat Sey Roogardaani K Murtakib Huway Hain.Isi Liye Humey Apnay Kiye Ki Saza Mil Rahi Hai.Hum Par Na Ehl,Bad Unwaan aur Ghair Mulki
Agent Ba Taor Hukmaraan Musalat Kar Diye Gaye Hain.Humar Mulk Aur Mohashra Andar sey Khoakla Ho Kar Toot Poot Ka Shikaar hai.Jis Ki Waja Sey Bahir Ki Dushman Qouwaton ko Dakhal Andaazi Ka Mohqa Milta Hai.
Kis Da Dosh si Kis Da Nahi Si Aey Galaan Hun Karan Diyan Nahi
Veley Lang Gaey Tauba Waley Jo Hoya ey Hona ee Si
Te Honi Rokyan Rukdi Nahi Gal Fir Eiven Mukdi Nahi
Kuj Unj Vi Rahvaan Okhiyan San Kuj Gal Vich Gham Da Tauk Vi Si
Kuj Sheher De Lok Vi Zaalim San Kuj Saanu Maran Da Shok Vi Si _________________ Thu Mar 08, 2012 8:45 pm
Dr Maqsood Hasni
punjab
aap darust farmatay hain baat issi tara se hai _________________ Read more: http://www.forumpakistan.com/pakistan-dushmun-apna y-ya-gher-hain-t85953.html#ixzz4FhUID56C
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016