Urdu

Page 1


Urdu Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khna Aguest 2016


Farist Urdu hai jis ka naam Awazoon ki tarkeeb o tashkeel ke awamal Mofrad aur murakab awazain Urdu ki char awazain

Urdu hai jis ka naam

Tehqeeq karoun ki tehqiqi kawashoun ko nazar andaz karma, onhain yaksar mostarad kar daina ya phir oon ki tehseion na karma na insafi aur zulm kay motradaf hai. Woh apni in lisanyati harkatoon kay hawalah say aanay waloun ko tehqeeq


aur khouj kay midan dasyaab kartay aa'ay hain. Makhi pe makhi marnay waloon ki baat is se qataee alag'tar hai. Her aata kal pechloun kay hawala say agla qadam rakhta aaya hai. Insan ibtada hi say insan aur kaenaat kay sar basta razoun ko khojnay aur talashnay main masrouf raha hai. Gozray kal kay logoun nay porani tehziboun ko her hawala aur her zivia-e-nazar say daikha parkha aur khoja hai. Tamam tar koshashoun kay bavajoud insan talasha ja saka hai aur na'hi kaenaat kay sar'basta raz khul pa'ay hain. Woh khud apnay hathoun gozray kal main banaee gaee ashya aur oon kay tasarfaat ko talash nahain kar paya. Yah bhi hota aaya hai aur ho raha hai kah gozray kal kay tehqi kaam ko bar bar lafzoun ki hair phair kay sath paish karkay


tehqeeq karoun ki saf main naam indraj karwanay ki saee ki gaee hai. Is say waqti wah wah ya phir ala digri to hasil kar li gaee laikin tehqi amal ko koee khatir kha faeda nahain ho saka. Hamaray haan khasusan taleem ko taraqi dainay kay hawala say hamaisha rola dala gaya hai laikin amli tour par khuch nahain kiya gaya . Univarastioun main ziyada'tar jaili kaam howa hai Os jaili kaam aur naqal dar naqal ki hosla afzaee main jaili logoun ko ala darjoun ki asnaad mil gaee hain jin kay bal botay par yah jaili log onchi korsioun par barjaman to ho gay laikin onhoun nay apni nalaeqi kay sabab asuli tehqeeq kay darwazay farakh nahain, band kiay hain. yahhi nahain her kaam karnay walay ko dodkara hai. In nalaeqoun nay naam kay PhD aur MphiL log paida kiay hain aur nalaqi ka yah silsala aglay waqtoun kay liay bhi jari-o-sari kar diya hai.


Apnay tour par kaam karnay waloun ki kabi aur kisi hawala say hosla haza ya wasael faraham karnay ki koshesh hi nahain ki gaee. Mein apnay moaqaf ko eak missal say wazay karnay ki koshesh karta houn. Mein nay koee dhae sou kay qareeb Urdu zoban kay motalaq mazamein aur tehqiqi maqaloun ko daikha aur parka hai. In sab main eak baat hi dohraee gaee hai kah urdu Hind Aaryaee zoban hai. Agar koee is ki ibtada say motalaq pichay gaya hai to balbun kay ehad say pichay nahain ja saka warna sab ki Shajahan Wali Dakni par taan toti hai. Is hawala say daikha ja'ay to lafz Urdu kahein dhondnay say nahain mil pata gaya Lafz Urdu Balbun kay ehad ki paidawar nahain hai aur nahi aariya Balban kay ehad main Hindustan main aa'ay thay. Oon ka aana to bohat pehlay say ta'alaq rakhta hai. Dosri baat yah


kah arya koee 3200 say 3500 saal pehlay Hindustan main warid howay. Kiya os say pehlay yahaan kay log gongay thay aur isharoun main baat kiya kartay thay.Woh kisi na'kisi zoban main to baat aur lain dain kiya kartay houn gay. Aakhir woh koun si zoban thi? Yah sawal bari ehmiat rakhta hai aur is ka jawab khojna bara zarori hai. Aaj tak kisi nay is ghothi ko suljhanay ki zahmat gowara hi nahain ki. Issi tara lafz hind ki jar tak abhi tak koee nahain poncha. Mein nay is lafz ko jannay ki koshesh ki aur is natija par poncha kah yah lafz Sami hai aur arboun ya Farioun kay sath Hindustan main warid howa. Ab thora mazeed aagay barha houn to maloum howa hai kah yah lafz Sami nahain hami hai aur yah


lafz kahein bahir say nahain aaya balkah yahan say bahir mokhtalif mafaheem kay sath baramad howa hai. Mein nay Lagfz Hind ki kahani kay onwan say kuch marozaat Net par paish ki thein kisi nay baat aagay barhanay ki koshesh hi nahain ki. Satan ko main farsi lahqa samja raha tha laikin yah lahqa farsi nahain hai balkah lafz santan ya asthan ka alag se istamal howa hai. Ism ke lahqoon se lafz bantay aa'ay hain. Hazrarat Abdal Ghofaar almarouf Nouh (AS) kay potay yaeni Hazrat Haam kay baitay ka naam Hind tha. Yah lafz Hind Ki santan ya asthan say Hindustan mostamil ho giya. Lafz Hind kay hawala say Hindu, Hindi, Hindavi, Hindustan, Hindustani waghera mostamil hotay gay. Ta hum zoban ka aaghaz Hazrat Hind say nahain howa. Hazrat Hind say pehlay bhi log yahann mojoud thay aur yah silsala Hazrat Adam sufi ullah (AS) say bhi


bohat pehlay tak jata hai. Waqt gozarnay kay sath is zoban ko kaee naam miltay aa'ay hain aur yah zobanoun main koee naee baat nahain. Donyan ki dosri zobanoun kay sath bhi yahhi chalta aaya hai. Onhain bhi mokhatalif oqaat main mokhtalif naam rang-o-roup aur askaal milti rahi hain. Urdu ka naam ho sakta hai Turki ya Angraizi say aaya ho laikin yah koee hatmi aur sika band baat nahain, yah moamla abhi tehqeeq talb hai. Yah ghalt fehmi jo yaqein main badal gaee hai kah Urdu Mosalmanoun ki zoban hai. Is harba say yahan kay logoun ko taqseem karkay oon ki ithadi qowat ka satyanas maar kar rakh diya giya. Taqseem kay hawala say yahhi surat Punjabi kay sath paish aaee. Gormokhi ko gher moslim jab'kah Punjabi/Shamokhi


ko moslim zoban ka naam day diya giya halankah yah donoun naam hi ghalt aur bai'bonyad hain. Gormokhi ko daikhain yah Goru kay monh say nikli batoun tak hi mehdoud nahain. Galioun main boli janay wali zoban kay hawala say donyan ki koee zoban is kay moqabil nahain aa sakti. Kiya Goru Hazraat kay monh say galiyaan nikala karti thein ya phir ya galiyan onhoun nay zoban ko di hain?! Bilkul nahain woh to bhalay aur baray log thay aur oon ki her baat Danish ka ala namona hai. Punjabi ko panj aab kay hawala say daikha ja ay to yah dou lafzoun ka majmoa hai yahhi nahain yah dounoun lafz badaisi hain. Issi tara Punjabi farsi ka majmoa nahain aur nahi is ka sara zakhira-e-alfaz Shah (faqeer davaish waghera ya Badshah)


ka kalaam ya kaha howa hai. Yah khita lakhoun saal say aabad chala aata hai aur is khitay ka hamaisha say apna zati hawala mojoud raha hai. Asl haqiqat yah hai kah zoban ossi ki hai jo ossay istamal main lata hai. Zoban shakhas say nathi hai jo jis qamash ka admi hota hai, zoban ka istamal bhi ossi tour say samnay aata hai. Hamaray haan lakhoun log angraizi boltay hain kiya woh sab angraiz ho gay?! Bilkul nahain. Issi tara maghrab ya donyan ki aur walaetoun main bai'shumar log jo bar-e-sagher say motalaq nahein hain laikin woh Urdu/Hindi istamal main latay hain. Is tara woh bar-e-sagher kay bashinday to nahain kehla saktay. Zoban kay istamal main lanay ka dhang tour tariqa, lehja, andaz, mazaj, mahoul, nazriyaat, asoul-e-moash-o-moashrat


waghera alag say ho saktay hain. Oon kay lisani asoul bhi alag say ho saktaty. Movanas mazakar ya phir wahid jama banay kay atwaar bhi mokhtalif ho saktay hain. Kiya in sab batoun ko daikh kar Urdu zoban ko alag alag khanoun main bant diya ja'ay ga. Nahai, bilkul nahain. Is zoban main mokhtalif mazahib ki kotab mojoud hain. Mukhtalif mazahib ki kitaboon ke tarajam howay hain. Kiya oon kitaboun ko daikh kar issy Esae urdu, Sikh urdu, Hindu urdu ishtatraqi urdu, sarmaya'dar urdu, jamhori urdu Wahabi urdu, Soni urdu shiya urdu waghaera khaha ja'ay ga? Yah hi surat amarja se ta'aluq rakhti hai. Sagodha, multan lahore waghera ki tehriri o taqriri urdu eak si nahain. yah farq ashkhas tak chala jata hai.


Is kay istamal main lanay walay mokhtalif rangoun nasloun alaqoun say motalaq mojoud hain kiya is hawala say is ki taqseem ki ja sakti hai? Urdu/Hindi main mokhtalif zobanoun kay alfaz mojoud hain taqseem ka jawaz to yahaan bhi nikalta hai. Agar kaha ja'ay Angraizi urdu, Japani Urdu, Arbi urdu, Farsi urdu, Chini urdu waghera kiya yah ajeeb nahain lagta. Reh gaee rasam-ul-khat ki baat to yah aaj tein tara kay mostamil hain. In khatout kay hawala say naam bhi tein tara kay hain yaeni Dev nagri, Nasleeq, Roman. Yah tinoun likhnay kay hawala say tein izhaar kay tour hain warna parhnay, bolnay, samjhnay kay hawala say koee ikhtalaf mojoud nahain. is baat ko youn kaha ja sakta hai:


1-

Yah zoban yaeni Hind'santani- Hind'asthani (hindi, urdu,

roman) Hazrat Adam safi ullah (AS) say bhi bohat pehlay yahan kay logoun kay rabtay ka zariya thi haan albatta Kaee naam aur rasam-ul-khat mayassar aatay rahay hain aur her dour kay motabiq is ka andaz aur rowaeya raha hai. 2- Hindi, Hindu, Hindustani, Hindavi waghera Hazrat Hind bin Haam bin Nouh kay hawala say kaha jata raha hai. 3- Zoban ka apna koee mazhab, nazriya, alaqa, rang, nasl waghera nahain hotay. Yah ossi ki hai jo issay istamal main lata hai. 4- Zoban apnay istamal karnay wloun kay rang, nasl, alaqa, nazriya, mazhab waghera kay zair-e-asr zinda rehti aur parwan charti hai ta hum issy on hi logoun tak mehdoud kar daina kisi


bhi hawala say darust aur monasab baat nahain. Daraj-e-bala morozaat ka siraf matlab yah hai kah hamari jamiaat main sabqa batoun ko lafzoun kay hair phair say dohraya ja raha hai ya phir eak hi zaviya-e-nazar say daikha jata hai aur yah rovaeya kisi tara darust nahain. Jamiaat kay Professor sahiban ko chahiay kah woh tehqeeq ko laqeer ka faqeer na banaein bal'kah aaj aur gozray kal kay kaam ko mahdoud zaviya-e-nazar say malahza na karain. Issi tara teqeeq kay kaam ko rang nasl alaqa mazhab nazriya waghera kay tarazu par na rakhain bal'kah bara jigra karkay baat ya moamlay ko 6 atraf say malahza karain aur apnay shagirdoun ko bhi 6 atraf say daikhnay ka mashwara dain. Agar aisa na kia giya to oon ka kaam aatay waqtoun main bai'maeni ho kar reh ja ay ga bal'kah guzarta aaj bhi ossay mustard kar day ga. Is qism


kay kaam ko khidmat ka naam daina tehqeeq kay naam kay sath ziyadti ho gi. Thu Jan 06, 2011 10:55 pm __________________________________

Awazoon ki tarkeeb o tashkeel ke awamal

Kaenat ki takhleeq kay sath hi aawazoon ki takhleeq ka kaam mokamal ho giya. Her shay main takhleq'kaar nay os ki zarorat istadad aur hajit kay mowafaq aawazoon ka eak marboot aur monazam nazam rakh diya. Aawaz ki takhleeq kay baad lafz nay


janum liya. Lafz mukhous halaat aur zarorat kay tehat kisi zoban/boli kay lisani diciplan motwazan tarteeb-o-tanzeem kay qudrati aur fitri johar jo oon se mukhsous hota hai, kay ikhtalat-o-imtazaj ka naam hai. Yah ossi tara se hota hai jis tara monh se nikalta aur kanoon ko sonaee daita hai. Dahan se akhraj hi kay baad mukhtalif mafaheem kay sath ravaj pa jata hai. Yah bhi kah dehan se akhraj kay baad aawazoon kay is monazam aamaizay (lafz) kay talafzaat/talafaz teh patay hain. Kayoon'kah talafzaat/talafaz kay teh panay main ashkas kay aalaat-e-notaq aur moawan aalaat-e-notaq ka amal dakhal hota hai. Lafz dar'haqiqat os alaqah ya khitah kay qudrati mahool-o-halaat, mosam aur ashkas kay tehzibi, samaji, siyasi, imrani, moashi, jamalyati wagherah kay mazaj ravaeoon aur


andaz-o-atwar ki namaendgi kar raha hota hai. Is ka vajood (haiat) aur istamalaat ashkas kay niji-o-ijtamae zooq-e-fikar-o-nazar kay sath sath nafasyati kaifiyaat ko aiaan kar raha hota hai. Likhtay samay wo shakas/ashkas ya qoom kin halaat aur zehni-o-fikri kaifiyaat se guzar rahi hai. Lafz yah bhi wazay kar raha hota hai kah yah tarkeeb-o-tashkeel aur tarteeb patay waqt kin kin ravaeoon mazaji haltoon hajtoon zarortoon rujhanoon aur nafasyati kaifitoon ka bar-e-giraan apni zaat main samoay howay hai. Lafz is amar ki bhi nishandahi kar raha hota hai kah os alaqah kay logoon ka rehan-sehan kaisa hai aur oon kay jamalyati andaz-o-atwar kis tara aur kis andaz kay hain. Ashya ki tanzeem-o-tarteeb aur tazein kaisi hai. Lafz ka ta'aluq bolnay likhnay sonnay aur samjhnay se hai. Her chahaar ommoor alag alag suratoon aur haltoon se wabastah


hain. Boud-o-tafawat ko kisi sata par nazar andaz karna mumkin hi nahain hota. in charoon kay hawalah se mafaheem bhi omomun aur khasusan alag alag sefaat kay hamil ho saktay hain. Zabanoon/bolioon main aawazoon ki kami baishi ka ta'aluq na'siraf os alaqah kay ashkas kay aalaat-e-notaq aur moawan alaat e notaq se hota hai balkah os alaqah kay qudrati mahool aur mosamoon se bhi hota hai. (Qudrati aafaat balkh bazaat-e-khud shkas bhi kharai ka sabab bun sakta hai) jin kay zair-e-asar aalaat-e-notaq tashkeel patay hain. Tamam zobanoon ya bolioon ki ibtadaee aawazain ginti main eak jitni nahain hotein aur na hi aisa hona mumkin hota hai. Baqaedah (Mufrad) aawazoon kay sath sath aur tara ki aawazain raza'karana tour par apnay hissah ka kidar ada kar rahi hoti hain. inhain


baqaedah aawazoon ka darjah hasal nahain hota aur na hi madrasay may in ki taleem di jati hai. Udu ki baqaedah 36 aawazain hain laikin tein tara ki aawazain 1. marakab 2. alamti 3. bhari boltay aur likhtay waqt kaam kar rahi hoti hai. Yah ginti main shamar nahain hain laikin izhaar main in ka bara aham aur zarori role hota hai. Arbi tein tara 1. Bonyadi 2. Marakab 3. Alamti, aawazoon ki hamil zoban hai. in donoon kay bar'akas


Angraizi dou tara 1. Ba qaedah 2. Morakab aawazain rakhti hai. Her zoban ko apnay zakhirah kay tehat hi izhar kay moamlaat ko teh karna hota hai. Zarori nahain mohajar alfaz kay liay hi in moavan/raza'kar aawazoon ki zarorat mehsous hoti hai bal'kah issi walaet main hi in ki zarorat dar'paish rehti hai. Goya yah bunyadi aawazoon ki kamyoon ko pura karnay main musbat kirdar ada karti hain.

Aawazoon kay ba'az ikhtalafi moamlaat koee hairat ki baat nahain hain bal'kah yah to zoban ki taraqi main oxsigan ka darjah rakhtay hain. Alaqaee mahool-o-halaat aur mosamoon


kay zair-e-asar aawazoon ki kami baishi ka maslah paish aata rehta hai. Issi tara bohat sari aawazoon main fitri ishtaraak bhi mojood rehta hai jo shakas kay nafasyati aur fikri ishtaraak ka baiyan sabot hai. __________________________________

Mofrad aur murakab awazain

Aawazoon kay tashkeel panay aur oon kay izhar-o-akhraj ka ta'aluq shakasi aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq say hota hai jab'kah oon kay tarkibi-o-takhliqi amal main motalaqa khita kay qudrati mahool, halaat aur mosmi suratoon ka amal dakhal hota hai. Yah aawazain hi haroof-e-tahiji ka naam/roop hasal karti hain.


Her aawaz jahan jazbaat-o-ihsasat aur khayalaat ki namaenda hoti hai wahan os khita kay qudrati mahool aur mosmi halaat ki bhi namaendgi karti hai. Motalqa vasaib jab dusri (Qurb-o-jawar aur badaisi) valaetoon say insalaak ka sazawar hota hai to wahaan kay khayalaat (jo os alaqa kay hawala say tarkeeb pa'ay hotay hain) os khita ki zoban kay hawala say mahajrat ikhtayar kartay hain. Mamasal aawazoon kay hamil alfaz ko mahajrat kartay samay kisi qisam ki diqat ya dushwari paish nahain aati jabkah adam mojood aawazoon kay moamla main os alaqa ki boli/ zoban jo os alaqa say makhsous hoti hai, ki motbadil maravja aawazain ya marakab aawazoon say maslay ko hal karnay ki koshesh ki jati hai. Is koshesh main mahajar lafz, Haiti (form) hawala say kuch ka kuch ho jata hai wo apni valaet kay liay bhi ajnabi ban jata hai. Maslan: Vote Urdu main yoon batoor jama istamal ho ga: woh 2 hazar


votoon say jiat giya. Vote Punjabi main yoon batoor jama istamal ho ga: O 2 hazar votaan nal jit giya. Advasain, horain aisay alfaz Angraizi aur Arbi kay liay manous nahain rahay laikin yahaan mostamal hain. Yah sab aam aur omomi halaat kay tehhat vaqo main aata hai laikin jab mahajar zoban batoor hakam os khita main dakhal hoti hai to bhi os ki tamkanat aur nakhwat barqarar nahain reh pati kayoon'kah ossay daisi zoban ki her hal main ongli pakarna hi parti hai. Haan albata tabdilioon ki rafter taiz zaroor ho jati hai. Agli satoor main kuch mofrad aur kuch marakab aawazoon say mota'aluq misalain paish ki gaee hain ta'kah daraj-e-bala morozaat ko samjhnay main kisi haad tak aasani rahay. C

batoor Kaf Daisi

Angraizi


Class Kalas College Kalaj Course koras/kors Courage Karij Cloth Kalath Car


Kar Cross Karas Court kort Cotton katan C batoor Seen City Siti


Circle carkal C batoor Chay (c, h kay sath marakab ho kar chay ki aawaz daiti hai) Arbi Chamber chambar jhambar, sambar, shambar Challenge chailanj jhailanj , shailanj, sailing Chief cheef jheif, sheif, seif Chair chaiar jhair,sair, shair Check check jheck, sheck, saik Chart chart jhart, jhart, sart, shart U ki aawaz alamti aawaz paish kay liay: Put, bull U ki aawaz alamti aawaz zabar kay liay: But, cut, hut, shut, dul S seen ki aawaz kay liay


Possible, simple, sleep, sample, rest, best, host, hospital, school Marakab ho kar zal/zay kay lay: Se

Imposes, cause, increase, decrease Daisi shakal: Impoz, kaz, dekreez, inkareez So

dissolve, resolve Daisi shakal: Dizolv, rezolv

Sheen Angraizi main nahain sh marakab ho kar yah aawaz paida ki jati hai: Should, shoe, sheet, shade, shed, shall, show, shift, shop, shirt, short Daisi alfaz Shoukat, shan, shoal, shaker, sharheel, shagird Gh ghain kay liay Angraizi alfaz


Ghost, ghoul, ghetto, gharry,, ghastly, gherkin Daisi alfaz Ghalib, ghair, gharoob, ghamazi, gharqa, gharoor, ghossa Chay angraizi main batoor mufrad aawaz mojood nahain issay ch say ada kya jata hai: Chester, change, charge, chamber, chair, chief, chair Daisi alfaz Chabi, chithi, chori, chara, chaku, charind waghera Arbi main j, jh, sh, s motbadil aawazain ho sakti hain Khay mofrad ya marakab aaawaz Angraizi main dakhal nahain. Arbioon kay zair-e-asar Arbi kay alfaz Angraizi main dakhal howay hain laikin is kay liay kaf+dou chashami hay say talafaz kiya jata hai. Talmood main khay kay liay ch ka marakab istamal kiya giya hai. Zalikha kay liay zelicha likha giya hai. Chay kay lihaz say lafz zalicha banta hai ho sakta hai qibti qabila main chay ki


aawaz rahi ho aur hamaray haan kh ravaj pa giya ho warna Arbi main chay ki aawaz siray say mojood hi nahain. __________________________________

Urdu ki char aawazain

Alif mada Aa Pakistan ki kisi zoban main batoor haraf-e-tahiji shamil nahain laikin is ka istamal batoor haraf hota hai. Bachoon ko Aa alif mada aam School main parhaya bhi jata hai. Is say alfaz ka aaghaz bhi hota hai. Kuch lught main issay haraf shamar bhi kiya giya hai. mad Arbi say Urdu main daramad howa hai laikin Arbi main haraf kay toor par istamal nahain hota. Moamla darasal yah hai


kah her haraf ki zati eak aawaz hoti hai laikin Aa dou aawazain hain (Alif + alif, Alif + zabar, hamza + zabar). Roman lipi main issay Aa say ada kiya jata hai. Aein Arabic say Pakistani zobanoon main warid hoe hai. Is kay istamal ki ziyada'tar tein suratain milti hain; 1- Aein + alif Aa (Aein ki zabar shumar karnay say tein aawazain banti hain. 2- Aein + zabar Aa zabar kay sath bhi taqriban Aa ki hi aawaz paida hoti hai. 3- Darmiyan main aa kar apni shanakht zahar karti hai. Roman Lipi main a say wazay kartay hain. Hamza Arbi aawaz hai. Pakistani zobanoon main is ka mukhtalif hawaloon say istamal hota hai aur aawazoon ki mukhtalif suratan parnay sonnay ko milti hain ta'hum is say kisi lafz ka aaghaz nahain hota.


Hamza + zabar, alif + zabar Aa Hamza + zair, alif + zair Ay/ai/ee Hamza + doo zabar Un Hamza + doo zair in Hamza + yay Eie/ee maslan aae (yahan single e ko ee parha jaay ga Hamza + doo paish, Alif + doo paish= oon Hamza + meem, Alif + meem= im Hay maqsura opar hamza = ai Wao + opar hamza = oo Yay bari + opar hamza = ay Hay + opar hamza = zeim (Pakhto) Noon ghona, noon say hat kar aawaz hai. Issay Arbi noon ki shakal samjah jata hai. Yah aawaz Faesi say daramad hoee hai. Shumar main nahain laikin apna bara mazboot mutharak kirdar rakhti hai. Is ki jar main gonj ki aawaz hai. Is kay istamal


ki omomi tein suratain hain: 1- Mi'koon, saan'koon, 2-Sanwal (N likhnay main noon laikin bolnay main noon ghona) 3- horain yay Arbi ki bari aham aawaz hai. Is ki maktobi tein suratain hain: 1-choti yay maslan: sadgi, abadi, hadi 2-bari yay maslan: aaway, jaway, maray hamza kay sath bhi mostamal hai maslan: ja'ay aa'ay, paay 3-Nichay doo noqtay laga kar maslan: yaad, yawar, yasar, yaqoob waghera Agli satoor main in panchoon aawazoon say motalaq mukhtalif


zobanoon kay alfaz batoor missal daraj kar raha hoon ta'kah morozaat-e-bala ko samjhnay main kisi haad tak madad mil sakay aur mazeed guftagu kay darwazay khul sakain. Aa Urdu: aaj, aadab, aas, aasan, aag, aam, aant, aanso aasthan, aasha, aashram, aakash, aamavas Farsi: aab, aabad, aabro, aabla, aazar, aazad, aarzo, aatesh, aarasta, aaram Turki: aagha, aal (surakh rang) Punjabi: aapat, aapsi, aapoon, aalocha, aakhiri, aakhirla, aakhirwan, aasay pasay Balochi: aayan (onhain), ji aao (ji haan), aasan (loha), zard aalo Khobani), aasak (Hiran), aayani (oonka), aadeem (mairay) Pushto: aafridi, aakhsal, aawardal, aavaizandool Arabic: abnaa, bimaashaa


Israaeil, batoaaenoha, hadaaeqa, olaaeqa, samaae, maaen, Dua'aaun Sowaaaon, asmaaaon Aakhir, aakhrat, aaghaz, aasar, aabnous Maal, qaal, maab Aein ki dhohri aawaz: Aein+alif aa ariz, aj (aein+zabar+alif+jeem), afiat, aqbat, aad, ajaeb, anasar, alaqa Aein +zabar aa ajab Darmiyan main aa kar khalat, ta'aluq, mota'aluq, sama'at, shuja'at Hamza Urdu+Farsi a-Pehlay lafaz kay akhri haraf (hay maqsora) kayo par hamza


dal kar tana-e-aghyar, tofa-e-mahboob, jama-e-mahboob, qatra-e-shabnum, reshta-e-olfat b-pehlay lafz kay aakhri haraf (bari yay) kayo par hamza dal kar ja'ay majra, ja'ay andaisha, ja'ay itraz, ja'ay ozar, ja'ay rihaesh, ja'ay panah shabha ay zulmat, shabha ay faraq, shabha ay hijraan c-Aao, jao, aa'ay, ja'ay, aa'ee, khao, kha'ay, khaee d- pieo, sieo, jao, sanao, batao Balochi ji aao, sari aa pushst aa (hamza opar zabar), (hamza opar zabar) zoti aa (hamza opar zabar) niyam aa (hamza opar zabar) hamza opar zabar bamaeni ko


Pushto kursae (yay kay opar hamza), boba'aee yay kay opar hamza), obaee (yay kay opar hamza) hay kayo par hamza say pushto haraf zeim banta hai jis say zay ki aawaz nikalti hai maslan varzeim koray, aakhri yay par hamza daltay hain walay ta en (Akhri hay maqsora kayo par hamza aur hamza kay nichay zair dala jata hai) sabaoon aawardel (alif mada+wao+ray+dal (opar) hamza+lam Baravi mosam ae (hamza kay nichay zair), zinda ae (hamza kay nichay zair), Sardar ae (hamza kay nichay zair), ghareeb (hamza kay nichay zair), thaikri ae khuda aa (aa, hamza kayo par zabar), neem roch aa


Arabic abna,aa'aa, bimashaa Esraaela, yomaezin, olaeka, hadaaeqa, samaae Yoodo, Duaan Maaen, shaen Sawaaon, asmaaon Daem, qaem Noon ghona

Aawaizaan, badandaan, badamaan, kharamaan, charaghaan, darmaan, Shadaan, goraizaan Boraeaan, sachaeaan Kharabiaan, khushaan, raqribaan, humdardiaan, sardiyaan,


garmiaan, Apnoon, biganoon, yaganoon, farmanoon Aasiyoon pasiyoon, aapoon Rataan, ghataan, akhaan, rakhaan, jarabaan, zataan, barataan,shabrataan Dardaan, ortaan Goriyaan, poriyaan Votraan, spotraan, advaesaan, Dokhoon, sukhoon, purkhoon Akhoon, pakhoon, hathoon, Shakaetain, hakaetain, shartain, navazshain, sazshain, vazartain, amartain, baghavtain barkatain horain, ortain, dardain, advasain Yah ki tein maktobi suratain


Badi, t'aadi, taadi, khodi, shabiri, Baghdadi, faryadi, hadi, badli Tahiyon, hisabiha, nohihay, asaina, mofsidain, yaqoob Yaad, yabinda, yara, yawa, yagana, yazd, yakh, yakta, peer, pair Babo, yasa, yargha, yasawal Yakka. Yakayak, yatra, Free, degree, she Faryadi, shadi, yazdi, yazidi, samadi, samavi, dunyavi, dini, sadi Yakay, akhri, jati, kati, tati, aasi, rajgiri, vadairi, adi, qurqi Khanay, thanay, mardanay, zananay, sarhanay, othanay, biganay, apnay Jaay, aaay, saay, laay, paay, paraay, samaay, dhaay Aagay, pichay, nichay, thalay, ballay, khalay, rajay, maharajay, karochay Saday, sidhay, qarzay, darjay, arzay, shakhasay,


Khaira, akhirla, char, chirya, chaila, baila, maila, chaila, kaila cheil Thu Jan 22, 2009 2:04 am __________________________________



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.