Aaqa Karim Ki Aamad Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana Nov. 2016
Aaqa Karim Ki Aamad
Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya kisi waqti zarorat ka natija thi?
Nahain, Bilkul nahain. Aap ki tashreef aavri bohat pehlay say teh thi aur es amar say motalaq qadeem ambbiya karam kay haan paish’goeaan mojood hain. Ba’toor hawala chand eak ka tazkira kiay deta hoon: Jama’sap Hazrat Zartusht kay Khalifa-e-Azam thay. Onhoon nay qaiamat tak kay paish aanay walay hadsoon ki paish’goeaan kein. Oon main Hazoor (Oon par Dhairoon Darood ho) ka bhi zikar baray wazay alfaaz main mojood hai, malahza farmaein: "Aaftaab ka kitabi hath ba’janab zohra aur zohra ka gohar wala hath aatarad ki taraf aur aatarad ka rukh janab-e-zohal mah-o-mushtari yak’ja. Jab aisa ho to samjh lo kah sab kaam thek ho gay. Zamana (moashra, halaat) darust ho ja’ay ga. Badshah adal karay ga.(1)
pher eak qeran* paray ga jis main Olad-e-Hasham say eak mard-e-bazurg paida ho ga jo qad main maiana hai rang main gora na kala (saanvla/gandmi), khoob’surat, khush kalaam, sehar biyan dawa-e-nabovat karay ga. Talwaar os ki burhan ho gi. Apnay mazhab ki zanjir bohat say logoon kay galoon main dalay ga. Os ka mazhab sathoon walaet main ja’ay ga. -------os ki Olad-e-narena na rahay gi albata larki say naam chalay ga. Os ka deen den ba’den taraqi karay ga." (2) Doo teen hawalay Bible say dararj karta hoon: 1- "Kiya tum nay Kitab-e-Moqadas main kabhi nahain parha kah jis pathar ko mimaroon nay rad kiya** wohi konay kay seray ka pathar ho giya(3) yah Khuda'wand ki taraf say howa
aur hamari nazar main ajeeb hai? Es liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi tum say lay li ja’ay gi aur os qoom ko jo os kay phal la’ay gi, day de ja’ay gi" (4) 2- "Pher mein nay aasman ko khola howa dekha aur kiya dekhta hoon kah eak safaid ghora hai aur os par eak sawar hai (5) jo sach aur ba’haq kehlat hai aur woh rasti kay sath ensaaf aur larae karta hai. Os ki aankhain aag kay sholay hain aur os kay sar par bohat say taj hain (6) aur os ka naam likha howea hai."(7) 3- "Mein nay yah batain tumharay sath reh kar tum say kein. Likin madad’gar yaeni Rooh-ul-Qodas jisay baap mairay Naam say bhijhay ga*** wohhi tumhain sab batain sikhay ga
aur jo kuch mein nay tum say kaha hai wo sab tumhain yaad dala’ay ga.(8) "The Gospel of Barnabas" kay bhi doo teen hawalay daikh lain: 1- " As for me, I am now come to the world to prepare the way for the messanger of God, who shall bring salvation to the world." (9) 2- " I tell you that thither shall come {even}the messanger of God, to behold the justice of God. There upon hell shall tremble at his presence." (10) 3- "He is Mohammad, messanger of God, and when he comth into the world, Even as the rain maketh the earth to bear fruit when for along time it hath not rained, even so shall he be occasion of good works among men, though the abundant mercy which
he shall bring. For he is a white cloud full of the mercy of God, which marcy God shall sprinkle upon the faithful like rain." (11) Sawal paida hota hai kah aap Arab main aur kisi makhsus ehad main hi kaioon tashreef la’ay? "Khabeer" aur "Baseer", Allah kay doo sefati naam hain. Allah say ziyada koon jany ga: 1. kab kiya hona hai 2. Kab kiya karna hai ya 3. kab kiya hona chahiay En omoor ki Allah kay say basarat aur baserat kisay ho gi. Zara Bible Moqadas kay es jumlay par ghoor karain: "Es liay mein tum say kehta hoon kah Khoda ki badshahi tum say lay li ja’ay gi aur os qoom ko jo os kah phal la’ay ga, dai de ja’ay gi." Allah sar’kashi pasand nahain karta. Tawazan ki kharabi os kay
takhleeq kiay howay kaenati nazam ko darham barham karti hai. Es liay her seh omoor ki zaroorat kay tehat Aap ka tashreef lana lazam qarar pata hai. Qiamat barpa karnay kay liay koe daleel aur hujat bhi to hona chahiay thi ta’kah insan kay paas shakaet ki gonjaesh hi na rahay. Soo gaz rassa seray pay ghanth, Aap to hamesha say aur hamesha kay liay hain. Zara ghoor karain; Kalma taeba jo Musalmi ki ebtada aur jar hai, yoon hai: La : Nahain Ela : Mabood(12) Ella : Seva Allah : Allah (13) Allah kay siwa koe (bhi) Mabood nahaim
Mohammad : Hamad kiya giya, jiss ki hamd ki gae ho (14) Rasool : tarseel karnay wala Allah : Allah Mohammad Allah kay rasool Allah aur Mohammad (Oon par Daroodho) ) kay liay koe tha, hai ya ga ka segha mojood hi nahain. Goya oon (Donoon) ka hamaisha say hona sabat hai. Woh kab nahain thay aur kab nahain hoon gay?! Woh to "assr" (zamana) hain. Hum "assr" ko kiya janain. Hum to essay denoon, mahenoon, saloon aur sadioon wala waqt samjhtay hain jab’kah "assr" en say bala aur alag cheez hai. (15) Tasleem ki baat dusri hai. Assr ko tasleem na karnay say os par kiya faraq paray ga?!
Kuch bhi to nahain, haan tasleem karnay ya na karnay walay par zaroor assar moratab ho ga. Hum asar (Allah) kay liay hain. Kitaab parho gay to aaghi milay gi nahain parho gay to kitaab ka kiya bigray ga. Jotay jahar kar pehno gay to noqsan say bach jao gay warna jotoon ki sehhat par kiya assar paray ga. Chori nahaion karo gay to pols kay jotay nahain khao gay, bai’izzati nahain ho gi, ghar walay dar ba’dar nahahin hoon gay, moashray ka tawazan kharab nahain ho ga. Zana na karnay say: 1- la’shaoor ko noqsan nahain ho ga 2- Damagh khoof aur dar say kamzoor honay say bachay ga
3- Viraj zaya nahain ho ga jis kay sabab jisam mutwazan rahay ga 4- Gher kay ghar tumhara bacha na honay ki surat main "mama" kehlanay say mehfooz raho gay Ab yah sab kartay ho to asar ko kiya faeda ho ga, nahain kartay ho to os ka ossay kiya noqsan ho ga, kuch bhi nahain. Wo to waisa hi rahay ga jaisa kah wo hai. Tasleem to yah hai: 1- Zoban say eqrar karo 2- Dil say mano kah jo eqrar kar rahay ho wo ossi tara say hai aur bar’haq hai 3- Amal her doo amoor kay motabaq ho Asar ko, waqt yah phir khita-e-arz say makhsus nahain kiya ja sakta kaioon’kah es ka ta’alaq hameshgi say hai. Kalaam malahza farma lain es ka mokhtab Insan hai na’kah koe makhsus Qoom ya khita-e-arz kay
log. Goya asar**** kay jitna qareeb jao gay otna hi nikhro gay, phalo gay, pholo gay, taraqi karo gay. asar***** ki mohabat jab eshq ka roop ekhtayar karti hai to Iqbal ka yah kaha samjh main aa jata hai:
Ki Mohammad say wafa to nay to Hum(16) teray hain Yah jahan cheez hai kiya, loh-o-qalam teray hain ........................... Hawashi 1- Nosherwaan aadal badshah1ka ehad 2- Jama’sap Nama, p.15 asal kitab yand main hai Issay eak fazal irani nay, naam daraj nahain, farsi main tarjama kiya jabkah Urdu tarjama Mohammad-ul-Wahdi nay kiya aur yah kita daftar nazam-ul-mashaekh dehli nay
motalia-e-aam-o-khas kay liay 1912 main pesh ki. 3- Aakhri Nabi 4- Anjeel Mati baab No. 21 v. no. 43, 44, yah baat Anjeel Murqas kay baab No. 12 v. No. 10,11 main bhi daraj hai. Kitab-e-Moqadas, Bible Society Anarkali Lahore, 1972 5- Maraj shareef 6- Aap ki Shareat kisi eak qoom, khita-e-arz ya kisi eak ehad tak mahdood nahain. Aap ka peghaam her ba’shaoor makhlooq kay liay hai aur os ki aata’at oon sab par wajab hai. 7- Makashfa baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-e-Moqadas, Bible Society Anarkali Lahore, 1972 8- Yohanna, baab No. 14 v. 25, 26, 27 Kitab-e-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972
9- The Gospel of Barnabas chp.72 p.91 Oxford at clearendon press 1907 10- The Gospel of Barnabas chp.136 p.175 Oxford at clearendon press 1907 11- The Gospel of Barnabas chp.163 p.212 Oxford at clearendon press 1907 12- Jis ki ebadat ki ja’ay 13- Esm-e-zaat 14- Already hamd wala, yaeni aaj hi nahain 15- Es ko ashab-e-Kaf, Hazrat Ozer (pbh)aur Hazoor ki meraj kay tanazar main dekhain gay to moamla wazay ho ja’ay ga 16- Allah * 20 saal
** Hazrat hajra aur Hazrat Ismaeel (pbuh) *** Aap nay jumla ambia Karam ki tasdeeq ki aur oon ki talemaat ko bar’haq kaha. Meem Mase aur Mahammad donoon kay sath hai. M+ASE, Mo+Hammad. Sura Fateya main Hamd kay sath al ka sabqa hai jo ossay makhsus banata hai essi tara hamd kay sath meem ki jurt ossay mukhus suft kay darjay par faez karti hai. **** Allah aur Mohammad *****jo sab kay liay aur sab oon kay liay hain
From:
saeedrafi
To: Dr Maqsood Hasni Posted:
Wed Aug 13, 2008 11:43 pm
Subject: Aaqa Karim ki Aamad
Dear Dr. Maqsood Hasni, Thanks for posting Such a nice views about the Sarkar e do Aalam (Peace be upon him). I am thankful to you that your posting solve some of my questions. Saeed Rafi Islamabad http://www.forumpakistan.com/privmsg,folder,inbox,mode,read,p,301 48.html _________________