lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab

Page 1

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab By Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni chahiay.


lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab

1- Zoban ka safar kab tehrao, oljhao aur pachidgi ka shakar hota hai?

a. Taza za , sakoot au la’yae iat kay doo . Bay’fik i au sakoo kay doo

ai .

ai .

2-Zoban ka khameer kin kin aanasar say othta hai? Kiya in aanasar ka ta'aluq waseab say bhi hota hai?

Shakhas kay aalaat-e-notaq aur moaawan aalaat-e-notaq. In say aawazain nikalti hain aur in hi kay hawala say istamaal main aati hain


aalaqa, mahool, zarorat, aab-o-hawa, mosam Moaashrat/ motalqa waseab kay rovaeay aur rujhanaat zoban ki taraqi ka sabab bantay hain. Kam az kam doo ashkaas jin ki moaashrat aur zoban eak ho Eak si aawaz nikalnay par qadar hoon Mahajrat ki surat main main bhi mahajar sa ’zameen par doo eak zoban bolnay walay ashkhaas apni zoban main goftagu karkay aasudgi mehsous kartay hain. oon ki nasal bhi aisa kar kay aasudgi mehsous karti hai. Es main asbeat ka bhi dakhal hota hai.

3-Zoban kay mazaaj aur rowaeyoon ko samjhnay kay liay ki pehlo’oo ka ja a za o i hota hai?

Os kay mohawray ko janna zroori hota hai.


4-Kiya mukhtalif zobanoon kay milaap say eak naee zobaan banti hai? Nahai , ilkul ahai , yah az iya a a gu hai.

ah’ku

Haan zobanain kisi bhi zoban ki taraqi ka sabab banti hain.

5-daisi au a’daisi zo a kay ahu alfaz say zobanoon main jidat aati hai ya mafaheem maim gehraee paida hoti hai kay hawala say kuch kahain?

Izhaar ko vosat milti hai

Lafzoon ka talafaz badal jata hai

Na’ay lehjay ta kee patay hain

Na’ay alfaz ta kee ptay hai eain+nak

Na’ay

a ak aat a tay hai

asla :


6- Kiya zoban kay rasam-ul-khat main bhi tabdeli aati rehti hai ya nahain? Aati nahain laee ja sakti hai ya laree jati hai. Jis tara Turki kay sath howa. Is say zoban ko noqsan ponchta hai: Porana warsa zaya ho jata hai Kuch aawazain baqi nahain rehtein. Maslan Urdu aur Roman Urdu khat ko hi daikh lain.Urdu khat aur dev nagri khat ko malahza farma lain. Punjabi aur gurmakhi ki misal mojood hai. Urdu kay pas 63 say ziyada aawazein hain Raman Urdu main likhtay waqt marakab aur mutradaf aawazoon say kaam chalana parta hai.

7-Mukhtalif zobanoon main kiya koee qadar mushtarek hoti hai? Ji haan, maslan:


a- Bohat sari aawazain mushtarek hoti hain b- Zarab-ul-Amsaal aur mohavray mushtarek hotay hain c- Marakab aavazain eak si milti hain d- Eak dosray kay alfaz laiti hain ya yoon keh lain bohat say alfaz mushtarek hain jis tara Urdu main tumbakoo Punjabi main tamakoo japani main tabakoo is hawala say u ’ge t isalai di ja sakti hain

8- zoban main vosat kin aanasar say hoti hai? o

takhliqi azhaan

o

zaroratoon ka bhar jana

o

Azhaar ki aazadi

o

Taghaeraat

o

Samaji moaashi aur masharti tabdiliaan

o

Aazmaesh ki surat-e-haal


o

Inqalaab

o

Pareshani, baicheni aur iztarabi kafiyaat

o

dukh aur karab

o

Agar qomoon main khud say zinda rehnay

ka sha’oo au motaharak

ada ho to oh

rehti hain 

simabi firat

Kuch kar gozrnay ka janoon aur jazba

moqablay ki aadat/jazba

harkat masalsal harkat

malghobiat ka shidat say ehsaas

 jis ta a afsa ay ai ahdat-e-ta’assa kay bagher afsani, afsani nahain rehta bilkul ossi tara la hak’paze i kay a’ghe zo a koo ai ka mandak hoti hai.


9 badaisi, daisi jabkah daisi badaisi ki zoban bolnay ki koshesh kartay hain. badaisi Hakam ki zoban kis tara matasar karti hai aur os kay asraat kis qisam kay moratab hotay hain? assal moamla rabtay ka hai. Badaisi ki khaesh hoti hai kah woh baat ko behtar toor par samjha sakay daisi chahata hai kah ossay os ki zoban main sa jhaya ja’ay. Woh yah hi hahata hai kah Haka kay ziyada azdeek ho. Is say a’si af alfaz ka tabadal hota hai balkah lehjay bhi tabdeel hotay hain. Woh apnay apnay nahvi set up kay motabaq alfaz daitay laitay rehtay hain. Arbi manay na manay Urdu, Punjabi, pothohari, Saraeki, Mivati, Sindhi, Barahvi waghera main hoor,ahwaal, okaat wahad hain. tazkeer-o-tanees main Pashto apna mazaj rakhti hai aur woh liay gay alfaz ko apnay lisani set up kay motabaq lay gi. bilkul issi tara zima ko zoma, qof'li ko qulfi, khalvat ko khilvat boolna Urdu Punjabi waloon kay liay aeb nahain.


Momkinility, voteraan, sportraan, moteraan, motarain, horain, Urdu Punjabi waghera main kab ghalt hain. yahhi surat-e-hal maeni ki hai. Dosri zobanoon main kuch kay kuch ho jatay hain. Ghareeb bamaeni moflis Khsam bameni khawand Rashi bameni rishwat lainay wala

10- kiya Hukaran tabqay ki zoban ghalib rehti hai ya maqami zoban/zobanain/boliaan bhi baqi rehti hain? koee zoban apna vajood tayagnay kay liay teiar nahain hoti. Koee zoban mar nahain sakti jabtak os kay doo bolany walay mojood rehtay hain. Haan albata tabdiliaan aati rehti hain rasam ul khat badal jatay hain aur yah bura amal nahain. Amrikan, Bartanvi, Faransisi, Pakistani, Hindustani angraizi main zameen aasman ka faraq hai. Yahhi


surathal Arbi Urdu Punjabi waghera ki hai. Hamaray haan baray dafatar main angraizi ka raj hai laikin bahar gali main issay koee pochta tak ahai is kay a ajood a’da ista too pa ool chaal main angraizi alfaz aa jatay hain. eak door main yahhi surat Arbi aur Farsi ki thi. Jo alfaz bila jawaz dakhal kiyay jatay hain ehsas-e-kamtari ka saboot hotay hain laikin jo juz-e-zoban ho jatay hain aeb nahain samjay ja saktay masla: I mean aap wahaan kayoon nahain gay ya I think hum ko yah done kar laina chahiay. Yah Urdu set up kay motabaq hain laikin inhain a hi aza say ahai daika ja’ay ga. A yah ju lay dekheay: Hamaray haan ki laydiaan aasman ki horoon say kisi tara kam nahain hain. (laydiaan, horoon) Tamamam omeedwaran apnay apnay sportran kay sath polling station kay bahar kharay natijay ka


intazar kar rahay thay. (sportran, polling station) Lari addy par har shehar ko janay wali moterain khari thein. (Moterain) Yah jumlay qataee ajnabi nahain hain aur is qesam ki guftagu aam toor par sonay ko mil jati hai. Maeni ko hi dekh lain: Sexy, animal , saer tamasha, jaluos kab apnay assal maenoon main istmal hotay hain. Mukhtasar yah kah zobanain marti ya khatam nahain hotein, hakam aur mahkoom eak dusray say mataar hotay hain. yah oon ki rabtay ki zaroorat aur majbori hoti hai.

11-kisi zoban kay acha ya bura honay kay baray aap ki kiya a’ay hai? Koee zoban achi buri nahin, tamaam zobanain


rabtay ka zariya-o-wasila hain. Urdu kay siwa tamaam zobanain aawazoon kay hawala say ka’zoo hai . Is o yaad pa o hai a ha u a nahain kaha ja sakta. Haan izhaar kay hawala say koee a’ay di ja sakti hai. Ap i ka i au ka’zo i ko marakab aawazoon say woh pura karnay ki koshesh karti hain.

12- Is jadeed door main matrook ho janay walay alfaz ki koee ehmeat baqi hai? Kayoon nahain, woh os ehad ki masharti, moashi, samaji, nafasyati aur saqafti hawaloon ka warsa hai. Guzra kal onhein kay hawala say jana aur pehchana ja sakta hai. Lafz kiya mahavroon ki surat badal gaee hai aur wo soo tara say istamal main aa rahay hain. in matrook alfaz, mahavraat main tabdiliaan aur aslobi tagheraat say zoban ki taraqi ki rafter ka andaza kiya ja sakta hai. Wo os shakl main mojood nahain hotay haan albatah tabdilioon ke satha zoban ka hissa rehtay hain


Karvat laina, karvat badalna darust samjha jata hai: maslan woh hal likh chala hoon karvat badal badal kay Satyanaas marna, satyanaas karna/hona mostamal ho giya hain Kitabi aur bazaar ki zoban mukhtalif hoti hai. Adakaeyaan ko kitab wala kab adaoon kay maenoon main tasleem karay ga.

13-kiya boliaan zobanoon kay sath sath chalti rehti hain? a- haan sath sath chalti rehti hain b- matasar karti hain c- matasar hoti hain

14-kiya boliaan zobanoon ki takhleeq main moaawan sabat hoti hain? boolioon say zobanain takhleeq nahain hotein.


Haan •

taraqi karkay zobanain ban jati/sakti hain

Zobanoon ki taraqi main moawan sabat hoti hain.

zobanoon kay izhaar ko vosat mayasar aati hai.

Jan kay (Jan bojh kar), mokmakao aisay alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain. Yahhi surat badaisi zobanoon ki hai. Glass a’ ae i pa i/lassi aghe a pi ay ka pi a a, dafta a ae i offi e, t a’ ae i d, ta asha, jaloos waghera aam istamal kay alfaz hain. Mahajar apni assal par reh nahain sakta aur Yah asool-e-firat hai. Zobanain lafzoon ko apnay mazaj, zarorat, halaat aur nahvi nazam ke tehhat laiti aur oon ka istamal karti hain.


15-zoban main awazoon ki ehmeat kiya hai? Zobanain hain hi awazoon ka majmoah. Aawaz ki tabdeli say maeni badal saktatay hain. Zikar aur zakar kay moenoon ko daikh kar baat samjh main aa jati hai.

16- In aawazoon ki kitni aqsaam hain? Urdu main 3 tara ki avazain hain: a- alap paran b- maha paran c- alamti • dusri zobanoon main marakab aawazain bhi milti hain. Maslan sheen ko sh waghera say likha jata hai. Za’ay Fa si ko io say azay kiya jata hai. Issi tara mutbadal/mutradaf aawazoon say bhi kaam chalaya jata hai. Maslan Arbi Pakistan ko Bakistan likh parh aur bool saktay hain kayoon'kah arbi main pay awaz hai hi nahain.


Miwati sharbat ko sarbat hi istamal karay ga. Angraizi main ‫د‬aur ‫ ت‬mojood nahain hain lihaza motradaf d aur t ko istamal main laya ja'ay ga. •

Japani main dou tara kay sign hain. Hira gana, Kana kata.

Chini aur Korian ki bhi kuch is say mukhtalif surat nahain. • Aa azoo kay hain.

akhaz u ’haad au u ’gi t

17- Kiya khita ki tabdili say aawazoon ki noeat tabdeel ho jati hai? Ji haan, aalaqa ki tabdili say faraq aata hai. Mivaat aur Chatoor aur phir Rajistan main sheen ki aawaz nahain wahaan seen say kaam chalaya jata hai. Maslan basher say baser Punjabi walay zuma hi bolain gay halankah zima bool saktay hain.


Issi par hi moqoof nahain aawazoon ko wahaan ka kalchar, nafasyaat, rasam-o-ravaj, mazaj aur rovaeoon ko apnana parta hai.

18- Awazoon kay zeer-o-bum say alfaz kay maeni-o-mafaheem main faraq aata hai? Kayoon nahain, maslan Roko, mat janay doo Roko mat, janay doo Maenoon main zamein aasman ka faraq aa giya hai.

19-kiya aawazain farad kay andar ki aakasi karti hain? ji haan. Boolnay kay andaz say shakhas ka batan jan liya jata hai.


20- Aawazoon ko samajhnay aur haqiqat tak rasaee kay liay kin lowazmaat ki zaroorat hotai hai? Aawazoon ko samjhnay kay liay hissi nazaam ka fa’aal au kisi o s say pak ho a ai’haad za o i hota hai. Dosra tajarba aur mashaeda bari ehmeat kay hamal hotay hain.

21-aawazoon kay hawala say aap nay kis noeat ka kaam kiya hai? Zobanoon ki awazain Taqabli aur ishtaraki motalalah Zobanoon ka bahmi ishtarak aur sanjain

22- Aawazoon par kaam kartay waqt kisi qisam ki dushwari paiash atti hai? Mehnat karna pari hai warna koee mushkal paish nahain aee.


Bazaar main, mukhtalif tabqoon say bohat kuch mil jata hai, bas ghoor karnay ki zarorat hoti hai.

23- Aawazoon say koon sa ilm mayasar aata hai? •

Insan ka batan

Lafz ki nafasyaat

Lafz ka kalchar

Kaenaat say reshta aur os say motalqaat say aaghi

24-zobanoon kay khandanoon kay hawala say kiya kehtay hain? Mein is nazriay ko tasleem nahain karta. Aawazoon kay makhaz kahein bhi alag say nahain. Tahum traces wahaan kay mahool, halaat, zarorat, aalaat-e-nutaq aur moaawan aalaat-e-nutaq kay zeer-e-assar tarqeeb patay hain aur yah fitrat ka


teh kiya giya asool hai. Sun Jun 24, 2007 12:12 pm _________________

Shazia Global Moderator

Ashi Batein Bataney Ka shuriya, very nice posting. Sun Aug 26, 2007 5:15 am _________________

Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab

is mohabat aur lutaf-o-ata k liay


mumnoon-e-ehsan hoon. Allah aap ko kuh rakhy. Sun Aug 26, 2007 7:56 pm _________________ Read more:

http://www.forumpakistan.com/lisanyaat-say-motalaq-kuch-sawal-ja wab-t944.html#ixzz4GLM4tHOu

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab By Maqsood Hasni


Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni chahiay.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.