MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
Az: Maqsood Hasni
Paish'kar: Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016
Farist mazamein
1- Mareez kansar ke jusomay se nahain marta 2- Motwazan ghaza ka masla 3- Kansar koee fooq-ul-fitrat bimari nahain 4- Alaj moaljay se pehlay khamir ke ajza par ghoor ki zarorat
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
Cencer koee Fooq-ul-Fitrat bimari nahain hai. Is kay jarsumay say bohat kam mareez fori toor par martay hain. Mareez kay marnay ki aur bohat sari vajohaat ho sakti hain. Oon main say chand eak ka zikar kar raha hoon ta'kah yah samjha ja sakay kah yah maraz Qabal-e-Alaj hai aur is ka shakar honay walay mareez ko mout kay monh main janay say ba'khobi bachaya ja sakta hai aur is ka koee mehnga alaj bhi nahain. Issay Daktar Hazrat ki mali havas aur maal kamaee mohim kay hawala say mehnga samjh aur mehnga bana diya giya hai.
MAREEZ KAY MARNAY KAY ASBAAB
Jahalat Soni sanaee batoon par yaqein kar laina Pehlay say teh kar laina kah is maraz ka koee alaj nahain aur mareez ki mout yaqini aur teh'shuda baat hai. Ghurbat Zati aur logoon say sonay sana'ay totkoon par inhasar aur oon ka bila takalluf istamal. Ta'hum yah tootkay ba'maeni aur la'yaeni bhi nahain hotay. In kay istamal kay moamla main ihtayat ki bari zarorat hoti hai. Alaj ki taraf tavajo karnay main dairi Is ka matlab yah nahain kah dusri ya taisri stage samjh kar mareez ko maraz kay rehm-o-karam par choor diya ja'ay. Allah karim nay her sata kay liay koee na'koee hal zaroor rakha hai. Kisi cheez ko imkan say bahar nahain rakha. Os ka kehna hai kah masusi gonah hai.
Mareez par khool diya jata hai kah ossay kansar hai. Woh yah son kar hi adha mar jata hai. Yah os ta'asar ka natija hai kah yah maraz na qabal-e-alaj hai aur aakhar mout mareez ka moqadar teharti hai. Yah ta'asar kah is maraz ka alaj hamaray haan mumkin nahain, bazaat-e-khud mout hai halankah baroon-e-mulak is marz ka alaj momkin hi nahain. Apnay hi alaqa main is ka alaj momkin ho sakta hai. Haspataloon main Daktar Hazraat ki bila'moavza mareez kay moamla main tasahal pasandi, check up main dairi aur la'parvahi Mareez ko koee relief dainay say pehlay testoon ki bhar'maar. ya mehz pain killer adviyaat ka istamal ya nasha'aawar adviyaat daina takah mareez sakoon se soya rahay aur ghar walay samjhain mareez behtari ki taruf aa raha hai.
Testoon ki report main dairi baz reports to mareez ki mout kay baad mosool hoti hai Alaj ka aghaz baray zalam injectionoon aur sakht tarein adviyaat say kiya jata hai. Jab'kah os waqt tak mareez ki madafti qovatain intahae kamzoor par chuki hoti hain. Is tara ossay dou mahazoon par larna parta hai. Natija-e-kar Kamzori kay baes shakast-e-fash say dou char hoti hain. Gher mayari adviyaat ki dasyabi aur oon ki dasyabi main roak toak/check na hona Mareez ki aiyadat ko aanay walay, khsusan mohtaram khatein ki hum'dardi aur rikat'aamaiz guftagu khatam kar daiti hai. Attendant ki martay shakas kay sath ka sa rovaeya, andaz aur salook Maraz say mail na khati ghaza, moashi-o-masharti tafakraat, malawat, girani, ganda pani, na'gowar mahool aur fiza, gharailu jhagray martay shakas ka sa salook
aur ravaeaya. Daktar aur is paisha say motalaq amlay ka qisabi rovaeya. Mareez ko mareez say ziyada maal kamanay ka zariya samja jata hai. Daktaroon ki yah ada na'siraf insaniat ka qatil hai bal'kah samaji juram bhi hai. Kaam say faragh karkay achay aur araam say din gozarnay aur Allah Allah karnay ki talqein karna. Research ka qehat aur foqdan Siraf Allopathic par iktafa aur issay hi mawa-o-malja samjh laina aur digar tariqa ha'ay alaj ko bai'kar qarar day diya jana Mareez ko alag thalag se mukhlooq qarar day daina aur karobar e hayat say faragh kar daina Pain killer adviyaat ka bila'daraigh aur bai'tahasha istamal.
Dard door karnay ka chara karna bura nahain laikin assal maslay ki taraf tavajo pehli tarji hona chahiay, jo sanvi darja ikhtayar kar gaee hai Baray fakhar say bazari ashya-e-khudni ka istamal Chatpati, khati mithi aur taizabiat bananay wali ashya ka ba'kasrat istamal. Sabzioon main, gher combination rakhnay wali ashya ka pakwan Masalai'dar pakwan Bachay ko, sinay kay hosan ko barqarar rakhnay kay liay dudh na pilana. Jab'kah dudh pilana bacha aur zacha, donoon kay liay zarori hai Pistanoon say bachay ka Sar lagna/takrana ya kisi aur hawala say bai ehtayati Qabaz ka matwatar rehna Jald hazam na honay wali ashya ka istamal
Sabzi kay qimati aur ossay mutwazan rakhnay walay ajza ko kat phankna (Chilka baij waghera) Khana kha kar lait rehna Paidal chalnay ka ravaj kam ya khatam sa ho jana Kisi choot kay moamla main bai'ehtyati aur la' parwahi bartna Parishni, fikar'mandi, dukh waghera Dhowaan (smoke) Veham Nasha aawar ashya ka istamal. Takleef main nasha day kar sola dainay ka rujhan Othtay hi high potency anti-biotic ka istamal ya in ka omomi istamal Bayak'waqt dou dou antibiotic adviyat ka istamal
Aaram talbi Sadgi say dori Balgham ka akhraj rokna Operations (Eak fisad sahi, laikin yah sabab zaroor hai) Opertion se ziyada koee khatarnak amal nahain. Issi ke baes mareez mout ke monh main chala jata hai. Moaljay mai baitara ki kotahi; maslan bokhar hota hai bukhar otarnay ki dwa di jati hai bukhar to koee bimari hi nahain ya pait main dard hota hai to Buscopan waghera day daitay hain halan'kah tap aur dard kisi aza kay amal main kharabi ki nishan'dahi hai. Khana khanay kay foran baad cha'ay laina. Garam garam cha'ay pi laina Bachay ko zamein par khailnay say mana karna Sehat kay moamla main adam'tovajgi
Sadma, Kal parsoon ki baat hai, eak sahib ko pitay ka kansar tha woh aaghi say pehlay dard main sahi, ji raha tha. Jonhi ossay maloom howa to heart attack say chal basa. Mairay khayaal main ossay kuch din aur bimari kay sath jina tha. Kansar itni jaldi kab marnay daita hai. Bohat waqt daita hai aur phir tarpa tarpa kar marta hai. Eak hanstay aur katay pitay aadmi kay hath ghalti say kansar kay mareez ki report thama di gaee. Woh dinoon main soch soch kar lakri ho giya. Kansar ka moalja shuro ho giya. Her aglay din halat kharab hoee. Ossay dobara say test ka mashwara diya giya. Ossay siray say yah maraz tha hi nahain. Yaqein manain woh eak haftay kay andar andar phir say pehlay sa ho gya. Libas aur colors main tabdili na lana Mutbadlaat ka nazar andaz hona.
Jis tara saieb/apple ka mutbadal gajar hai. Taza gajar, saieb/apple kay hotay gajar kay morabay kay khanay ka kya jawaz hai Zana'kari, Jo khoof pashmani aur aza-e-raesa ki kamzori ka sabab banti hai Viraj ka ziya na'qabal-e-talafi noqsan hai. Is liay Zana'kari say ijtanab intahaee zarori hai. Issi tara hum'jinsi aur janwaroon se ghalt'kari madafti qovatoon ko mout ke ghat otaranay ke motraduf hai. Islam main char shadioon ka jaez hona bai'maeni aur bila'jawaz nahain hai. Bhook rakh kar na kana. Allah kay naam say aaghaz na karna aur ikhtatam par Allah ka shukar ada na karna. Dant ki gher monasab safaee ya mail na khati paste ka istamal. Yah bhi kah miswak ko nazar andaz kya jana
Nakhan bharana ya oon ka baqaedgi say kata na jana
KUCH MAZEED BATAIN
Aakhar dudh, podinay, dhnay, anar danay, tulsi ya sada kachay piyaz kay sath roti khanay main kya kharabi hai. Mati kay bartan main khana kayoon nahain pakaya aur khaya ja sakta. Gharay ka pani pinay main kya boraee hai? Kuch khanay kay baad tein bar koli kar lainay main yaqinan kuch kharach nahain aata. Neem kay patay, haldi, phatkari, namak milay pani par pishaab karnay main koee kharach nahain aata. Mosam kay sastay phal khanay say qudrati toor par RBCs aur WBCs ki tarkeeb-o-tashkeel main madad milti rehti hai .
Bazahar in main say kuch chaizain kansar say motalaq maloom nahain hotien laikin yah chizain/batain kisi bimari ko takleef ponchati hain. In ka na hona kisi na'kisi bimari ka sabab banta hai. Jo aagay ja kar shifa'yabi na honay ki surat main kansar ka roop dhar laiti hai. Yah sada aur mamoli chizain modafti qowatoon ko sakti se nawazti hain. Sun Oct 26, 2008 1:46 pm _________________ chahsanashraf Moderator Bahawalpur Ap na bilkul tak laka ha ma na kudh is ke taklef ko apni eyes sa daka ha boot taklef hoti ha mariz ko Allah raham kara Sun Oct 26, 2008 3:00 pm _________________ Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani punjab kansar----------tovajo k liay shukar gozar hoon. jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka kaam ho sakay. Sun Oct 26, 2008 3:25 pm _________________ chahsanashraf Moderator Pakistan Dr Maqsood Hasni wrote: tovajo k liay shukar gozar hoon. jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka kaam ho sakay. mari papo ko chest cancer ho jia tha ajj sa 3
years pahla pir chest ko remove kar dia doctor na lakin cansor backbon ma cala jia tha ore boot taklif the pir calna pirna katam ho jia Dr na kamya thropy shoro ke gis ka allag sa 4 mount ma per sa calna pirna soro kar dia pir 4 sa 5 mount bad acank dard hova ore isi rat ko death ho gie is pora arsa ma takreban 2 sal ho jia tha Sun Oct 26, 2008 3:44 pm _________________ Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab kansar----------Allah sahib oon ko jannat main jaga day aur oon ki rooh ko sakoon day agar mazeed kuch bata dain gay to mumnoon hoon ga. _________________
http://www.forumpakistan.com/mareez-kansar-kay-jarsumaysay-nahain-marta-t17362.html#ixzz4GGZIXh9p
Motwazan ghaza ka masla
Baigun arbi/aalu ho ya shalgum; kado ho ya ghiya tori, karailay hoon ya bhindi tori ho ya goasht mufrad ya marakab, ghobi aalu ho ya faraee tainday, sab apni zaat main apnay tamam tar ajza kay sath mokamal aur motwazan ghaza hain. In main say her koee ghee, tamatar/dahi, adkar (Adrak), thoom piyaz waghera say marakab ho kar aur aatesh milnay kay baad pakwan kay darja par faez ho kar matwazan ghaza ka darja hasal kartay hay. Her pakwan eak waqt hi khaya jata hai. Dosray waqt koee aur cheez li jati hai. Bawar rehna chahiay salan kay sath chapati bhi lazma rehti hai. Lowazmay main salad bhi
dastar khan ka hissa banta hai. Dosray waqt ki khorak kay darmiyan main hum kuch na kuch zaroor khatay rehtay hain. Goya hamaray jism ko kisi na'kisi hawala say 22 ouns khorak din main mil hi jati hai. Issi tara mithay main kheer ho kah kastad, gajar ka halwa ho ya sohan halwa matloba zarorat ko pora kartay rehtay hain. Jo cheez hum pasand nahain kartay aur ossay khorak nahain banatay os ka motbadal hamari khaesh farahum kar daiti hai. Khorak ko motwazan karni ki fikar main hum gher zorori chizain kha jatay hain jo faeday ki baja ay noqsan ka sabab banti hain. Khorak ko aam sada aur gharailu sa rakheay. Takalfaat say dori hamain bimari say door rakhti hai. _________________ Sun Nov 30, 2008 9:54 pm amber ali
5 Star Member LONDON thanks 4 good info Sun Nov 30, 2008 10:33 pm Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab Allah Sahib aap k zooq-e-aaghi ko barkat day _________________ Sun Nov 30, 2008 11:50 pm urfi67 Forum Family Member keep it up , Dr Hasni Mon Dec 01, 2008 9:45 am Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
توجہ کے لیے شکر گزار ہوں۔ ہ ص ح آپ کوخوش رکھے۔ اپن اور اپنے والدین ک خی ل رکھیں http://www.forumpakistan.com/motwazan-ghaza-ka-masla-t1 9016.html#ixzz4GGpKU5Kc
KANSAR KOEE FOOQ-UL-FITRAT BIMARI NAHAIN
Her bimari kisi na'kisi androni aza main tabdiliz/kharabi ka natija hoti ab mein kehta hoon gher mehsous andaz say mojoda aur adi mamolaat main tabdili laee ja'ay to is say mairi marad androni aur bahar kay mamolaat hotay hain. Baroni tabdiliaan: 1- Majoda rehan sehan aur os say motalqaat
2- Naya mahool aur na'ay atwar ki farahmi 3- Mosamoon ki tabdili 4- Othnay baithnay kay momolaat 5- Khanay pinay ki tarteeb 6- Khanay pinay kay oqaat main tabdili 7- Pasand na'pasand main tabdili 8- Pasand na pasand ki tarteeb main tabdili 9- Her qisam kay tasalsal aur tawatar ko tabdeel kya ja'ay 10- Roz mara kay momolaat tabdeel ki'ay jaein 11- Rangoon ki viraity tabdeel hoti rehni chahiay 12- Nafrat say mohabat aur mohabat kay mamolaat aur atwar main tabdili 13- Tovajo batanay kay sabqa atwar
14- Doctor ki sar par sawari taqriban khatam ki ja'ay mareez kay sath sath motalqein say rabta bananay ko bhi tarji main rakha ja'ay. 15- Aanay janay kay rastoon tak main tabdili laee ja'ay 16- Jism ko eak hi dwa ka adi na banaya jay lihaza adviyaat main dosray chothay tabdili laee ja'ay ya kam az kam oon kay oqaat tabdeel kartay rehna chahiay 17- Khanay porana hai to bartan pehlay walay na rahain Androni aza kay function main tabdiliaan lanay ki baat bila shuba hiran'kon aur ahmqana si lagti hai laikin yah otna hi zarori hai jitna baroni tabdilioon ka lana zarori hota hai. Masan a- khorak ki tabdili say
b- walk aur warzesh kay mukhtalif harboon say c- sochoon main tabdili la kar d- jumla havas par mukhtalif hawaloon say asar andaz ho kar e- mosmoon kay tafawat kay zariay f- Mashrobaat main tabdili say g- Khush rakh kar h- Tarjihaat main tabdili la kar i-
chalnay prirnay aur othnay baithnay ke andaz o atwar badal kar
j- badal badal kar saman-e-tafree farahum kiya j'ay. Adviyaat main Calc flour (6) TDS
yaeni tein martaba
siraf char qatray pani main dal kar Kali Phos (30) OD yaeni eak martaba,
khas tour par sotay waqt. preshani ya kisi afsurda halat main dohraein Ka kisi bhi surat main naga nahain hona chahiay. Digar main Apes (30) Belladonna (30) Selenium (30) Naja (30) Thoja (30) Ya jo bhi dwa laga rakhti ho mareez kay baltay mazaj aur badalti halat kay motabaq di jinai chahiay. Yaad rehna chahiay mareez ka her lumha mazaj, halat, zarorat, rujhan, khaesh waghera main tabdili aati rehti hai is liay eak hi dwa ka daina monasab/soud'mand na ho sakay ga. Ghar waloon ko is moamla main bara hi sensitive hona paray ga. Attendant ko moalaj ki si hasiat hasal hoti hai
woh mareez ki halat zarorat waghera ko ba'chasham-e-khud daikhta rehta hai is liay ossay choti choti tabdilioon ko nazar main rakhna ho ga. Is kay liay ossay lamha lamha ki khabr likhtay jana chahiay is say mareez kay Doctor ko alaj main aasani rahay gi. Note: likh nahain sakta to moti motu batoon ko yaad main rakhe. Adviyaat kay sath sath: 1- Khiray ki jhaag ko pani main mala kar di ja'ay 2- Eak waqt main eak sabzi ki yakhni bana kar os main say eak chamach jab mareez pani talab kary, pani kay glass main mala di ja'ay 3- Her qisam ka phal mareez ko diya ja'ay. Pabandi
na rakhi ja'ay jitna ji chahay kha'ay chahay eak qash hi kayoon na lay. 4- Phal ka juice nikal kar rakh lain. Jab mareez pani talab kary, pani kay glass main eak chamcha mala diya ja'ay. 5- a. Gosht pakwaein.
ko soka aur masala'dar na
b. Gosht ka shorbay wala aur kam masaoon wala hona chahiay. c. Ziyada chiknaee se parhaiz karain. d. Gosht main chahay eak hi kash sabzi ki zaroor dain. Os kash ko khaein na'khaein yah zarori
nahain haan os ka dalna zarori hai. Rang aur Shmsi tavanaee Rang zindgi main bara aham kirdar rakhtay hain. Mareez ko jo rang pasand ho, os rang ki botal ya phir os rang ka patla kaghaz boltal lipait lain. Pani say bhari yah botal 6 ta 8 ghaintay kari dhoop main rakhain baad azaan ossay thainda karkay mareez ko dain aur yah amal tawatar say hona chahiay. is pani ko ahista ahista gira'ay aur os par paishab ki dhar maray. Wasael omuman sad-e-rah bantay hain aur ghurbat kaam bigarti hai laikin ghurbat main bhi mamolaat main tabdili lana mushkal kaam nahain. Rastoon ki tabdili, dhoop main chaoon ki khaesh, pakwan kay zaeqay badal kar, namak kam rakh kar namak ki khaesh paida ho sakti hai, mirch ziyada rakh kar kam mirch kay liay rujhan ho sakta, tovajo tabdeel karkay waghera waghera qisam kay aqdam aur harboon main koee dushwari ya kharach
nahain aata. In tamam iqdamaat ka kya faeda ho ga? Rozmara kay mamolaat khorak ki tabdili say: 1-Androni aza kay function main tabdili aa'ay gi jab kah bimiri kay garaseem sabqa mukhsous halaat main parwan charay hotay hain. Wo tabdiloon kay ammal main apni survival barqarar na rakh paein gay. Dosra khanay pinay kay mamolaat, taste, ouqaat, variety aur pakan ki cooking mamool say hatnay say oon main baichaini bharay gi natija kar oon ki bahmi thun ja'ay gi. eak dosray ko marain ge aur apni khorak banaein ge. Os ki zinda ki missal yah hai kah karoroon sperms main say eak do ya kuch hi uterus main dakhal ho patay hain baqi eak dosray kay hatoon mout kay ghat otar jatay hain. Ya yah missal lay lain eak aadmi mukhsous masaloon main bhona howa ghost khata raha
hai aur wo is ka arsa daraz say aadi hai. Ab ossay pehlay masaloon say hat kar masaloon main paka shorbay wala ghost khanay ko diya jata hai. Yah ammal androni tabdilioon ka sabab banay ga. Eak shakas bhanis ka doodh pita chal;a aa raha hai ab bhanis kay doodh ki bajay onthni, bakri ya phir ga'ay ka doodh pinay ko diya ja'ay. Eak shakas hot tea ka adi hai ab ossay ice/cold tea di ja'ay. Eak aadmi chaoon walay rastay say gozarta hai aur yahhi hamaisha say os ka mamool raha hai. Ab ossay dhoop walay rastay say gozarna parta hai. Andar chaoon ki khaesh paida ho gi. Yah khaesh pehlay routine ki zarorat ho gi. Puri na honay kay sabab andar kay function main tabdiliaan la'ay gi. Yah tabdiliaan bimari kay jarasimoon ko kisi bhi hawalsa say khush na aaein gi. Is moamla main eak zarori baat note karni
chahiay kah bar bar tabdiliaan laee jaein. Eak mamool na rehnay di ja'ay. 2-Blood cells ki haiat-e-tarkibi main tabdili aa'ay gi. Es hawala say bannay wala khoon bimari kay jarasemoon kay liay kisi kaam ka na ho ga. Es tara wo bhokoon marain gay yah phir eak dusray ki khorak ban jaein gay. 3-Madafti fooj na ay saray say eak dusray andaz aur nae qisam ki tavanae kay sath taiyar ho gi. Yah fooj jarasimoon ki kisi tara bardast na karay gi aur na'ay andaz aur na'ay tariqa ha'ay kar say jang ka aaghaz karay gi. Is fooj ki taqat aur larnay kay atwar say bimari kay jaraseem motahammal na ho sakain gay. 4- jis kamzoor hissa main bimari kay jaraseem ponahain ge wahaan bilkul mukhtalif qisam ka khoon ja sakay ga. Is kay doo fawaed hoon gay: a- wo hissa zindgi ki taraf lotna shoru kar day ga aur os ka function pehlay say mukhtalif andaz aur toor ka ho ga aur yah bimari kay
jarasimoon kay liay mohlak sabat ho ga. b-yah naee tara ka khoon aur is kay RBCs bimari kay liay kisi kaam kay na hoon gay. Is hawala say bimari kay jarasimoon ki nash-o-nama rok ja'ay gi aur lamha-ba-lamha kamzoor partay jaein gay. Panch moalgein ki zarorat Hamaray haan baad qismati yah hai ka mareez ko madi laclach ki vaja say bohat hi kaam waqt diya jata hai. Warna is mozi marz kay liay panch masihaoon ki zarorat hoti hai: 1- Qualified Record keeper jo bari zimadari say mareez ki naqal-o-harqat waghera ko note karay 2- Mahar-e-Nafasyaat jo marz kay khatamay main bara aham kirdar ada kar sakta hai aur woh:
a- mareez ki soch kay dharay badal sakta hai b- jinay ki khaesh ko do'chand kar sakta hai Aagay bharnay say pehlay batoor hawala eak missal paish kana zarori samjta hoon. Eak shakas kisi ko qatal karnay kay liay baray ghusa say dhora chala jar aha hai. Rasta main koee ossay rook kar moamla pochnay baith jata hai aur woh dil khool kar sara majra/qisa keh daita. Keh dainay kay baad woh kisi ko qatal karny ki pozishan main nahain rehta. Halan kah ossay samjaya nahain giya hota. 3- Baroni mamolaat main gher mahsous andaz/tariqa say tabdiliaan lanay wala 4- Khorak kay zariay androni aza main tabdiliaan lanay wala 5- Adviyaat kay hawala say is mozi maraz kay jaraseem kay khalaaf jang larnay wala
Mareez ka attendant bhi qabal, zimadar, maraz ki noeat samjnay wala hona chahiay. Yah baat zehan nashein rehni chahiay kah charoon ka bahmi rabta aur sala mashwara rehna chahiay. Goya woh eak team ka sa kirdar ada karain. Kaam mukhtalif laikin maqsad eak. Giyara khilari apnay apnay hawala say eak marboot khail khail kar goal karnay ki thantay hain. Zindgi kay liay moalajein khilari ki si lagan kay sath yah qabal-e-izzat masiha Sahiban kaam kayoon nahain kar saktay?! http://www.forumpakistan.com/kansar-koe-fooq-ul-fitrat-bim ari-nahain-t17372.html#ixzz4GGpVkOgB
ALAJ MOALAY SAY PEHLAY KHAMIR KAY AJZA PAR GHOOR KI ZARORAT
Allah Sahib ka kehna hai kah insan ko tein (Mati) say takhleeq/paida kya giya hai. Hazrat Amir (AS) is ki wazahat kay zomray main apnay eak khutbay main arshad farmatay hain, insan ko mukhtalif amarja ki matti akathi karkay banaya giya. Goya Insan matti say bana Yah mati mukhtalif amarja say li gaee Matti mokhtalif ajza say tarkeeb paee hai aur her joz ki taseer dosri say alag hai. Issi tara mukhtalif amarja ki matti kay ajza main faraq hai. Mamasal ajza ki taseer main bhi yaqinun tanasab aur taseer ka faraq rehta hai. In ajza main pani miqdar main ziyada hota hai. Issi tara mokhtalif jagoon kay pani ki taseer alag say hoti hai. Ajza-e-tarkibi kay tanasab main bhi faraq hota hai. Yahhi surat digar ajza ki taseer kay sath dar paish rehti hai.
Is hawala say daikha ja'ay to mareez ko na'siraf os kay apnay hawala se daikhnay ki zarorat hoti hai balkah os alaqa kay matti pani ki taseer aur ajza e-tarkibi ko bhi daikhnay ki zarorat ko nazr main kanay ki zarorat rehti hai. Is hawala say dou kaam karna hoon gay: 1- Os alaqa ki matti pani ki majmoee taseer aur ajza-e-tarkibi kay tanasab say waqfiyat rakhna paray gi. 2- Madafti qowatoon ki mazboti issi tanazar main baqarar rakhna ho gi. Jahaan alaj moalja ahum hasiat rakhta hai wahaan madafti qowat ko mazboot say mazboot karnay ki zarorat ko nazar andaz karna kharabi say nipatnay main kamzori daikhana ho gi. Jab yah maloom hai kah kansar, aid aur yarqan (Hapataitas B) jaisay
mozi marzoon kay liay zalim qisam ka injekshan /adviyaat daina hai to madafti qowat ko bhi taqviat daina ho gi. Mareez ki madafti qowat bimari say naburd azma ho gi kah in adviyaat kay sakhat tarein raad-e-amal say barsar-e-paikar ho gi. Yah baat mein nay is hawala say bhi arz ki hai kah hamaray haan ailopaithik aur apraishan par hi yaqein rakha jata hai jab kah digar tariqa ha'ay alaj say parhaiz hi rakha jata hai. Ta'hum koee bhi moaljay kay liay tariqa ikhtayar kiya ja'ay madafti qowatoon ko sahara daina hi ho ga. Madafti qowatoon ko sambhala dainay kay liay matti panikay ajza-e-tarkibi ki janch karna pary gi. Androni nazam main kisi bhi waja say in ajza-e-tarkibi main say kisi eak ki kami waqay ho sakti hai ya os main azafa ho sakta hai. Is kami ya ziyadti ko pura kiya ja'ay. Ajza main kami baishi ka andaza moalaj yahaan tak kah ghar walay ba khobi laga saktay hain. Wo is tara
1- mareez kay roz mara mamolaat main tabdili mehsous karkay 2- mareez kay badaltay atwar say 3- mareez ki badalti khahshaat say 4- mareez kay badaltay sabha aur mazaj say 5- mareez ki badalti pasand na'pasand say 6- mareez ki pehlay aur mojoda ki bool chaal kay andaz say 7- aza main mehsous hoti tabdilioon kay hawala se 8- kahein dard rehnay say 9- bukhar ki halat say 10- susti waqay honay say 11- dilchaspioon ki tabdili say 12- omomun koee taklif rehnay say
13- bhook ki kami baishi se 14- khorak main kisi cheez ki masalsal barhti khaesh se 15- napasand ki pasand se Gharz aaghaz hi say aisi bohat sari chizoon say andaza lagaya ja sakta hai aur ossi hawala say moalja sood'mand sabat ho sakta hai. Maslan amareez main khurdni namak ki khaesh bhar ya kam ho sakti hai. Gosht khori ki khaesh main kami baishi aa sakti hai. Ziyada pani paina shuro kar daita ha ya pehlay ki nisbat pani kam pita hai. Kisi khas sabzi ki taraf raghbat bhar sakti hai. Pasand ki sabzi say nafrat ho sakti hai. Khnay main naqs nikalna shuro kar daita hai
Bartanoon ki tabdili ki khaesh karnay lagta hai Khnay kay hawala say bohat tara ki tabdilioon ko mehsus kiya ja sakta hai bKisi mukhsous shakas say pehlay ka sa rovaeya nahain rehta. Mazaj main chirchara'pun aa sakta hai. Baat baat par jhagra khara kar daita hai Batain bholnay lagtqa hai Baat ko olta laita hai Itmad ki kami aa sakti hai Kisi par itmad nahain karta Auroon say ziyada omidain wabasta kar laita hai Oltay saidhay khaab daikhnay lagta hai Hawaee qalay tameer karna shuro kar daita hai
Khoof aur haras main rehnay lagta hai yah kisi khas baat say darta hai aur os say dori ikhtayar karta hai Mazaji atwar ki bohat sari tabdilioon ko note kiya ja sakta hai. Khoraki aur mazaji tabdilioon kay hawala say khorak say mota'aluq kisi joz main kami ya azafay ka andaza karna koee dushwar kaam nahain. Is kami baishi ko ajza say hi pura kya jana momkin hai. Eak shakas main namak ki kaesh bhar gaee os ki is khaesh ko din main tein baar Nat Mur (6) nay pura kar diya giya jis say woh aati bimari say bach gya. Her shakas apnay khamir ki matti kay motabaq khoraqi ajza laita hai is liay os say mota'aluq aaghi hasal karna koee mushkal kaam nahain. Jab hum os ko ibtada main mehsous nahain kartay aur os kay badaltay
atwar par nazar nahain kartay to woh aatay kal ko kisi khoof'nak bimari main mobtala ho jata hai. Ibtada main hi tovajo day di ja'ay to yah achi aur sehat'mand baat hai dairi ki surat main koee pachidgi paida ho sakti hai ta'hum yah nahain kaha ja sakta kah ab mout hi os ka moqadar bun chuki hai aur ossay halaat kay reham-o-karm par choor diya ja' ay. Chara bahar toor akhri sansoon tak puri shidat aur dilchaspi say hotay rehna chahiay. http://www.forumpakistan.com/alaj-moalay-say-pehlay-khami r-kay-ajza-par-ghoor-ki-zarorat-t17376.html#ixzz4GGpgwypT
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
Az: Maqsood Hasni
Paish'kar: Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016