Sikh Silsala-Eak Motala
Mashraqi Punjab donyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai. Zara'ay aur wasael-e-qudrat kay hawala say bhi donyan kay kisi kitay say kisi tara kam nahain. Is alaqa kay moqimi hazraat Hazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajun aur adtun sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darja jafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat main dakhal hi nahain. Onhain alag say koee
mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki pehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai. Sikh kay maeni sikhnay wala, jan'kari ka talib, aaghi kay amal say gozarnay wala, jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm waghera Hoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siray say mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liay ziyada'tar ostad aur goru alfaz istamal main aatay hain. Goru woh jo gur janta ho, atkal say waqaf,
tajarba'kar, kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala, hal nikalnay wala, hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad, ostad waghera maeni mostamal hain. Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay to ostad shagid kaha ja sakta hai. Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai is liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os say towaqo nahain ki ja sakti. Is garo kay haan dou chizain bari wazay nazar aati hain 1- Toheed jo adyan ki konji hai
2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o -wasila hai Yah garo donyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqriban qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashi hawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koee alag say ya naee cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat ka natija hain. Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaat mosalmanoon ki se rakhtay hain is kay ba'vajood woh Esae hi hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Is kay ba'vajood oonhain Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai aur woh hai. Is vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism
kay mota'aluq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aur ziyadti hai. Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say mota'alaq hain aur is silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru Nanak-ji Dav hain. Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kay hawala say kaha hai : "Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitab kach rakhday san. Ais kitab vich ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan da kalaam daraj kar day san"(1) Agar koee onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay ya Sheik Nanak keh lay is say kuch farq nahain parta.
Onhoon nay Makka ka safar ikhtayar kiya baghdaad main qayam farmya. Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon par Darood-o-salam) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon par Darood-o-salam) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar pati hai. Bilkul issi tara Guru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki taraf safar ikhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman aur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rule kay tehat Kafar kaha ja sakta hai. Her Sufi guru apnay libas aur nazaryati toor par apni alag say shanakht rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru Garanth Sahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib
(R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaan mosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri Garanth Sahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata hai is liay wo mohtam hai. Is silsalay kay log sikh kehlatay hain jabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai. Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya, Silsala Shitarya waghera. Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kay Khalifa/Gadi'nashein/Divan Sahiban kay namoon say malqoob hazraat moqarar hotay rehtay hain aur is tara yah silsalay jari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazar aata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat Sufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat Goru (Khulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay
sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. In Sahiban ba'safa nay Goru Garanth Sahib ki tadvein bhi ki, is main la'jawab azafay bhi kiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kay pannoon ki zinat banay. Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki haad'darja mehman navazi ki. Is liay mehman'navazi aur khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya ja sakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haan aisi koee naee baat nahain. Hamait, is say bilkul alag cheez hai. Is silsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'siraf panah di balkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed bonyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed is amar ki khuli daleel hai kah sikh koee alag say dharam nahain balkah sufi silsalay ki eak kari hai.
Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay istamal main hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja rakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'aluq bhi Syed Family say hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shah al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib Punjabi zoban kay sufi shair thay. Mein nay kaee martaba oon kay monh say "Baba Goru Nanak" sona. woh "Baba-ji Goru Nanak" Sahib kay liay bara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib ki bohat sari baniyaan zobani yaad thein. Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef ka doodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aur doodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizain samaji ravait nahain hain. In ka ta'aluq mazhab say hai. Mein
aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khud aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai ya nahain. Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatay hain: Maal paraya nanaka laho barabar jan Eak aur bani sonay kalma kahaan tay kal (2) poway bin kamioon vi na Hindu kahaan tay marya musalman vi na Yahaan woh musalman marad hai jo sair ka tein pao tolta hai. Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain. Gulbargha aur kaee dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhab ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat anjam di. Syed
Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai. Ta'hum bonyadi baat jo is bool ka lob-e-labab hai wo "bin kamioon vi na" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda main rakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya say alag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haan namayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag nahain hain. Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat say Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikh na'siraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitay hain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aur ehtaram say hazri daitay hai. Musalman in sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah ohain
mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahi surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadaee yah shabad malahza hoon: "One Universal Creator God. The Name Is Truth. " sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru Nanak Dev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah ka manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala say musalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar is say mukhtalif nahain. "Dayemi Complex Bangladesh" kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi is kay darwazay kholay rahay hain. Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam is
waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Is hawala say oon ka Sikh silsalay say bhi gehra ta'aluq banta hai. goya jahaan woh digar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay kay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaat main faiz othanay kay moqay mayasar hain. zara sonain to: https://www.youtube.com/watch?v=ckjw6JC2ZA4 ---------------------------------------------1-Akhya Baba Fareed Nay p.47, Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001 2-larae, jagra, kil kil, takrar waghera 3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib
Wed Apr 29, 2009 2:03 pm _________________ urfi67 Forum Family Member thx 4 sharing Wed Apr 29, 2009 2:36 pm Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani shukarriya janab _________________ http://www.forumpakistan.com/sikh-silsala-eak-motala-t26890. html#ixzz4GLNu1XQo
Ab Guru Garanth sahib ki yah baniyaan sonain:
https://www.youtube.com/watch?v=5HTn_eX1tok https://www.youtube.com/watch?v=mmKRO-yuoHw https://youtu.be/uh3YgRkvC08